Blog Online paise kamane ke best methods mein se ek hai.
To Kya aap sikhna chahte hai, 2023 mein Online blog se paise kaise kamaye?
To main aapko ek baat bata du, blog paise kamane ka ek shandar tarika ho sakta hai, agar aap blog ke process ko samaj le.
blog na keval aapko aapka knowledge logon ke samne rakhne me madad karta hai, balki ye aapko ek accha paisa banane ka bhi mauka deta hai, aur wo bhi full time.
Yaha pe sabse acchi baat ye hai ki, lakho log pehle se hee apne blog se paisa kama rahe hai.
Iska matlab hai ki aap apne blog ko paise kamane ki machine banana chahte hai, to unke tariko ka upayog kar sakte hain.
Iss guide mein, aap sikhenge ki apne blog ko online paise kamane ki machine kaise taiyar kiya jaye.
Hamari madad se, aap blog karne ka ek sahi tarika sikh sakte hai, aur fir aap blog se paise kama sakte hai, aur ye tarika sab naye aur pehle se hee jinke blogs hai inn dono ke liye kaam kar sakta hain.
Yadi aapke blog shuru karne ka asal goal online paisa kamana hai, to ye guide aapke liye hee hai.
Aur jo abhi ek full time job kar rahe hai, unke liye bhi ek side income karne best tarika hai blog.
Yadi aap sirf blog par apni jindagi ko jeena chahte ho, to ye bhi sambhav hai. Aap blog se utna paisa kama hee sakte hai, jiski madad se aap aaram se aur kuch na karte huye bhi acchi life enjoy kar sakte hai.
Bahut sare bloggers ka paise kamane ka tarika sirf blog hai. Aur wo unki jindagi aise jee rahe hai, jo koi normal job karne wala kabhi nahi kar sakta.
blog se paise kaise kamaye iske bare me, maine jo 7 methods bataye hai, ve iss article ke middle part (aadhe bhag) se shuru hote hain, aap sidhe uss par bhi jaa sakte hain.
Lekin main caahta hoon ki aap iss article ko first line se padhe, kyunki maine iss article ke first part mein sabhi important topics ko bataya hai jo aapko blog se paise kamane mein bahut madad karte hain.
To ab iss article ke first aur sabse important part ko shuru karte hai.
kya aap first day se apne blog monetization shuru kar sakte hain?
Jo bade-bade Pro bloggers hai ve yahi suggest karte hai ki aap apne blog ke starting mein paisa kamane ki koshish mein jaldbazi nahi karni chaiye.
Ye bahut important hai ki aap apne readers me aapke bare mein ye impression na jane de ki, aap sirf paise kamane ke liye aur sirf advertising karne liye hee ye blog banaya hai.
Aur aapko shuru me jyada readers/traffic bhi nahi milte, aur aapne tabhi se paise kamane ke tarike dekhne chalu kar diye to ye aapki bahut badi bhul ho sakti hai. Uska aapko nuksaan ho sakta hai.
Jitne log kam honge aapke blog par, utna hee kam paisa aap kama sakenge.
To isliye tab tak wait karna behtar hai jab tak aapke paas badi matra mein log na ho aur aapka blog thode acche levels pe na jaye.
Aur ye aap thode dino me bhi kar sakte hai, agar aapne shuru se apne blog ko aapke readers ko dhyan me rakhte huye banaya to.
Aur aapko kuchh had tak readers milne chalu ho jaye, to uss waqt bhi jaldi nahi karna chahiye. yaha par middle way khojana jaruri hai.
Aap ek month mein ya ek din mein 10,000 visitors ki ummeed kar sakte hain. ye vastav mein aapke blog ke Niche par nirbhar karta hai.
Yaha par Important baat ye hai ki aap pehle se ek plan banaye aur apne goals ko dhyan mein rakhen.
Inn sabko summarize karke bolu to, aapko apne blog ko launch karne ke first minute se paise kamane ke tarikon mein nahi jana hai, lekin aapke paas first day se apni paise kamane ki strategy jaroor honi chahiye.
Yaha par ek acchi khabar ye hai ki, koi bhi sahi tools aur planning ke sath paise kamane ki blog kar sakta hai.
To chaliye ab aapko dikhate hain kaise.
Table of Contents
Chapter 1: blog se Paise kamane ke Basic Fundamental
Apna blog start karte samay aapke paas ek sahi plan hona chahiye ye kafi jaroori hota hai.
- Apna blog ka Topic chunana (Blog Niche)
- Apne blog ke liye ek naam chune (Domain name)
- Ek acche platform par blog banaye (jaise WordPress)
Blog Start karne ke ye kuch initial steps hain, iss liye apne next section par jane se pehle inn sabhi ko karna hee hai.
Blog ka ek topic chune
Aapke blog ka Niche chunane ke bahut sare karan ho sakte vo aap mere blog kaise banaye iss article me bhi dekha sakte, par sabse important hota hai ki aap jo bhi niche lena chahte hai, usme paise kamane ka potential hona chahiye.
Isme ek baat ko samjhna chahiye ki, Log kya chahte hai, logon ke problem kya hai aur unki kya jarurat hai, aur fir inn sawalon ko aapke passion se jodna hoga ya aapka jis bhi chiz me interest ho usse logon ke problems solve hote hai ya nahi ye bhi dekhna hoga.
Aap apne knowledge ka istemal dusro ke problems solve karne mein kaise kar sakte hain?
Best blog topics jinhe profitable mana jata hai:
- Health and Fitness
- Recipes
- Travel
- Parenting
- Specific Diets (keto,Vegan)
- Lifestyle
- Finance
- Home Decor
- Beauty and Fashion
- Making Money Online
- Education
- Tech
Yaha bahut adhik na soche, samay ke sath aapke topic badal jayenge jaise jaise aapke blogs badal jayenge.
Isliye kisi bhi do topics ko lena hai aur unhe ek blog mein combine karna hai.
Blog ka Domain Name decida karna
Ek baar jab aap ye tay kar lete hain ki aap kis topic par blog banana chahte hain, to ab aapke blog ke liye ek accha sa domain dekhne ka samay hai.
Adhikansh Top blog ke naam do categories mein hote hain:
- Aapke blog ka naam aapke khud ke naam se hota hai. Aapne aise bahut se blog dekhe honge.
- Blog ka naam, uss blog ke niche se anuroop hota hai. Matlab agar koi technology ki baat karta ho, to uska domain name bhi technology ko darshata hai, food blog ho to food se related naam hona chahiye aur bhi kayi tarah ke naam hote. hai Agar aap apne blog mein paise kamane ke methods batate hai to aapke blog ka naam waise hee kuch hona chahiye.
Pro tip: Aapka domain name long nahi hona chahiye, likhne mein kathin na ho, aur bolne mein bhi kathin na ho.
Aapke blog ka naam mayane rakhta hai, lekin isse utna bhi seriously nahi lena hai.
Aap ko jo bhi naam accha lagta hai usse chune aur aage jaye, fir wo aapka khud ka ho ya, koi dusra naam.
Apna Blog banaye
Ab jab aapko apna blog ka Niche aur Domain name mil gaya hai, to ye vastav mein aapke blog ko banane ka samay hai!
Yaha pe hum sirf ek outline batane wale hai, aapko puri tarah se dekhna ho ki blog kaise banaye step by step to aap mera ye article dekh sakte hai.
Apna blog banane ke liye, aapko do important things ki jaroorat hogi.
- blog Platform – Ye vah place hai jaha aap apne blog post likhenge, unhe edit karenge aur publish karenge.
- blog Host – Jaise aap aapka ghar banane ke liye ek jagah lete hai, waise hee aapko apne naye blog ko banane ke liye internet par ek jagah buy karni padti hai. Ek blog host ya web hosting aapko ye jagah buy karne aur secure karne mein madad karta hai!
Right methods ke sath apna blog start karne ke liye hum naye bloggers ke liye Bluehost (Best blog Web Host) ke sath, WordPress (Best blog platform) ka upyog karne ki salah dete hain.
WordPress aur Bluehost blog ke liye sabse behtar options hain kyunki:
- Mere jitne bhi successful blogger friends hai, unme se 95% logon ne wordpress par hee apne blog banaye hai.
- Bluehost naye bloggers ke liye ekdum best option hai aur isme aapko 24/7 customer support milta hai
- WordPress ke sath Bluehost ek click me Website bana deta hai, aur kafi assan steps hote hai.
- To aap bhi Bluehost ke sath sirf $3.95/month (53% discount) me shuru kar sakte hain.
Chapter 2: Blog ka design best hona chahiye
Ek Sach batau to, mujhe lagta hai ki naye bloggers shuru me apna bahut sara samay sirf apne blog ko design karne me hee kharch karte hai, aur ye unki bahut badi mistake hai.
To yaha dekhte hai, jyada samay na kharch karte huye kaha se start karna hai:
1. Blog ke liye Best Theme chune
Apne blog ko accha dikhane ke liye aap shuru se jo steps le sakte hain unme se ek hai apne blog ke liye ek best theme chunana.
Blog theme ek pre-made template hota hai jise aap apne pasand ke anusar upload aur customize kar sakte hain.
kuchh themes paid hote hai aur to kayi themes aapko free bhi milte hain. Aap free theme se bhi start kar sakte hain, lekin paid theme bahut behtar aur usme bahut sare customization kar sakte hain.
Humare Favorite Free blog themes:
Humare Favorite Paid themes:
- New Bloggers ke liye: Divi Theme
- Advanced Bloggers ke liye: Genesis Framework
2. Blog se paise kamana ho to Website ka speed bahut important factor hai
Yadi aap ka page load hone mein 4 seconds se adhik samay leta hai, to aap potential readers ko 17.1% lose kar dete hain.
Aise bahut sare karan hote hai jispar aapka page speed aur site speed depend karta hai jaise, aapki blog theme, plugins, page builder, images.
Aap Ki site ka speed badhane ke liye bahut sare tools hai, unme se yaha humare favorite aur jo hum khud bhi upyog karte hain aise tools bataye hai:
- Speed boosting plugins: Optimus, Cache Enabler, aur WP-Optimize
- Images ka size short karne ke liye (yadi image ka size bada hain to website ko slow kar deta hai): ShortPixel
3.Website mobile par bhi Good looking honi chahiye
Kyunki hum mein se jyadatar log laptop/computer se blog karte hain, par hum bhul jate hain ki humari website mobile par kaise dikhayi deti hain.
In General, aapke blog par aane wale 60-70% log apne mobiles se hee dekhte hai.
Iska matlab ye hai ki mobile par aapki site kis tarah dikhayi deti hai, vah Desktop ki tulana mein adhik important hai.
To aapka blog mobile me bhi accha dikhe iske liye kuch tips bataye hai:
- Mobile responsive theme ka upyog kare (jo humne upar theme suggest kiye hai)
- Mobile se aapke conent ko clear aur padhane mein aasani ho aisa banaye.
Humesha naye articles likhne ke baad mobile par apna site check kare aur apne blog mein changes Karen agar jarurat ho to.
4. Other blog design tips
Yaad rakhe ki aap paisa kamane ke liye blog kar rahe hain aur Isliye apka jyadatar dhyan content par hona chahiye – aapke design par nahi.
Aapke blog ka design humesha simple, professional hona chahiye.
Isse pura karne ke liye kuch tips:
- Jo font clear ho aur padhne mein aasan ho uska he istemal Kare, jaise ki Open Sans, Lato, or Roboto.
- 1-2 sentence ke short paragraph banaye. ye aapke content ko padhane mein aasan bana dega.
- Apne content ko aur accha banane ke liye aasani se identify kar sake aise headlines aur sub-headlines ka upyog kare.
Kharab dikhne wala, aur complex design aapke readers ke sir dard aur confusion ka karan banega.
Chapter 3: Logon ki needs ke anusar content banaye
Humne bahut sare types ke content ko likh rahe hain humare alag alag blogs par. aur usme se bahut sare content ko bina kisi goals se likha hai.
Bina kisi goals se matlab uss content se hume kuch bhi paise milte nahi.
Majak nahi kar raha hoon.
Yadi aapko blog se online paise kamana hai, to aap jo content banate usme se adhikansh content ko unn logon par base hona chahiye jo pahle se hee uss content ko search kar rahe hain.
Aisa content jo log pahele se hee internet mein khoj rahe hain, aur uss content ki wajah se unke problems solve hote hai.
Par aap kis tarah samajh payenge ki logon ko kis prakar ki jankari ki talash hai?
1. Keyword Research
Aasan bhasha me bolu to, keyword research matlab, aise keywords ko khojna jinke bare me log internet me khoj rahe hote hai.
Iske liye aapko apne blog ka SEO karna sikhna hoga. Iske liye mera Blog Ka SEO wala article jaroor dekhe.
Yaha pe kuchh acche Keyword research tools hain jo aapko ye pata lagane mein madad karenge ki log kisi topic se related konse keywords khoj rahe hain.
Google Autofill
Jab aap google mein “laptop” type karte hain, to aapne dekha hoga google automatically dusre results bhi samne rakhta hai jaise ki, “blog ke liye best laptop” aur “laptop price, discount” aise kuch kuch results aate hai.
Iska matlab hai ki ye popular keyword hain jo log type kar rahe hain.
Isliye yadi aapke paas ek laptop review hai ya laptop bechane ka koi offer hai, to aap ek blog post bana sakte hai, “blog ke liye sabse popular laptops”.
Free Keyword Research Tools
Paid Keyword Research Tools
Yaha bahut sare Paid keyword tool hain jinhe aap blogger ke roop mein samay ke sath aage badh sakte hain.
Moz’s Keyword Explorer
Moz ka keyword Explorer ek best keyword tool hai jo kisi bhi keyword par bahut sari jankari pradan karta hai, jisme shamil hain:
- Keywords Search Volume
- Keyword difficulty
- Other keywords suggestions
- Aur bhi bahut sari jankari milti hai
SEMRush
Humara sabse faveorite keyword tool hai, kyunki baki tools jo bhi jankari dete hai, wo to ye tool bhi deta hai, par ussi ke sath aur bhi jyada deatils ke sath janakri deta hai jisme shamil hai:
- Website Analysis
- Site Audit
- Brand Monitoring (aapke brand ko internet par kab mention kiya gaya hai ye aap dekh sakte hai)
Mere Iss link pe jake aap SEMRush ko 7 dino tak free mein istemal kar sakte hai.
2. Apne Content ke pichhe ek goal hona chahiye
Yaad rakhe ki aap jo bhi content likhne wale hai uska ek goal hona chahiye. Goal se, humara matlab hai:
- Aapke products ko bechna, ya affiliate sale karna.
- Logon ke Email address prapt karna.
- Aapke community group mein naye log lana.
- Apne readers ko value provide karna.
Kisi bhi random topic ke bare mein post kabhi bhi na banaye. yee paisa kamane wali blog nahi hai . Isme aap apna samay barbad kar denge.
Yadi aap apna focus ek accha content banane par kendrit karte hain, jise log khoj rahe hain, aur unke problems solve karne mein madad kar rahe hain, to aapko blog se paise kamane mein kuch bhi mushkil nahi hogi.
Chapter 4: Blog par visitors aur Fans ko kaise laye
Apne Blog par bahut sare visitors ko lane ke liye aur ek Fan base banane ke liye kayi alag-alag methods hain.
- Google SEO
- Youtube
- Guest blog
- Email marketing
- Forums
Adhikansh blogger turant Facebook aur instagram par chale jate hain kyunki ve internet par wo sabse popular platforms hain.
Par ve bahut bade platforms hain, Isliye ye jaruri nahi ki ye platforms aapko apne blog par traffic lane mein 100% madad kar sakte hain.
Jo bloggers abhi naye hai aur ve blog se paise kamana chahte hai, unke liye humari first advice hogi ki,
Apne blog par traffic lane ke liye kisi bhi ek source se hee start Kare.
Yadi aap sabhi platforms par jane ki koshish karte hain, to aap unn sabhi mein fail ho jayenge.
Blog par traffic kaha se lekar aana hai?
Uske liye 5 sabse popular platforms aur unn sabhi ke Pros and Cons ko dekhte hai.
Yadi aap nahi jante ki facebook kya hai to aapko shayad ek professional blogger banane ki koshish nahi karni chahiye, kyunki aap last 15+ years se internet se dur hain.
Naye Facebook algorithm change ke baad facebook ke madhyam se aapke post par visitors lekar jana bahut mushkil bana diya hai, aur haal hee mein iss platform par video content aur live content ka naya chayan aaya hai.
Pros:
- Bahut bada user base.
- Yadi aap koi product sale karte hain to facebook ads bahut acche hain.
- Facebook Groups specific logon ki ek community banane ke liye accha hain, aur unko aapke blog pe lekar aana aasan hai.
Cons:
- Agar Aapke content par logon ko lana hai, to content aisa hona chahiye jo achanak viral ho sake (shocking, compelling, emotional).
- Facebook par written posts ke liye abhi samay me utna accha nahi raha hai aur videos par adhik focus chala gaya hai
- Content ki value thode time baad khatam ho jati hai aur labme samay ke liye nahi rahti.
Google facebook ke saman hai jisme bahot bada competition aur bahut expensive ads hain, lekin ye ek search platform hai.
Pros:
- Bahut bada user base.
- Content humesha ke liye search ke top results par reh sakta hai jiska ye matlab hai ki aapka post par ranking karne ke baad traffic badhta jayega jaise jaise time jayega.
- Google ka traffic internet par high value ka hota hai. kuch traffic sources mein bahut sare log hain lekin traffic low value vala hota hai.
Cons:
- High competitive aur rank karne ke liye bahut kathin hai.
- Best results dekhne ke liye ek lamba samay lagta hai.
- Baki bloggers ke sath networking ki jarurat hoti hai.
Instagram ek naya par bahut popular social media platform hai, jise lagbhag sabhi log jante hain. blog community mein bahut popular hota hai.
Pro:
- High user base.
- Images aur videos ko instagram par bahut accha response milta hain aur agar aapka blog travel ya fashion niche me ho, to instagram aapke liye hee hai.
Cons:
- log vaha par acche acche photos-videos dekhna chahte hain aur bina ads ke iss platform par mushkil hai.
- Inn dino vaha apni jagah banana kafi mushkil ho raha hai.
Youtube
Youtube baki platforms ki tulana mein puri tarah se ek alag jagah hai. Youtube par apni ek alag se community hoti hai.
Pros:
- Large user base.
- Google jaise hee, isme bhi aapka content hamesha ke liye top rankings mein reh sakta hai jiska matlab aaapko ranking ke baad acchha traffic milega.
- Yaha utna bhi competition nahi hai kyunki logon ko camera par jane me accha nahi lagta.
- Aapke upar trust banane mein madad kar sakte hain, aur adhik sales kar sakte hain.
Cons:
- Iss platform par females ki tulana mein adhik males hai isliye yadi aapka main reader females hai to ye aapke liye utna achha nahi ho sakta hai. par aajkal isme bhi change aaya hai, to aap try kar sakte hai.
- Camera par jane mein comfortable hona chahiye.
- Video editing ek skill hai aur isme bahut samay lag sakta hai.
Youtube aur Google ki tarah Pinterest bhi ek search engine hai, iska matlab hai ki content yaha pe bhi popular rahega aur lambe samay tak search kiya jayega.
Pros:
- Aap kam samay mein jyada traffic la sakte hain.
- Content lambe samay tak search kiya jata hai.
- Traffic free hai.
- logon ko apne blog post par lana aasan hai.
Dhyan rakhane ke liye ek aur factor ye hai ki, Pinterest mein se adhikansh (75% se adhik) females hain, isliye yadi aapka targete audience jyadatar males to aapko ek baar sochna chahiye.
Chapter 5: Email list Build kare
Yadi har roj aapko bahut sare email milte hain to aap unke email list me ho.
Ek email list tayyar karna, ye ek blogger ke roop mein aapki top priorities mein se ek hona chahiye, chahe aap ek naye blogger ho ya aap experienced blogger ho.
Ek blogger ke roop mein ek email list aapki sabse valuable assets hai.
Uska karan yaha hai:
Emails aapke readers ke sath trust build karne mein madad karte hain.
Email aapke dvara chune gaye daily, weekly ya monthly basis par kisi ke personal inbox tak jane ka ek tarika pradan karte hain.
Ye aapke readers ke sath connect karne ka ek aur method hai, aur aap aamtaur par kisi bhi person ke sath email ke madhyam se jyada personal bond bana sakte hain.
Aapke Website par bina kisi ads ke aur bina kisi SEO ke aane vale logon ko aamtaur par “Cold traffic” ke roop mein jana jata hai.
Iska matlab ye hai ki, ve log abhi tak aapko utna acche se nahi jante hai aur unko kuch bhi sale karna bahut kathin hota hai.
Dusri taraf, “Hot traffic” jinme ve log hote hai jo aapko ek aise level par jante hain aur aap par trust karte hain jo unhe aapke products ko buy karne ke adhik chances hote hai.
To ab hum “Cold traffic” ko “Hot traffic” mein kaise convert kar sakte hain?
To aapko apne audience ke sath personal level par connect karne ka ek method chahiye.
Sabse acche aur aasan methods mein se ek email sequence hota hai, matlab kuch time gap se emails karne hote hai.
Emails ka ek accha sequence kisi bhi sale ke bare mein batane se pehle apne audience ke sath trust banane mein madad karta hai.
Aur agar aap inn emails ke sath koi content free me de rahe ho, to ye aur trust banata hai.
Apne blog par subscribers kaise prapt Kare
Acche blog posts likhane ke alava, aapko apne readers ko customers mein convert karne ke liye kuch alag methods istemal karne ki jaroorat hogi.
Step 1: Ek Lead magnet banaye
Lead magnet ek “Free Content” ya koi bhi free ki chiz ke liye ek fancy term hai, jo aap apne subscribers ko unke email ke exchange mein pradan karte hain.
Fir ye kuch bhi ho sakta hai, ek free guide, kisi bhi topic par video, ya tips ya kisi bhi type ka free content ho sakta hai, jo aapko lagta hai ki usme aapke audience ko interest hoga.
Aap chahe ho to isse next level par bhi le ja sakte hain aur isse Ebook ya online course mein badal sakte hain.
Step 2: Apne blog mein Email opt-in add karna
Iske baad, aapko apne blog mein email opt-in add karna hoga taki log aapke free ke content ko pane ke liye aapki email list ke liye sign up kar saken.
Ek accha sa Email opt-in banane ke liye aapko alag se software ki jaroorat hogi, uske liye kayi types ke opt-in hote hai, par aapke liye favorite option hain: Convertkit.
Step 3: Ek Email sequence banaye
Last mein, aapko apne subscribers ko send karne ke liye apna first email sequence create karna hoga.
Email Sequence bahut sare emails ki ek series hoti hai, jo automatically aapke naye subscribers ko send karne ke liye tayyar ki jati hai.
Ye sequence tab tak ho sakta hai jab tak aap chahe aur jitne chahe utne email kar sakte hai. Par hum aapko 4 to 7 days ke sequence ke sath start karne ki advice dete hain.
Aapko apne audience ko apna introduction dekar start karna chahiye aur aapka blog kya hai iske bare me acche se batana hai.
Aapko emails me aapke audience ko kuchh free aur valuable content pradan karna chahiye jo unhe unn topics par educate karane mein madad karta hai jo aapko lagta hai ki unki usme sabse adhik interest hain.
Apne blog ke liye aap jo sabse accha invest kar sakte hain, vo hai apne email list ko store karane aur apne subscribers ko emails send karne ke liye ek best email marketing service.
- Best Paid Email Marketing Service: Convertkit (jo hum upyog karte hai aur aapko recommend karte hain)
- Best Free Email Service: Mailchimp (1000 subscribers tak free)
Kuch aur acche options hai: GetResponse, aur MailerLite.
Chapter 6: Blog ko Optimize kare
Ab hum ek asal mudde pe aaye hai, jo aapke blog ko badal dega.
Abtak aapne blog ka ek proper system dekha hai, jo kaam karta hai. aur isko istemal karke aapne kuch sales bhi kiye honge.
Par ab, isme kuch badlav karne honge jo aapke sales aur increase ho jayenge aur uske sath hee aapke paise bhi badhate hai.
Ye 2 parts ki process hai jisme ek hai, aapke sales page par adhik traffic kaise lana hai ye sikhna aur dusra hai unn visitors ko behtar tarike se kaise sell karna hai ye sikhna.
Aapko adhik se adhik traffic lane aur adhik paise kamane ke liye kuch aur naye methods khojane honge.
Ise karne ke kuch methods mein shamil hain:
- Dusre bloggers ke sath accha bond banana.
- Additional traffic lane ke sources dekhna
- Additional products add karna
- Apne sales ko badhane ke liye apne email opt-in aur landing pages ko optimize Karna
Jyada sales karne ka ek simple formula hai,
Sales = Traffic x Conversion Rate.
Shayad ye aapko kuch samjha nahi hoga, to main ek example se clear karta hu.
- Aapka ek sales page hai, jispar 1000 log aate hai, par sales sirf 20 hote hai, to uss waqt aapke sales page ka conversion rate hota hai 2%. Ab ye 2% kaise aaya ye to samaj chuke honge. 1000 ka 2% kitna hota hai, 20 sahi na.
- To ab hume uss conversion rate ko badhana hoga tab jake aapke sales bhi badh jate hai. To uske liye aap apne landing page pe thoda aur dhyan denge aur email opt-in ko bhi thoda badal denge to aapka conversion rate badal jata hai.
- Uske baad aapka conversion rate 4% tak badh gaya, jiska matlab aapne apni sales ko double kar diya hai (1000 visitors x 4% = 40 sales).
- To ab hume aur aage jana hoga, matlab apne sales ko aur jyada karna hoga. To ab aap conversion rate nahi badal sakte to kya hua, aap jyada logon ko to laa hee sakte hai na. Isliye aapne ab Sales Page ka SEO karna chalu kar diya, to aapke visitors bhi badh jate hai. Samaj lo jo pehle 1000 the, ab SEO karne ke baad 2000 visitors ho gaye.
- Humara abhi conversion rate 4% hai, aur ab humare paas 2000 log aate hai, to ye aapki sales ko wapis double kar deta hai (2,000 visitors x 4% = 80 sales).
To aapne dekha kaise humne 20 sales se 80 sales tak aa gaye. Iske liye aapko bas kuch jagah pe changes karne pade, SEO karna pada.
Aapke sales badhe to aapka earnings bhi to badh jata hai na.
To aapko conversion badhana ho to kuch changes karne hai unme shamil hain:
- Page speed ko badhana.
- Sales pages me changes karna.
- Email opt-ins mein changes karna
- Aur acche se SEO karna
Apne blog se paise kamane ka ye jo part hai wo kafi interesting hai, aap jaise hee positive changes karte hai, aapko turant acche results milna chalu ho jata hai.
Aur ek baar aap iss process ko sikh lete hai to aapko bhi ye bahut interesting baat lagegi.
Aapko haar baar isme kamyabi hee milegi aisa nahi ho sakta. Ye sales and marketing ki duniya hai to aapko isme haar baar alag alag methods try karne honge.
Kuch galat hota hai to wapis se shuru karna hai. Agar humne pichhe mudkar dekha to pehle hume kuch bhi maloom nahi tha, par aaj aap sales, marketing kaise karte hai, iske bare thodi bahut jankari to prapt kar hee chuke hai.
To ab yaha tak aane ke baad aapka blog paisa kamane ke liye taiyar hai, ab humare 7 methods dekhte hain jinki madad se aap acche se paisa kama sakenge.
Blog se paise kaise kamaye: 7 Proven Methods
Yadi aapka abhi blog naya hai aur abtak aapke paas accha traffic bhi na ho, to nichhe bataye gaye Proven methods se aap apne blog se paise kamana chalu kar sakte hai.
1. Affiliate Marketing (kisi Dusre ke products or services ko Promote karna)
Affiliate Marketing aapko marketing ke new form ki tarah lag sakta hai, par ye utana hee purana hai jitna ki jabse online sale chalu hua tha.
Jab bhi koi person aapke recommend ke aadhar par online product buy karta hai, to aapko har baar ek commision prapt hota hai.
Affiliate marketing online paise kamane ka aisa process hota hai, jisme aap kisi aur ke products ya services ko promote karte hai, aur jitna sale hota hai uss hisab se aapko utna commission milta hai.
Aap har ek uss chiz ka affiliate kar sakte hai, jinko aapne khud buy kiye hai, aur apne blog par istemal karte hai.
Isliye, yadi aap wordpress me Studiopress theme ka istemal karte hai, email marketing ke liye Constant Contact ki madad lete hai, ya fir Bluehost hosting ya kisi dusre program ke products ka upayog karte hain, to apne blog par ek resources page bana ke uske andar inn sabhi products ko daal sakte hai apne affiliate links ke sath.
Jaise-jaise aapka blog popular hota hai, baki small ya new bloggers aapko follow karenge aur aap jo bhi products ya service istemal karte hai, usme ve log bhi liye sign up kar sakte hain, iss prakar aapke liye kuchh extra paise chalu ho sakte hain.
Affiliate Deals kaise khojna hai
Isme 3 main points hain jinka upyog aap acche affiliate deals ke khojne ke liye kar sakte hain:
- Direct Affiliate Programs
- Affiliate networks
- Shopping sites Affiliates
Ab inn 3 points ko acche se pure details ke sath dekhte hai.
Direct Affiliate Programs
Bahut sari companies direct affiliate programs provide karte hain. kuch mamlo mein, inn deals ko prapt karna kafi aasan rahta hai.
Iske alava, aap humesha ek behtar commision par negotiate kar sakte hain, jab aap unke products ki adhik sales karte hain.
Kisi bhi affiliate program ko khojane ke liye, google par jaye aur ek simple term search kare.
“[Niche/Product] affiliate Program”
Example ke liye, yadi aap ek marketing blog chala rahe hain. To aap aise khoj karenge: “marketing affiliate program / saas affiliate program”
Yadi aapke liye acche affiliate program ko khojna kathin ho raha ho, to apne competitors ya aapke niche ke kisi popular blog ko check Kare.
Pro bloggers janate hain ki kaun se products acche hote hai aur acche se sale hote hai. To aap unke blogs par jake bhi acche affiliate programs dekh sakte ho.
Affiliate Networks
Affiliate Network ek aisa marketplace hain jo bloggers ko unn merchants/sellers se jodte hain jo apne products ko online promote karna chahte hain.
kuch cases mein, ye unn bloggers ke liye aasan banata hai jo ek place par ek behtar offers ke sath kayi products ko promote karna chahte hain.
Har ek network ke apne Pros aur Cons hote hain, lekin kul milakar ve Bloggers ke liye aasan banate hain. yaha kuch humare favorite Affiliate Networks hain:
Clickbank
200+ million customers ke sath top 100 online retailer ke roop mein, Clickbank worldwide different company dvara banaye gaye digital products ko sell karte hai.
Clickbank 190 countries ke customers ko Digital lifestyle ke products ko deliver karta hai.
Rate: A+ on BBB.org
- Niches: All
- Product Types: Digital aur Physical
- Commission: Merchants ke anusar chnage hota hai.
ShareASale
ShareAsale 17 years se vishesh roop se ek affiliate marketing network ke roop mein business mein hai.
Unke technology ka speed, efficiency aur accuracy ke liye jana jata hai, aur ek fair aur honest business ke roop mein unki ek strong reputation hai.
Ve customers ko Advanced Affiliate Marketing Platform provide karate hain.
Rate: A+ on BBB.org
- Niche: All
- Products Types: Digital aur Physical
- Commission: Merchants ke anusar change hota hai.
CJ (Commision Junction)
Conversant dvara chalaya jane wala CJ affiliate (Commision Junction) ek top ka Global Affiliate Marketing Network hai, jo apne pay-for-performance Program mein specialization rakhta hai.
Rate: A+ on BBB.org
- Niches: All
- Product Types: Digital aur Physical
- Commission: Merchants ke anusar change hota hai.
Rakuten Marketing
Unhe Affiliate Marketing Network ke roop mein number 1 ka place diya gaya tha, aur 2016 mein duniya bhar mein 100 million se adhik orders complete kiye the.
Rate: A+ on BBB.org
- Niche: All
- Product Types: Digital aur Physical
- Commission: Merchants ke anusar change hota hai.
Shopping sites Affiliate
Ye ek aisa marketplace hota hain jaha log physical products sale karte hain. kayi bloggers specific technologies ke bare mein likhte hain jaha ve different goods ko mention karte hain, aur fir waha affiliate links ko aaram se add kar dete hai.
Example ke liye, yadi aapke paas Gardening ke bare mein ek blog hai, to aapko Gardening ke books aur tools ke affiliate programs me apply karna chahiye. Aur fir unke affiliate links aap apne blog me add Karen.
Yaha kuch top Shopping Affiliate Programs hain:
Amazon Associates
Number 1 ka internet retailer aur best global affiliate Program hai. Iska first benefit ye hai ki log Amazon par kuch bhi buy karna jyada pasand karte hain.
Iss program mein participation aasan hai.
- Niches: All
- Product types: Physical
- Commission: Product ki price ka 1% -10%
eBay Partner Network
eBay mein 800 million listings hain, isliye aap apne audience ko fashion, electronics, home goods aur baki bhi products ke affiliate links de sakte hai.
Aapko eBay par top brands aur sellers milenge jo products ki ek lambi chain offer karte hai.
- Niche: All
- Product Types: Physical
- Commission: 50% -70% auction fee
Affiliate Products ko promote karne ke best methods
Kisi Product ya Service ke bare mein review likhe aur uss post mein uss product ya service ki affiliate links shamil karen.
Uss product ya service ke bare me wapis se wahi mat likhe jo pehle se internet pe ho, balki uske sath uss ke apne experience ke bare mein bhi likhe.
Log aaram se ye baat pehchan lete hai ki kon sirf paise kamane ke liye ye sab likh raha hai aur kon in-depth review bata raha hai.
To fir wo waise blogs se kyun kuch buy karenge. Isliye thode real rakhe.
Aap jis bhi products ko ya services ko istemal karte hai, unke sabke bare me reviews post likh sakte ho jisme apna experience batana chahiye.
Aur fir ek resource page bana ke inn sabhi products ko uss page me add karna hai. Unn sabhi ke affiliate links aur reviews post ke link bhi dalne hai.
Aap ko jo bhi top ke products lagte hai, unke banners ko aap apne blog ke header mein, sidebar mein aur posts ke footers me daal sakte hai. To logon tak uss product ke bare me appeal jati hai.
Aap jab bhi koi reviews ka post likhe, tab aapke email list me jo bhi log honge unn sabhi ko mail karna hai, uss post ke bare mein.
Ya kisi affiliate program par acche offers chal rahe ho tab bhi aap unko mail kar sakte ho.
Black Friday aur Cyber Monday jaise samay me kaam aaye aise special promotion ki tayyari karke rakhe.
Ye sabse accha samay hota hai bahut jyada sales aane ka aur jyada paise kamane ka.
Ek important baat: Aap jab bhi kisi affiliate product ko promote karenge, to uske bare mein disclaimer dalna na bhule, fir chahe wo aapka post ho, resource page ho, ya aapke emails ho. Sabhi me affiliate product ke bare me disclaimer jaroor dena hai.
Disclaimer me jyada kuch nahi bolna hai, aap bas ye bol sakte hai ki, iss post me kuch products par mere affiliate links hai, to jab bhi koi uss link se kuch buy karta hai, to mujhe thoda commission milta hai, par aapka usme kuch bhi extra kharch nahi hote.
2. Products ko bechke (Digital aur Physical products)
Bahut sare bloggers affiliate marketing se paisa banana shuroo karte hain. halanki, unme se kuch apne khud ke Digital or Physical products ko bechna bhi shuru karte hain.
Bahut sare bloggers hai jo apna koi accha sa ebook bechate hai ya koi online course bhi bhechta hai apne hee blog par.
Digital Products
Digital products kisi bhi prakar ke ho sakte hai jaise, ebook, online courses, software.
yaha online sale hone wale Digital Products ke bare mein kuch stats diye hain:
- Ebooks 2016 mein sales ke mamale mein $16 billlion ke sath sabse tezi se grow karne wala Digital Product hain.
2016 aur 2020 ke beech iski annual growth lagbhag 16% hone ka anuman hai.
- Online Course Market bade paimane par hai aur 2015-2020 se 5% badhane ki ummeed hai.
- Software-as-a-Service(SaaS) market 2015 mein lagbhag $78 billion dollar hai
aur 2020 mein ye $132 billion dollar tak badhne ka anumaan hai (69%).
Yaha 2 methods hain jinhe aap apne Digital Products ko online bechne ke liye le sakte hain:
- Directly apne Website par sell karna.
- Popular marketplace ke madhyam se sell karna.
Ye dono methods bahut acche hain, lekin unke alag-alag Pros and Cons hai. Chaliyen ab inn dono methods ko pure details ke sath dekhen.
Directly apne Website par sell karna
Kuch cases mein ye favorite method hai, kyunki aapke paas sales process ka adhik control hota hai aur aap apne sales pages ko update kar sakte hain.
Iske alava, aapko apne products ko bechne mein madad karne ke liye apne profits ka ek bada hissa kisi dusre platform par nahi dena hoga.
Halanki, ye sab aapke upar hota hai ki aapke website par sab kuch kaise dikhega aur kaise kaam karega. Jyada sales karna ya nahi karna aapke upar hee hota hai.
Popular marketplaces ke madhyam se Sell karna
kuch cases mein, ye sabse accha method ho sakta hai. Iss ka ek benefit ye hai ki apne products ko popular platform par place karke, iss platform ke ek bade visitors ke samne apna product rakhte hain.
Iski wajah se, aapko apne products ko promote karne ke liye adhik samay aur energy kharch nahi karne hoge.
Par iss method ki ek samsya ye hai ki aapko apne profit ka ek fix percentage dena hoga.
Yaha kuch platform hain jinhe aap dekh sakte hain:
- Envato aisa platform hai jaha aap website templates, HTML codes, marketing themes, aur plugins bech sakte hai aur ye pehle se bahut popular hai.
- Amazon Ebooks bechane ke liye sabse popular place hai, uske sath aap download kar sake aise apps aur gaming ke files bhi bech sakte hain.
- Udemy ek aisi jagah hai, jaha aap apne knowledge ko share kar sakte hai aur online courses ko bech sakte hai.
Aise aur bhi marketplaces hain jinhe aap online dekh sakte hain. ye sab iss baat par nirbhar karta hai ki aap kis tarah ke digital products bechne ka plan bana rahe hain.
Uske liye apna research kare aur ye dekhe ki aapki need kya hain.
Physical Products
Digital products ke sath, aap apne blog ke madhyam se kuch physical products bechane ka vichar kar sakte hain.
Ek blogger ke liye digital products ko bechna normal hai, lekin kabhi-kabhi bloggers t-shirts, posters aur hats bhi bechte hain merchandise karke.
Apne blog ke madhyam se sales shuru karne ke liye, aapke kuch start-up kharch honge.
Aapko kuch samay ka invest karne ki jaroorat hogi. lekin, inn dino kisi bhi product ko online bechana jyada aasan ho gaya hai.
Yaha hum ek pura online store banane ki baat nahi kar rahe hain. yadi aap aisa karna chahte hain, to aapko ek alag solution par vichar karna hoga, jaise Bigcommerce.
3. Services (Consulting ya Design services)
Ye ek attractive method hai jo kayi bloggers paise kanane ke liye upyog karte hain, ve apne redears ko alag-alag services ko provide karte hai.
Inn services mein personal coaching, consulting, writing, design, training, ya baki koi Freelance services shamil ho sakti hain.
Ek baat yaad rakhe, shuru me iss baat se kuch farak nahi padta ki aap apne blog ke madhyam se konse services ko bechne ka decision lete hain, aap logon se ye ummeed nahi kar sakte ki unko aapke services ke bare mein jaldi se pata chale.
Jaise jaise aapka blog bada hota jayega to ye sab bhi chalu ho jata hai.
Apne skills ke aadhar par, aap kayi services ko provide kar sakte hain. aapko kis service mein skills hain, Iske aadhar par, aap content writing, logo design, SEO jaise kisi bhi service ko de sakte hai.
Vastav mein, apni khud ki services ko launch karna bahut aasan hai. aapko bas apne blog par ek page banana hai aur unn services ke bare me batana hai jo aap de rahe hain.
Fir aap iss page ke link ko apne blog ke home pe daal sakte, aur aisi jagah rakh sakte hai jaha aapke visitors jyada visit karte hai.
Apne audience ke liye aapse contact karna aur aapki services ke bare mein adhik jankari prapt karna aasan banayen.
Jaise hee aap apne first 2-3 customers ke sath kaam karte hain, aapke paas apni services ki sales mein sudhar karne ke liye different ideas honge.
Vastav mein, aap payment aur Follow-up jaise kuchh methods ko automatic kar sakte hai.
Aapko marketing ko dimag me rakhke ek design karne ki jaroorat hai jo aapko apni services ko promote karne me aur potential customers tak pahuchane mein madad karega.
Tabhi aap apni services ko online bech sakenge aur acche paise kama sakenge.
4. Advertising (Adsense, Direct ads, other)
Blog se paise kamane ka ek aur tarika ads hota hai. kuch log iss gola ko target karte huye blog banate hain.
Ye ek best options mein se ek hai aur online paise kamane ka ek legitimate method hai.
Aapke blog ko Ads ke layak banane ke kuch factors hote hai usme hai, aapke site par kitna traffic aata hai, blog ka design aur blog ka achha performance. To inn bato par jaroor dhyan de.
Agar aapke blog par 10000 tak mahine me traffic aata hai, to aapka blog acche aur bade advertisers ke samane jata hai, aur tab aapko unke ads milne ka mauka ban sakta hai. Uske badle aap acche paise kama sakte hai.
Aapke blog ka design ek professional blog ki tarah hona chahiye, aur aapke blog me ads ke liye jagah honi chahiye.
Aapko lagatar site traffic bhi rakhna hoga taki advertisers ko aisa na lage ki unka paisa barbad hone vala hai.
Yaha pe bahut prakar ke ads hote hain jo aap apne blog par chala sakte hain, aur kuchh ek cases mein dusare methods ki tulana mein behtar kaam karte hain.
Most popular Ads options jinhe aap chun sakte hain:
Google AdSense
Google adsense aapke blog ko monetize karane ka sabse effective tarika hai. aapke blog ko bade paimane par traffic milne ke baad to aap adsense se bahut accha paisa kama sakte hai.
Maan le ki aapko ek din mein 1,000 visitors mil rahe hain. iska matlab hai ki aap aasani se $200-$300 per month apne blog se kama sakte hain.
Jyada se jyada click prapt karne ke liye apne google ads ko ek plan ke tahat placing kare. kyunki dekha jaye to ads se paise kamane ka ek aasan formula hai, jitne adhik click=utna adhik paisa!
Jab ads ki baat aati hai to Adsense sabse popular option hai. ye ek google product hai jo website par targeted ads dikha kar aapko paise deta hai.
Yaha mai aapko saral bhasha me ek baat batata hu, Samaj lijiye ki aap alag alag web hosting pe acche review likhte ho apne blog par.
To aapka web hosting ke bare mein ek micro niche ho gaya hai, aur ye baat google ko pata hai.
To ab yaha pe hota kya hai, jo web hosting company hoti hai, wo google adwords se unke products ke liye ads chalate hai, taki unke products beche jaa sake.
Aur fir google bhi aise logon ko dekhta hai jinko web hosting ki jarurat hai, jo usse kharid sakte hai.
Aur yaha google ko maloom hai ki aapke blog par aise hee log aate hai. To fir google unn web hosting ke ads aapke blog par chalata hai.
Aur wo web hosting company ne google ko ek click ka jitna paisa diya hai, usme se ek accha percentage(68%) aapko google deta hai, jab unn ads pe clicks hote hai.
Aur ye hosting ke company ke paas bahut paisa hota hai, to wo google ads me bhi utna kharch karta hai, aur agar aapko usme thode bahut click bhi mil jayen, fir bhi aap bahot kama sakte ho.
To iske baad aapko samaj aa gaya hoga ki ek accha Niche kyun lena hai.
Aapka niche aisa ho, jisme aane wali company ke paas bahut paisa hai, aur wo google ads me bhi bahut kharch karta hai, to fir aapko uss niche me apna blog banana hai.
Par jaha itna paisa ho to waha utna competition bhi hoga. To soch samajh ke niche chune aur uss par kaam Karen.
To aapko ek idea aa chuka hoga ki ye ads kaise chalte aur aap kaise paise kamate ho adsense se. to ab hum wapas se adsense ke bare me bachi huyi jankari dekhte hai.
To yaha pe aapko ek adsense campaign banana hoga jo aapke blog niche ke aaspaas hai.
Ye dhyan rakhana hai ki aap apne blog par kyun se ads chalate hain kyunki agar aapne aapke niche se hatkar koi alag ads chalaye, to log uspar click nahi Karenge, fir uss ads ka to kuch fayda hee nahi hoga.
Yadi aap ek fashion blog chala rahe hain, to fashion lines, uske retailers aur fashion brands ke ads lagana ek best option hoga.
Kayi naye bloggers ye sawal humesha puchte rahte hai ki, ‘main adsense se kitna paisa kama sakta hoon?’
Yaha aamtaur par mana jata hai ki 1000 ads impressions se kamayi $1 hai. vastav mein, adsense par impressions ke alag alag rates hote hai unn products ke hisab se aur auction dvara set kiye jate hain.
Kayi websites hai jo adsense se bahut accha kama lete hai, lekin aapko ye samjhne ki koshish karni hai ki aap apni site par kitna kama sakte hain.
Aapko samay ke sath aapke ads ko optimize karna hai, taki aapko acche paise milte rahe.
Aap yaha Google adsense se related mere dusre articles dekh sakte:
- Google adsense kya hai?
- Google adsense account kaise banaye?
- Apne Blog mein google adsense kaise lagaye?
Banner ads
Apne Blog ke Niche/topic ke basis par, ek baar jab specific traffic ke number ko hit karte hai, to aap advertisers ko apne blog par ads ke liye space bechana shuru kar sakte hain. Fir waha pe unke banners lagana hai, aur paise kamana hai.
Aap directly ads space bechane ya BuySellads jaise platform ka upyog karne ke options chun sakte hain.
Direct ads
Iss method me, aap apne blog ke liye ads banane ke liye kisi third party par nirbhar nahi hote hain.
Iske bajaa, aap apne advertisers tak jaa sakte hain aur unke sath direct deal kar sakte hain.
Iss method ka upyog karke, aap apne ads se adhik kama payenge, lekin aapko inn deals ko khojane ke liye kuchh kaam karne honge.
Koi bhi acche se achhe deals pane ke liye, aapke blog mein behtar reachabilty aur accha traiffic hona chahiye. Nahi to aapko aise ads nahi mil sakte.
BuySellAds ya uske saman platforms
BuySellAds jaise platform ke sath, aap unke platform ke maahyam se ads bech sakte hai aur unko manage kar sakte hain.
Aapko bas apne blog par unka diya gaya ek code ko add karna hain jaha aap ads dikhana chahte hain.
Iss platform ka istemal karke aap ye bhi pata kar sakte hai ki, aapke paas jitna traffic hai uske hisaab se ads ke liye kitne paise lene chahiye.
Example ke liye:
- Ek Automotive site hai jo $895/month mein ad place bechte hai wo bhi 125×125 ke banner ke liye.
- Ek design ke bare me site hai, wo har 1000 impressions ke liye $2.50 se $4.00 tak ads bechte hai.
Ads bechke aap regular bahut paise kama sakte hai, bas aapko apne blog pe traffic leke aana hai.
Apne blog par ek advertising page tayyar karna bahut jaruri hai aur usme apne traffic ke bare me, social media audience ke bare me, aapke paas kitne emails ki list hai inn sab ke bare me niyamit roop se update karte rehna hai taki aap monthly basis par apne ads ke price badha saken.
5. Subscription-based Products (Recurring Revenue)
Recurring Revenue ya lagatar paise aate rehna blog community mein bahut popular hai kyunki ye aapke blog par lagatar paise banata rahta hai aur niyamit roop se paisa kamane ka best method hota hai.
Yadi aap consistently apne target audience ke liye high value content ko publish karte hain, to fir ye aapke liye ek aasan baat hai.
Sabse aam recurring revenue technique jise aap online dekh sakte hain vo hai Membership.
Growth aur paise kamane ke sandarbh mein Ebooks bechane ki tulana mein membership model long term mein kahi adhik Faydemand hai.
Membership me, readers premium content, community area, kuch baki acchi services, tools, ya coaching pane ke liye ek monthly amount ka paid karte hain.
New members ko banane ke sath-sath, old members ko unki membership cancel karne se rokne ke liye aapko consistently high quality content publish karna hoga.
6. Blogs Sell karna (Aise blogs banaye jo aap sell kar sake)
Aapka blog sell karna ye aapke dimag me paise kamane ke bare mein last option hona chahiye.
Halanki, yadi aapke paas ek blog hai jo directly aapke naam, products ya services se juda nahi hai, aur jyadatar ads se aane wale paiso par nirbhar karta hai, to aap baad mein apna wo blog sell karne par vichar kar sakte hain.
Aapke blog par jitna adhik traffic, quality content, aur ads se aap paise kamate hain, utna hee adhik price aapke blog ka hota hai jab aap usse bechne jayenge.
Aapka blog popular hai aur badi sankhya me visitors aate hai, to aap apna blog sell karke six figure tak kama sakte hai.
Par aapko kaise pata chalega ki aapka blog sell karne layak hai ya nahi?
Aapko kuch samay baad apna blog sell karne ke liye offers milne shuru ho jayenge.
Jab aisa hota hai, to ye ek signal hota hai ki aapko apne blog ko high bid lagane wale ko bechne ka vichar karna hai ya nahi ye aap par hai.
Aapka blog bechne ke liye agar koi sabse accha platform hai to wo hai, Flippa .
Apne blog sell karna aapke business aur legal inn donon ke liye ek serious affair hota hai, isliye blog ko market me place karne se pahle apne blog ke value ka thik se assessment karna bahut jyada jaruri hai.
7. Other methods (Sponsorship’s, Donations)
Sponsored Reviews
Ads ke liye apne blog par ek small place sell karne ke alava, aap sponsored reviews bhi de sakte hain.
Ye ek aisa tarika hai, jaha koi company ya seller aapko unke products ya service ke bare mein aapke blog par post likhane ke liye paise dete hai.
Yadi aap keval unn products ka select karte hain jo aapke audience ko sabse adhik pasand aayenge, to aap ek accha sa content banakar paisa kama sakte hain, ye ek win-win situation hogi.
Halanki, yadi aap kisi product ko sirf isliye select karte hain kyunki koi aapko paise de raha hai, to aap apni hard work se jo audience laye hai unko kho sakte hain kyunki ve shayad uss products mein interested na ho.
Ek accha sponsored review likhne ke liye, iss baat par zor dena hai ki aap trial period ke liye uss product ya service ka upyog karna chahte hain taki usme kuch jankari mil sake. Iss tarah, aap ek Honest, fair review likh sakte hain.
Donations
Blog par donation button ko add karna utna normal nahi hai, lekin kuch log apne blog efforts ko support prapt karne ke liye iss method ka upyog karte hain.
Kuch cases mein, ye apne expenses ko cover karne ke liye paryapt paisa kamakar deta hai, aur kabhi-kabhi kuch bloggers to isme se bhi accha paisa kamate hain.
Blog se paise kaise kamaye: QNA
1. New start karne wale bloggers Paisa kaise kamate hain?
Yadi aap abhi start kar rahe hain, to paise kamane mein thoda samay lag sakta hai.
Early days mein, bloggers ko apne samay ke badle paise kamane ke liye consulting aur coaching services pradan karni chahiye.
Starting mein traffic kam hota hai, Isliye unn visitors ko high-price customers mein convert karna adhik accha ho sakta hai.
Jab aapke paas kuchh paise aane chalu ho gaye consulting ya kisi aur service se aur traffic bhi increase hota hai, to blogger apne blog mein affiliate links laga sakte hai, digital products bech sakte hai aur ads laga sakte hain.
2. Blogger kitna paisa kama sakte hain?
Bloggers jo paisa banate hain alag-alag methods se kamate hai. Pro-bloggers ke report anusar, per month earnings ke alag-alag level hai:
- 38% bloggers $10 se kam earn karte hain.
- 10% bloggers $10-$99 earn karte hain.
- 17% bloggers $100-$499 earn karte hain.
- 7% bloggers $500-$999 earn karte hain.
- 9% bloggers $1000-$9999 earn karte hain.
- 4% bloggers $10000 se jyada earn karte hain.
3. kya bloggers Tax pay karte hain?
Yes, bloggers ko apni income par tax pay karna hoga, bhale hee ve ek LLC, S Corp ya sole proprietorship me ho.
Aap jaha se bhi paise kama rahe ho agar aapka income, tax slab andar aata hai to aapko tax dena hoga.
4. kya mujhe apne blog ke liye company register karne ki jaroorat hai?
Iska Short answer hai No, aapko blog chalane ke liye kisi company ka naam register karne ki jaroorat nahi hai.
Aap sole proprietor ke roop mein start kar sakte hain aur apne blog income ko apne personal tax ke sath shamil kar sakte hain.
Par baad me aap jyada paise kamane lagte hai, tab aapko kisi dusri entity me jana chahiye. har entity type ke apne fayde hote hai.
To jab aap blog se ho ya kisi bhi methods se jyada paise kamane lage, to kisi tax consultant se ek baar jaroor baat Kare, unki salah le.
Blog se paise kaise kamaye: Conclusion
Yadi aap iss article ke end tak pahunch chuke hain, to bahut sara thanks! umeed hai, humne kuchh to madad ki hogi aapke bade sawal par ki, blog se paise kaise kamaye?
Hume umeed hai ki aapne ek successful blog banane ke liye iss guide ko enjoy kiya hai – blog setup se lekar blog monetization tak.
Aise bahut se methods hai jinse aap blog se paise kama sakte hain, lekin main aapko yahi advice dunga ki aap khud par havi na ho aur ek-ek karke unn methods ko apply kare.
blog se sirf paise kamana ye aapka main goal kabhi bhi nahi hona chahiye, logon ke problems solve karna ye aapka main goal hona chahiye. Ek baar aapko logon ke problems solve karne ki techniques aane lage to aapke samne paise kamane ke kayi sare raste automatically khul jate hai.
Iss article mein bataye gaye sabhi ideas, methods acche se kaam karte hain, aur aapko ye pata lagana chahiye ki aapke blog niche ke liye sabse accha konsa method kaam karta hai.
Kya aapko ye article accha laga hai? Agar haa, to isse dusre logon ki madad ho isliye share jarur Karen.
Thanks!!