How to Start Affiliate Marketing? (Complete Guide 2023)

Online paise kamane ka sabse accha aur successful methods me se ek Affiliate Marketing ko mana jata hai.

To kya aap sikhna chahte hain Affiliate marketing kya hai? aur Affiliate Marketing kaise start kare?

Iss popular aur passive income kamake dene wale Affiliate Marketing ke bare mein sab jankari lene ke liye akhir tak iss article ko jaroor dekhe.

Affiliate Marketing ke deals aapko internet par har jagah dekhne ko milenge. Aap jis bhi products ko dekh rahe ho, wo bhi ek affiliate product ho sakta hai.

Aap bariki se dekhenge to aapko bhi pata chalega ki har ek product jo aapke samne hota hai, wo koi na koi recommend kar raha hota hai, usne uske bare me review kiya hota hai, ya product ko kaise istemal karna hai, aur aise kayi tarah se product ki jankari dete hai, aur iss sabke piche hota hai Affiliate Marketing se milne wala paisa.

Jab aap koi bhi product review padh rahe ho, to apne aap se puchhe: kya ye sabse accha products hai, ya kya koi iss review ko likhne wala keval aapko kuch kharid ne keliye vivash karke adhik paisa kamane ki koshish kar raha hai?

Par yaha behtar saval ye ho sakta hai ki, main iss process mein kaise shamil hoon aur iski madad se kaise online paise kamane lagu?

Affiliate Marketing bahut salo(years) se chal raha hai, lekin abhi bhi isme Grow hee ho raha hai. Isme bade Sellers se lekar local kisi bhi content creator tak sabhi shamil hote hai.

Sabse acchi baat yah hai ki isse shuru karna mushkil nahi hai. Isme aapke paas khud ka koi products ho ye bhi jaroori nahi hota, ya apne products ke liye bade stores banane nahi padte, aur isme apko jyada Digital Marketing ka knowledge ho aisa bhi jaroori nahi.

Iske piche ek simple method ye hai ki aap kisi aur ke products ko promote karte ho, unke bare me logon tak jankari dete ho, aur fir aapke uss jankari se prabhavit hokar kisi ne uss product ko kharid liya, to aapko uska commission milta hai. aap jitna jyada products bechenge utne jyada aap paisa kama sakte hai.

Aapke paas koi bhi accha product hai, aur aap uski jyada sale karna chahte ho, to aap bhi usko promote karne ke liye baki logo ko bol sakte hai, uske badle aapko unko kuch commission dena hoga.

Isme aapke sale bhi jyada hote hai, aur aap jyada paise bana sakte hai, bas usme se kuch chota hissa commission ke rup mein unn logon ko dena hoga jo asal me aapka product ko bech rahe hai.

Yadi aapke paas koi product nahi hai aur fir bhi aap paisa kamana chahate hain, to aap ek aise product ko promote kar sakte hain jo accha becha ja sakta hai, logon ko uski jyada jarurat hoti hai, fir usko bechke aap acche paisa bhi kama sakte hain.

Chahe aap ek blogger hain jo best affiliate programs ki talash mein hain, ya aap ek brand ho jo apne products ko bechna chahte hai, to ye affiliate marketing aapke business aur income ke liye bahot accha kaam kar sakta hai.

Affiliate Marketing kaise start kare? Iske bare me jo maine ye guide banaya hai, isme main kuch jankari dena chahta hu jaise:

  • Affiliate Marketing Kya hai?
  • Affiliate marketing kaise kaam karta hai?
  • Affiliate Marketing kaise start kare?
  • Affiliate Marketing ke Terminologies

To chalo ab shuru karte hain.

Table of Contents

Affiliate Marketing kya hai?

Affiliate Marketing in Hindi:

‘Affiliate Marketing commission kamane ki ek process hai, jisme aap dusre logon or company’s ke products ko promote karte ho, aur jab aapke visitors unn products ko but karte hai tab aapko uske badle mein commission milta hai’.

Affiliate Marketing meaning in Marathi:

‘अफिलिऊट मार्केटिंग मध्ये आपण आपल्या वेबसाईटवर एखादा वस्तूंची माहिती देऊन ती वस्तू घेण्याकरिता लोकांना अहवान देणे. जर काही लोक आपल्या वेबसाईट वर येऊन एखादी वस्तू खरेदी करतात तर त्या वस्तूच्या रकमेतील काही रक्कम ही आपल्याला आपला मोबदला म्हणून दिली जाते’.

Aapko jo product pasand aaye aur wo product logo ke kaam aaye, usko promote kare aur uss company ke profit ka ek chota sa hissa kamaye jab bhi uss products ko koi kharidega.

Sabse saral roop mein bolu to, agar aapka ek blog hai jisme aap Web Hosting ya aur bhi kisi products ke reviews likhte ho, to aap uss reviews me aapke affiliate links add karte ho, jab bhi koi uss links par click karke uss product ko kharid lega, to aapko affiliate commission milega.

Amazon, Apple, Google jaisi har badi company ka ek affiliate program hota hai, jisme pure duniya ka koi bhi insaan shamil ho sakta hai, wo bhi bilkul free of cost.

Yadi aapko iss bare mein pata nahi hai, to iss guide par akhir tak dhyan den. mere dosto, aaj yaha aap ghar se paisa banane ke sabse dilchasp pehlu mein se ek ki khoj karne vale hain.

Affiliate marketing se milne wala commission $1 se lekar $10,000 tak hota hai, jo iss baat par nirbhar karta hai ki aap kis type ke products ko promote kar rahe hain.

Affiliate Marketing Hashtags:

#affiliatemarketing #digitalmarketing #business #onlinebusiness #affiliate #marketing #makemoneyonline #entrepreneur #workfromhome #motivation #money #affiliatemarketingtips #success # digitalniks #affiliatemarketer #onlinemarketing #makemoney #affiliateprogram #entrepreneurship #socialmediamarketing #networkmarketing #businessowner #affiliatemarketingbusiness #affiliatemarketingtraining #passiveincome #earnmoney #internetmarketing #financialfreedom #affiliates #affiliatemarketingonline

Ye hashtags for affiliate marketing aapko instagram, facebook, aur baki kisi bhi social media par apne affiliate products ke post publish karte samay madad karenge.

Affiliate Marketing kaise kaam karta hai?

Affiliate marketing inn 4 easy steps mein kaam karta hai:

  1. Sabse pehle Aap kisi Affiliate Program me join hote hai.
  2. Aap ek product ko promote karne ke liye chunte hai (yaha aapko ek unique affiliate link milega)
  3. Aap social media, blog, youtube video, facebook ads ya kisi aur madhyam se uss link ko share karte hain.
  4. Jab koi uss link se kuch bhi buy karta hai, to aap Affiliate Commision kamate hain.

Apko bas kisi acche se affiliate program me shamil ho jana hai aur apni unique affiliate link ko pana hai, aur jab bhi aap unke products ke bare mein likh rahe hain, to aap apni link ko uss post/review mein add kar dena hai. aur apna commission kamana hai.

Par kya ye utana aasan hota hai jitna lagta hai?

Iske dono answer ho sakte hai Yes, aur NO!

Kisi bhi Affiliate Program me shamil hona aur apne commission pana bahut aasan ho gaya hai.

Isme sabse bada yogdan hai, digital marketing ka, aur kuch services ka jaise ki Paypal.

Kyunki ye sab processes automatic chalte rehte hai. bas aapko shuru me sabko ek dusre se jodna hota hai.

Fir aapko products ko promote karte rehna hai, jab bhi aapko apka commission milega wo pehle Paypal me aayega aur 1-2 dino me waha se apke bank account me aata hai.

Aapko acche se Affiliate marketing karna ho, to Paypal me apna account jaroor banaye, taki bade bade affiliate programs me bhi aap aasani se ja sake. Aap bina paypal ke bhi kaam chalu kar sakte hai, par jo top ke Affiliate Programs hai unke sath kaam karne ke liye Paypal jaruri hota hai.

Affiliate Marketing mein 3 Parties shamil hoti hai:

  1. Seller and Product Creator
  2. Affiliate or Advertiser
  3. Customer

Chalo ab dekhte hai Affiliate Marketing mein inka kya role hota hai.

1. Seller and Products Creator 

Seller, matlab ek badi company ho sakti hai, ya fir vendor, merchant, product creator or retailer bhi ho sakte hai jo Kisi product ko market me pesh karte hai. aur Seller ko ek brand ke roop mein bhi jana jata hai.

Yaha seller ko marketing process mein shamil hone ki Jarurat nahi hai.

2. Affiliate or Publisher

Affiliate ya to ek vyakti ya fir ek company bhi sakte hai, jo sellers ke products ko unn logon ke samne promote karte hai jo uss product ko buy kar sakte hai. agar unn logo ne uss product ko kharid liya to Affiliate/Publisher ko Affiliate Commission milta hai.

Affiliates ke paas kuch specific audience hota hai, jo unn products ko kharid sakte hai. Aur waise specific audience ko Apne Niche ya personal brand ke tahat chun sakte hai.

Matlab agar apko kisi web hosting ko promote karna hai to aapko maloom hona chahiye usse kin logon ke samne rakhna hai.

3. Customer 

Affiliate marketing main agar koi sabse important part hoga, to wo hota hai Customer. Agar unhone kuch kharida hee nahi to kya Affiliate Marketing successful ho sakta hai, Nahi. Isliye to Customers ko Affiliate Marketing ke Drivers bola jata hai.

Yaha Publishers/Affiliates Products ko social media, blog aur websites par promote karte hain.

Jab customer product ko buy karta hain, to Seller/Product Creator aur Affiliates/Publisher profit ko aapas me share karte hain.

Kabhi-kabhi Affiliates/Publishers customers ko bata dete hai ki, unko kuch commission milta hai agar unhone kuch kharid liya to.

Bahot baar to customers ko unke dwara buy kiye gaye products ke piche jo ye affiliate marketing chalta hai uske bare me kuch bhi pata nahi hota.

Affiliate Marketing kaise start kare?

Aap kayi methods se Affiliate Marketing ko shuru kar sakte hain.

Yaha kuch methods bataye hai jinme se aap chun sakte hain:

  • Apko jis bhi product ko promote karna hai, uske Niche/Topic par apna Blog banaye. Affiliate Marketing shuru karne ka ye sabse sasta aur aasan method hai. Isme thoda samay jyada lagta hai, par ye sabse accha tarika mana jata hai. udaharan ke liye: Softwares, Gadgets, Web hosting ke bare mein ek blog shuru kar sakte hai.
  • Google Ads, Facebook Ads, Quora Ads ki madad se specific traffic ko sidhe apne affiliate product par bhej sakte hai. aur sales karke apna commission le sakte hai. par agar apko ye ads kaise chalaye jate hai ye maloom nahi ho, to apko pehle isse sikhna hoga, nahi to apke paise bhi barbaad ho sakte hai. kyunki iss method mein aapko ads ko chalane ke liye paise dene pdte hai.
  • Youtube channel banaye aur apne videos mein Product ko promote kare.
  • Ek choti website banake aapki ek email list bana sakte hai, fir unn sabhi ko products ke bare mein email kar sakte hai.
  • Apna Podcast chalu kar sakte hai aur waha Products ko recommend kar sakte hai.

Apne blog ke madhyam se affiliate marketing ko shuru karne ke liye kuch steps hain:

  1. Apna ek Blog banaye (mere iss article ko dekh sakte hai blog shuru karne ke liye, jaha maine sabkuch details ke sath bataya hai).
  2. Apne blog ke liye ek profitable Niche chune.
  3. Apne affiliate Product ko chune, jise aap promote karenge.
  4. Uss product ke upar accha content banaye (Review, Detailed Information, How to use)
  5. Apne blog par ya Affiliate post par jyada se jyada traffic lekar aana hai.
  6. Kisi acche email marketing service ka use kare, jiski madad se aap email collect karenge. Jaise Constant Contact.
  7. Ek email sequence banaye, jiski madad se aap logo tak apne product ke bare me jankari dete rahenge.
  8. Apka iss baat par dhyna hona chahiye ki, apne blog post par adhik se adhik traffic lana hai aur iss prakriya ko continue karte rehna hai.

Blogging se affiliate marketing karna bahut jyada effective method hai. Kyunki blogging shuru karne ke liye jyada paise nahi lagte aur aap blogging ke bare me bahut jaldi sab kuch sikh sakte hai.

Yaha Ek hee baat jyada mayane rakhti hai ki, aap apne affiliate marketing ko grow karne ke liye kitna dedication dikhate, kitna samay dete hai aur kitna smart kaam karte hain.

Affiliate Marketing Terminologies

Affiliate Marketing se Jude kuch terms :

  • Affiliates: Publishers jaise aap aur main, jo apne affiliate links ko istemal karke kisi bhi products ko promote karte hai.
  • Affiliate marketplaces: ShareASale, CJ aur Clickbank jaise marketplace hain. Yaha aapko har ek niche ke products mil jayenge.
  • Affiliate link: Ye ek special tracking link hota hai, jo aapko apne affiliate program se milti hai. uss links se aap apne products ke sales aur promotions ko track kar sakte hai.
  • Affiliate ID: Affiliate link ke saman hee hai, lekin kayi affiliate programs ek unique ID pradan karte hain. Jisko apne product page pe add karna hota hai.
  • Payment Mode: Affiliate Programs ke apne alag alag payments mode hote hai. Jaise Cheque, Wire Transfer, PayPal.
  • Affiliate Manager/OPM: Publishers ko optimization tips dekar adhik kamayi karne mein madad karne ke liye kayi company ke affiliate managers hote hai.
  • Commision Percentage/amount: Amount or Percentage jo aapko har sale ke baad milegi.
  • 2-tier Affiliate Marketing: Ye ek affiliate marketing se paise kamane ka ek shandar tarika hai. Isme, aap dusre logo ko kisi specific affiliate program me join hone ko bolte hai, agar aap ke kehne par kisi ne uss program ko join kar liya to uska bhi commission aapko mil jata hai.
  • Landing Page: Apke sales ko badhane ke liye upyog kiya jane vala ek Unique Product Sales Page hota hai.
  • Link clocking: Jyadatar affiliate tracking links bahut lambe aur kharab dikhte hain. Yaha par Link clocking technique ka upyog karna hota hai, jaise ki Thirsty Affiliates. Iski madad se aap kharab dikhne wale links ko unn link mein badal sakte hain jinhe aapke readers ke liye padhna aur samjhna aasan ho jata sakta hai.

Jab bhi aap koi coupons ya discount links dekhte hain, to adhikansh samay ye affiliate link hote hain, aur jab aap uss link se kuch buy karte hain, to uss Publisher/Affiliate ko paise mil jate hai jisne ye link dala hua hain.

Sabhi affiliate programs ke apne apne terms and conditions hote hai. Jaise ki Payout Conditions, Cookie Policy, aur bhi kayi terms hote hai.

Payout condition me kya ho sakta hai? To usme hota hai aapko aapke paise kab milenge. Kuch programs me sales hone ke 30 dino ke baad paise milte hai, to kisi ka 60 dino baad.

Kisi program ka yeh bhi condition hai ki, apka jab $100 commision ho jata hai tab payment karenge.

Par iss par utna jyada sochne ki jarurat nahi hai. ek baar aapke sale hone lagta hai har mahine me, to aapko regular har mahine paise aate jayenge jaise salary aati hai.

Bas shuru ke 30-60 dino ka intezar karna hoga, uske baad aapke jaise jaise sales aate hai, waise aapko paise milte rahenge.

Payout conditions ke sath hota hai, Cookie Policy. Isme kya hota hai, har ek product ka apna ek cookie period hota hai, 30-150 dino tak.

To agar aapke visitor ne aapke link pe click kiya aur usne wo product dekha par kharida nahi, tab uss product ki cookie uske computer me add ho jati hai. samaj lo ki uss product ka cookie period hai 30 din.

To click karne ke din se 30 dino tak wo cookie uske computer me rahti hai. fir agar usne 25 we din bhi wo product kharid liya, tab bhi aapko uska commission milta hai.

New Affiliate Programs kaise search karte hai?

New affiliate program ko find karna challenging hota hai, aur yadi aap isse sahi se karte hain, to aap apni income ko aur jyada badha sakte hai.

New Affiliate Programs khojane ke kuchh methods yaha diye hain:

  • Affiliate Networks: New affiliate programs ko khojne ki sabse acchi jagah hai Affiliate Networks.
  • Affiliatizer: Yah ek Chrome addon hai jo aapko naye affiliate programs ko khojane mein madad karega.
  • Competitor Analysis: Aapke Niche ke top websites ka Analyze Karen, aur usme aapko yeh pata chalega ki ve log konse products ko promote karte hai, uski ek list banaye. yah aapko high value aur profitable affiliate products ko khojne mein madad karega.

Affiliate Marketers ko Paise kaise milte hai? 

Jaldi se bahut sara paise kamane ke liye aur kuch aisa jisme jyada kharcha bhi nahi aata, to yaha par ek aisa hee method hai Affiliate marketing.

Lekin products ko promote karke, sellers ko customers dekar Hume paise kaise milte hai?

Iska javab thoda complicated ho sakta hai.

Affiliate link par click karne ke baad customer ne kuch bhi nahi kharida, to kya aapko paise milte hai? aap itni mehnat se customers ko late hai, par kisi ne kuch buy nahi kiya to kya aapki mehnat kharab ho jati hai? to inn sawalo ke jawab aapko mil jayenge nichhe diye gaye 3 methods me.

Affiliates ko inn methods se Paise diye ja sakte hai:

1. Pay per Sale 

Ye ek standard affiliate marketing ka structure hai. Isme seller affiliates ko uss product ke price ka kuch percentage deta hai, jab bhi koi uss product ko kharid leta hai, uske affiliate link se.

Simple karke bolu to, Isme affiliates ko paise kamane ho, to kisi bhi haal me sales karna hi hoga, tab jakar paise milte hai.

 2. Pay per Lead 

Yeh ek adhik complex method hai, yaha affiliate ko uske dvara laye gaye har ek leads ke hisaab se bhi paise milte hai.

Yaha affiliates ko apne customers ko seller ke website par jake kuch na kuch action lene ke liye razi karna padta hai.

Unn actions me aata hai, uss website ka contact form fill karna, uske product ke trail period ke liye sign up karna, unke newsletter ko subscribe karna, ya koi software ko download karna hoga.

Jab aapke bheje gaye customers inme se kuch bhi ek action bhi lete hai, to usse lead mana jata hai, aur fir uske badle aapko paise milte hai.

By chance sale ho gayi to aur bhi jyada paise milte hi hai. par sale na bhi ho to bhi aap paise kama sakte hai, bas lead honi chahiye.

3. Pay per Click 

Ye paise kamane ka ek accha method mana jata hai. Aapke site ke visitors ne aapke affiliate link par click karke bas seller ke site par chale bhi gaye to bhi aapko paise milte hai, fir waha jake kuch bhi na Karen, tab bhi aapko paise milte hai.

Bas dhyan rakhna hai ki link par click karke seller ke website me jana hee hai.

Waha jake unke taraf se lead ban gayi aur sale ho gayi to aur bhi jyada paise milenge. Iss method me aap jitna jyada traffic unke website par bhejte hai, utna acche se aap paise kamate hai.

Affiliate Marketer kyu bane? iske fayde kya hai?

Affiliate Marketer banane ke kya karan hai?

1. Passive Income 

Kisi bhi Regular Job me aapko paise kamane ke liye 8-10 ghante kaam karne ki avashyakta hoti hai, wahi affiliate marketing aapko sote samay bhi paisa banane ki kshamata pradan karta hai.

Aapko bas shuru ke kuch dino me thoda samay dena hoga kisi product ke promotion campaign par.

Uske badle jo acche results aate hai unko aap bahut dino tak dekh sakte hai, jab tak customers product ko buy karte rahte hai.

Aapka Product Promotion campaign poora hone ke baad aapko apne kaam ke liye paisa milta rehta hai. yaha tak ​​ki jab aap apne computer ke samne nahi hote hain, tab bhi aapke marketing skills aapko paise dete rahenge.

2. Customer support dene ki jarurat nahi 

Kisi bhi product ya service dene wali company ko apne customers ke problems ko solve karne ke liye alag se customer support rakhna padta hai.

Par Affiliate marketing me apko iske bare me kuch bhi sochna nahi hota. Aapko customers ke problems ke bare me kuch bhi support nahi dena hota.

Aapko to bas naye naye customers ko uss company tak leke jana hai jinka product hai.

Ek baar jab sale ho jati hai, to apko commission mil jata hai, aur tab se unn customers ko customer support dene ka kaam uss company ka ho jata hai. aapko kuch bhi nahi karna.

3. Work from Home 

Yadi aap aise vyakti hain jinko kaam karne ke liye office me jana pasand nahi, to aapke liye affiliate marketing iska best solution hai.

Aap ghar par baith kar bhi sabhi products ke liye campaign(Product promotion ke methods) bana sakte hai aur uska commission kama sakte hai.

Kisi bhi kaam ke liye ghar se bahar jane ki jarurat nahi hogi.

4. Cost-effective 

Kisi bhi Businesses ko apne products ko banane aur usse bechne ke liye ek badi amount me paise hone chahiye hote hai. Accha cash flow hona chahiye hota hai.

Par wahi agar affiliate marketing ko dekhenge to isme bahot hee kam paise lagte hai. aap kam paise me isko shuru kar sakte hai aur jaldi se paise bhi kama sakte hai.

Affiliate program me join karne ke liye kuch bhi fee nahi hoti, wo free hota hai. aapko koi bhi product khud nahi banana to aapko uski chinta nahi karni hai.

5. Jitna accha aapka kaam, utna hee accha reward

Baki jobs mein, aap 80 ghante har week kaam karte hain aur tab bhi apko ek hee salary milti hain. Par affiliate marketing aapke kaam ke upar, performance ke upar aapko paise de sakta hai.

Yaha aap jitna kaam karenge, utna aapko return milega. Aap apne affiliate products par jitna acche se likhte hai, jitna accha campaign banate hai, uska return bhi utna accha aayega.

6. SEO ki power ko kam na samjhe

Yadi aap apne blog ka SEO kaise karte hai, yeh sikh jate hai to aap badi sankhya me search engines se organic traffic la sakte hai.

Agar aapki website visitors ko dimag me rakhke optimize ki hai to aap bahut jyada traffic la sakte hai.

Log online jankari ki talash karte rehte hain. Agar apko sahi logon ko apne site par lana hai to, aapko pehle On-page SEO, keyword research, link building ke bare me basic information sikhna chahiye.

Affiliate Marketing Channels ke Types

Jyadatar Affiliates ek jaise hi kaam karte hai apne products ko promote karne me aur usse bechne mein. Par kuch affiliates aise bhi hote hai jo apne alag style se product ko promote karte hai.

1. Influencers 

Influencer ek individual person hota hai, par uske paas ek badi sankhya me logon ko kuch bhi kharidne ke liye raji karne ki power hoti hai.

Ye person affiliate marketing se labh pane ke liye ek best position mein hota hai. unke paas pehle se hee bade numbers me followers hote hain.

Isliye wo badi aasani se unke logon ko sellers ke products tak pahucha sakte hai, social media posts se, blogs se, ya kisi aur method se jaha ve apne followers se baat karte hai.

Aur fir badi aasani se ek accha commission kama sakte hai.

2. Bloggers 

Bloggers ke paas apne blog posts ko search engines me rank karane ki ability hoti hai, jiski madad se ve logon ka aaram se apne blog par laa sakte hai aur fir sales bhi jyada kar sakte hai.

Blogger kisi bhi product par ek accha sa review likhkar, logon ko uss product ko kharidne me raji kar sakte hai. uske badle me wo bhi ek accha commission kama sakte hai.

3. Email Lists

Email marketing chalu huye bahut samay ho gaya hai, par aaj bhi email marketing ka istemal karke bahut paise kamaye jate hai affiliate marketing me.

Kuch affiliates ke paas email lists hote hain, jinka upayog ve seller’s ke products ko promote karne ke liye karte hain.

Affiliate samay ke sath apni ek email list bana sakte hai. alag alag campaign banakar apni ek email list bana sakte hai. fir unhi email ko istemal karke products ko promote kar sakte hai.

4. Large Media Websites 

Iss tarah ke websites ka main focus hota hai, lakho logon ko apne site par lana. Aur isliye unko design bhi waise kiya gaya hota hai.

Fir ye websites products ko promote karte hai apne logon ke samne banners ya links ka zariye se. unka conversion rate bhi jyada hota hai.

Aur iske badle me sellers ko bhi bahut jyada sales milti hai, aur wo badi website bhi sabse accha commission kama sakti hai.

Successful Affiliate Marketer kaise bane?                     

1. Affiliate marketing ko Personal banaye 

Yaha par products ki kuchh bhi kami nahi hai, jo aap promote na kar sake. Aap yaha aise products ko chun sakte hai jo logon ke kaam aayenge, jo acche sale ho sakte hai, aur unn products ki quality acchi ho.

Aisa karne se aap ek taraf apna conversion rate badhate hai, to dusri taraf aapka ek brand banane lagta hai.

Aapko aapke Niche ke baki bloggers ke sath accha connection banana hai. uski wajah se aapko backlink mil saken aur aapka rank aur upar jayega aur aapke visitors bhi badh jaye.

Aapke paas jitne jyada visitors honge utna aapka conversion rate jyada hota jayega.

2. Products aur Services par Reviews likhna chalu kare

Aapke niche ke andar aane wale products aur services ke upar reviews banane par aapka focus hona chahiye.

Ab aapko apne brand aur apne knowledge ka istemal karke apne audience ko batana hai ki unhe uss product ko kyun kharidna chahiye, unka kya fayda hoga uss products se.

Agar aapne aapke audience ke sath achha rapport banaya hai, to bahut sare log aap par bharosa karenge aur jaroor buy karenge. 

Online becha ja sake aise har ek product(apne niche ke andar) ka apko review banana hai agar unka affiliate program hai. aap physical products, digital softwares, aur baki services ka review kar sakte hai.

Agar aap ek product ko dusre product (dono products ek hee category ke ho) se comparison ka post banayenge to wo jyada effective ho sakta hai.

Aapko ek detailed information dena hai, jiski madad se sales ho paye, jo convert ho saken. 

3. Apne Campaigns ko soch samaj ke chune 

Aapke paas marketing ke bahut sare skills ho, par uska kuch bhi fayda nahi hoga, agar aapne kisi kharab product ko chuna ho to. Aap hamesha uss products se kam hee paise kamayenge.

Kisi bhi product ko promote karne se pehle, abhi ke samay market mein kis products ki demand hai, iske upar aapko samay deke sochna hoga. Seller ke bare me bhi puri jankari honi chahiye.

Isliye aise product chune jo demand me hai, profitable hai, aur uske seller bhi acche hai, tab jake aapke campaign ko chalu kare.

4. Current trends ke sath bane rahe

Affiliate marketing mein bahut bada competition hai. to aapko har samay new trends par dhyan dena hai, aur uss hisab se badlav karne honge, taki aap baki logon se aage hee rahenge.

Iske sath, jo bhi naye naye marketing techniques aate rahte hai, unme se kuch techniques ka istemal jaroor karna hai, aur unka fayda uthana hoga.

Aapko naye techniques, naye trends, naye content ke sath up to date rehna hoga, taki aapka conversion rates kabhi kam na ho, par badhta jaye. Uski wajah se aapke paise bhi badhate jaye.

2022 mein Affiliate Marketing ke Strategies: 

1. Keval unn products ko promote kare jinse aap familiar hain 

Aapke readers ka aapke upar bharosa banana, aur banaye rakhna Affiliate marketing mein sabse badi baat hai. aur ussi bharose ko khone ka sabse tez tarika unn products ko promote karna hai, jinka upyog aapne pehle nahi kiya ya wo products aapke readers ke liye accha nahi hai.

Yeh baat jaroor yaad rakhe ki, aap kisi ko bhi sidhe product ko kharidne ke liye nahi kahte hain, aap bas unn products ko recommend kar rahe hain.

Aap jitne adhik helpful honge aur jitne adhik quality products ko recommend karenge, utne hee aapke visitors aapke expertise aur aapke knowledge ki wajah se aapke blog par vapas aayenge.

2. Alag-alag sellers ke products ko promote kare

Yadi aap keval ek seller ke products ko promote karte hain, to aap unke commission, unke landing pages aur unke conversion rates ke sath fas jate hain.

Apne Niche ke alag-alag sellers ke sath kaam karna aur unke alag-alag products ko promote karna important hota hai.

Agar aap ek affiliate website banana chahte hai, to apko iss strategy ke sath hee kaam karna chahiye. apke paas jitne jyada sellers aur unke products honge, utne aapko commissions bhi alag-alag aate rahenge. Aur aapko ek fixed income aata rahega.

3. Apne Conversion rates par hamesha tests karte rahe aur usse optimize karte rahe 

Ye Maan le ki aapke paas ek promotion page hai, jaha aap affiliate links ke madhyam se kisi product ko promote kar rahe hain.

Aur aapke paas 5000 visitors/month milta hai, aur conversion rate 2% hai. to aise me aapke paas 100 referrals bante hai.

Agar apko 200 referrals banane ho to aapko kya karna padega? Ya to apko aur 5000 visitors ko badhana padega ya to conversion rate ko 4% karna padega.

Konsa aasan lagta hai? adhik se adhik organic traffic prapt karne ke liye blogging aur guest post ke sath domain authority ko build karna padega aur inn sab ke liye jyada samay bhi jayega.

To fir itna sab karne ke bajay, aapko bas conversion rate ko 2% aur badhakar total 4% karna hoga.

Iske liye landing page optimization, aapke call-to-action ko test karna aur conversion rate optimization jaise techniques shamil ho sakti hai.

Apne site ka par testing aur optimization karke, aap bahut kam prayas ke sath behtar results prapt karenge.

4. Apne Affiliate traffic ke sources par dhyan de

Aapke site par aane wala traffic kaha se aata hai, uska demographics kya hai, iske bare me jankari honi chahiye.

Fir aapko yeh bhi maloom ho jayega ki konse traffic ko konsa product recommend karna hai.

Matlab agar aapke paas koi aisa product hai jo sirf Male ke liye ho, to waise products ko aap females ko recommend karke ka kya fayda.

Isliye demographics mein aapko ye maloom hota hai ki, aapke audience mein Males jyada hai ya Females.

To uss hisab se aapko products recommend karne honge. 

Apke traffic sources mein organic, paid ads, social media, referrals, email ya direct traffic shamil ho sakta hain.

Aap google analytics mein traffic sources ke data ko dekh sakte hai. unme aata hai, time on page, bounce rate, Geolocation, age, gender, time, devices (mobile vs desktop), aur bhi bahut kuch jankari prapt kar sakte hai. iski madad se aap apne highest conversing traffic par jyada dhyan laga sakte hai.

Affiliate Marketing kaise start kare: QNA

Kya affiliate marketing me promotion karne ke liye apna blog hona jaroori hai?  

Jaroori nahi hai, lekin ek blog sabse accha promotional tool hai. yaha par aap kisi product ko promote karne ke liye advertising jaise tareekon ka upyog kar sakte hain. aur ye ek lokpriy tareeka bhi hai.

Par mere liye, affiliate marketing ka adhiktam laabh uthane ka sabse acha tareeka ek blog hai. yaha aap blog kaise banaye jaan sakte hai.

Affiliate marketer banane ke liye kya qualifications hai? 

Affiliate marketer banane ke liye kisi bhi qualifications ki avashyakta nahi hai, halanki acchi copywriting skills aur marketing skills honge to fayda hoga.

Affiliate marketing me aane ke baad sab sikhne lag jayenge to wo accha nahi hoga. To isliye 1-2 skills pehle si ho to kaam thoda aasan ban jata hai.

Ek affiliate Marketer kitna paisa kama sakte hain? 

“Limitless”

Isme kaee affiliate marketer hain jo affiliate marketing ke madhyam se ek mahine mein laakhon dollars tak kama rahe hain.

Iss process par aap kis prakar kaam karte hai ispar sab nirbhar karta hai. aap promotions ke liye apna blog use karte hai ya ads chalate hai, yeh sab baate important hoti hai.

Apna ek blog jaroor banaye aur sath sath paid ads bhi chalaye. blog se aap organic traffic layenge jo lambe samay tak rahega.

Affiliate Program mein shamil hone ke liye kitna kharch hota hai? 

Affiliate Program mein shamil hone ke liye koi shulk nahi hai, free hota hai. halanki, aapki kul lagat iss baat par nirbhar karti hai ki aap kis promotion technique ka upyog kar rahe hain.

Udaharan ke liye, ek blog post mein ek paisa bhi kharch nahi hota hai, lekin PPC marketing, email marketing aur ads ke liye paise kharch karne hote hai.

Aapka budget ho to aap pehle inn paid methods ke sath shuru kar sakte hai, par sath hee mein, apna blog ya youtube channel jaroor banaye, taki unke madad se bhi aap promote kar saken aur wo bhi free mein.

Promote karne ke liye mujhe naye products kaise milenge? 

Marketplaces jaise ki ShareASale, CJ, Clickbank ye sab aapke affiliate product ke research ko shuru karne ke liye ek best place hain.

Aap google me bhi dekh sakte hai ki apke niche me top-performing products konse hai.

Promote karne ke liye best affiliate product ka chayan kaise Karen? 

Upar diye gaye methods se bhi aap maloom kar sakte hai. uske sath aap apne niche mein jo top blogs hai, unn par nazar rakh sakte hain aur dekh sakte hain ki ve konse products ko promote karte hain aur kin methods ka upyog kar rahe hain.

Top bloggers ko yeh baat maloom hoti hai ki, konse products acche hote hai, aur profitable hote hai. to inn top bloggers ko jaroor follow kare.

Affiliate Marketing and Adsense: kya ham dono ka upyog kar sakte hain?

Haan, aap dono ka upyog kar sakte hain kyunki affiliate marketing google adsense ke kisi bhi terms and conditions ko break nahi karta hai.

Vastav mein, mere liye, Affiliate marketing adsense ki tulana mein behtar kaam karta hai. Adsense ke ads ki wajah se aapke readers ko wo baat asahaj kar sakti hai.

Affiliate Marketing kaise start kare: Conclusion

Agar kisi ko yeh pasand hai ki, wo jis tarah se performance karega uske hisab se usko paise milne chahiye, to apke liye Affiliate Marketing ek best option hai, jaha aap apne income ko control kar sakte hai, aapke kaam ke hisab se.

Affiliate marketing ki madad se koi bhi person, ek seller ke sath milkar kaam karte huye, apne product ya services ke bare mein chinta kiye bina apne ghar se kaam karke aaram se ek passive income prapt karne mein saksham hoga.

Apke paas marketing ke acche skills honge to aaram se ek accha income chalu kar sakte hai affiliate marketing karke.

Fir aapka wo full-time income karna hai ya side income karna hai yeh aap ke upar hota hai.

Affiliate marketing ek simple process hai, jo reviews, blogs, social media ke madhyam se kiya jata hai. shuru me jyada kuch alag na kare.

Khas karke apne paise bachake rakhe. Aap ads chalake bhi shuru kar sakte hai, uske liye aapko ads ke bare me acchi jankari honi chahiye. nahi to aap apne paise barbad kar denge.

Iss article mein shamil tips ya methods ko jaroor follow kare, yaha bataye gaye sabhi methods aapke liye positive kaam karenge aisa bhi nahi ho sakta. Shuru me to aapko har ek cheez trail n error ke base par karna hai.

Affiliate Marketing bas paise kamane ke liye kabhi mat karna, kyunki aapke bataye gaye products ki madad se logon ke problems solve hote hai, to aapko uss baat ko hamesha dhyan rakhna hai.

Aap jis bhi product ko promote karna chahte hai, to uske pehle apne audience ke bare me soch ke dekhe ki ye product unke kaam aayega ya nahi. Fir decision le kya karna hai.

Ummed hai, apko ye article pasand aaya hoga. Iss article ki madad se jitney bhi logon ka bhala ho utni hee wo baat hamare liye mayne rakhti hai.

Aapko yeh article pasand aaya ho to isse jaroor baki logon tak share kare, unki bhi madad Karen.

“Sharing is Caring”

Thanks!!

Leave a Comment