Ek Blogger ke roop mein, aap ne Google Adsense kya hai? wo kaise kaam karta hai? iske bare mein nishchit roop se suna hee hoga. Aur ye google adsense account kaise banaye? ye aap iss article me dekhne wale hai.
Aapke Blog se Paise kamane ke tarikon me Google adsense se paise kamana sabse popular baat hai.
Aajkal bahot sare advertising programs hai jo aapko apne blog se paise kamane me madad karte hai, par aaj bhi Google adsense sabse jyada popular hai.
Google Adsense ko 2003 me Google dwara launch kiya tha, aur aaj ye internet par sabse popular advertising program hai.
Sabhi blog, website owners ko unke site par aane wale traffic se paise kamane me Google adsense ka bahut bada hath hota hai. Google har saal $16 billion dollars se jyada bloggers, website owners ko pay karta hai.
Google adsense me account banakar, aap kuch codes aapke site par add karte hai, fir aapke site par ads chalu ho jate hai, aur jab aapke visitors unn ads par click karte hai, tab aapko uske hisab se google ke tarafa se paise milte hai.
Apne WordPress Blog me Google Adsense Kaise lagaye? iske baare me mere pichle article me dekh sakte hai.
Iss article me main unn naye logon ko guide karne wala hu, jinko google adsense account kaise banaye ye maloom nahi hai ya adsense ke liye kaise apply karna hai ye maloom nahi hota hai.
Adsense ke liye apply karne se pehle aap ko kuch avashyaktaye puri karni hongi:
- Sabse pehle, Aapke ke paas ek blog/website honi chahiye.
- Aap ko 18 varsh ki aayu se upar hona chahiye, anytha aapko aapke maata-pita ke naam ka upyog karke apply karna hoga jo aapko aisa karne ki anumati dete hai.
Google Adsense Account Kaise Banaye?
Adsense ne haal hee mein usme account banane ke apne process me badlaav laye hai, aap yaha unn badlaav ko dekh sakte hai step by step:
- Adsense ke liye Sign Up karna
- Apne blog me adsense ke ads ko jodna
- Apply karne ke baad aapko kuch samay tak pratiksha karni hogi, aapka application accept kar liya jata hai ya reject kiya jata hai ye dekhne ke liye.
Dekha jaye to naye adsense account ke approval process me kaafi samay jata hai, aapki site par aane wale users ke liye wo ads acche se kaam kar sake ye sab kuch maloom karne me thoda samay jata hai.
Adsense ke liye apply karne se pehle Adsense Policies ko ek baar jaroor dekhe, acche se samajh le, aur ye dekhe ki aapki site unn sabhi policies ke andar aati hai ya nahi.
Sign up page par aapko unke terms & Conditions bhi dekhne milenge wo bhi aapko dekhna hai. ye sab aapko pehle isliye dekhna ye taki aap kuch error ke sath aaply na kare aur aapka application reject na ho.
Step 1: Google Adsense sign up page par jana

Yaha aapko ek naya google account banane ka vikalp dikhayi dega, ya aap apne maujuda google account ka upyog karna chun sakte hai.
Note: Yadi aapke paas aapke domain name se juda koi custome email id ho, to aap uss email id ka jaroor istemaal kare.
Jab aap Domain specific email address (user@domain.com) ka upyog karte hai, to aapke adsense ke application ko approved hone ki jyada sambhavna rehti hai.
Agar aapke paas aisa email id nahi hai, to aap apne maujuda gmail addess ka upyog kar sakte hai.
Agar aapko jaldi se approval chahiye ho, to main aapko yahi sujhav dunga ki, aap ek domain specific email address banaye, aap ye free me bhi bana sakte hai ZohoMail ke sath.
Step 2: Aapke website ki details add karna

Ye form kafi saral aur aasan hai. aapko bas apne website address aur aapke content ke language ko darj karna hota hai.
Website URL ke liye apne blog address ka upyog kare, aur “http: //” ke bina isse jodna hoga, matlab sirf “www.domain.com”
Step 3: Adsense Contact Information add karna
Ye sabse mahatvapurn hissa hai.

Jab main pehli baar sign up karne ja raha tha, tab maine iss hisse me kuch galtiya kee thi. Isliye aapko ye galtiya nahi karni hai.
Umeed hai, yadi aap iss guide ka palan karte hai, to aap vahi galtiya nahi karenge.
Yaha par “Payee Name” bahut mahatvapurn hai. isme aapko wahi same name dalna hai, jo aapke bank account me hota hai, jis bank account me aap google adsense se paise lena chahte hai.
Yadi aap yaha galti karte hai, to baad me aapke account ka payee name badlna mushkil hoga.
India samet aur bhi kayi desh hai, jaha aap payee name badal nahi sakte ek baar daal diya to.
Isliye iss step par jyada dhyan deke kaam kare, aur baki aapke contact details aur baki jo bhi bacha hai unn sabhi jagah information darj kare aura age badhe.
Step 4: Google Adsense Policies ko accept karna

Adsense Policies ko ek baar padhe aur inn tino checkbox me tick kar de, ye karne ke baad aapko “Submit” par click karna hai. aur aage wale page par aap ek bar aapke application ko review kar sakte hai.
Ek baat jaroor yaad rakhe, aap jo bhi details/information darj karne wale hai, wo sab ekdum sahi ho aur up-to-date hona chahiye.
Jab aap adsense ke liye sign up kar lete hai, aapko waha par codes milte hai, jo aapko apne blog site me darj karna hota hai.
Aapke dvara Code ko darj karne ke baad Adsense team aapke application ki ek baar fir se samiksha karenge, aur fir aap ka Account ek Adsense Pin ke sath Activate ho jata hai, aur wo pin aap ko post se bheja jata hai.
Ye sab aap ki bhaugolik sthiti ke aadhar par lagbhag 1-2 mahine me pura ho jata hai.
Ye sab kuch ek baar set ho jata to hai, to ab aapko Adsense se bhugtan chalu karane ke liye do aur steps ko pura karna hoga:
- Apne Tax information ko darj karna
- Apna Adsense Pin darj karna
Step 5: Apna Tax information Darj karna
Aapka kis tarah ka business hai, aap U.S.A me rehte hai ya nahi, aapka business kaha se chalta hai, aapke business ka U.S.A se kuch connection hai ya nahi, aise sab details aapko isme darj karne hote hai.
Aapke business activity ka U.S.A se koi connection nahi hai, aur Aap Indian Adsense Publisher ho, ye sab sabit karne ke liye nichhe diye gaye form me aap iss prakar ki janakari ko bhar sakte hain.
Aap inn 3 jagah par “NO” ko chun sakte agar aapke blog ka U.S.A se koi connection na ho to:

Step 6: Apna Adsense Pin Darj karana

Jab aapka adsense account $10 ki seema tak pahuchta hai, uske baad aapko post/mail dvara ek Adsense Pin prapt hoga. Bas ab aapko apne adsense account mein pin ko jodna hoga.
Jaise hee aapka adsense account $100 ki seema tak pahuchta hai, tab se aapko bhugtan milna shuru ho jayega.
Google Adsense Account Kaise Banaye: QNA
kya main apne khud ke google adsense ads par click kar sakta hoon?
Aksar naye bloggers apne ads par click karane ke liye khud hee bahot jyada excited rehte hai, ya ve log apne parivaar ke sadasyo ko apne ads par click karne ke liye kehte hain.
Par kripya aisa na kare, google ka algorithm bahut jyada smart hota hai aur google ko pata chal jata hai ki aap kab apne ads par click kar rahe hain. Aur agar aapne apne family me se kisi ko bola, to bhi aapke IP address ya aur kuch na kuch to same hee hoga, tab bhi google ko pata chal jata hai.
Aur aisa karne se aapko adsense program me se ban bhi kiya jata hai.
Google adsense publishers/bloggers ko kab aur kaise bhugtan karta hai?
Har mahine, google adsense aapki pichale mahine ki kamayi ko calculate karta hai aur usse aap account ke “Transactions Page” par dekh sakte hai. yadi aapki threshold se mel khati hai, to aapka bhugtan uss mahine ke 21 tarikh tak kiya jayega.
Isme kayi payment methods hai, Jaise Direct Electronic Transfer, wire transfer, check, Western Union, aur bhi bahut hote hai.
Googlai adsense ne mere application ko reject kyun kiya?
Yadi aapki website adsense program ki policies ya unke Terms & Conditions ko poora nahi karte hai, to google adsense aapke application ko reject kar sakta hai.
Google Adsense Application ko approved karane ke liye kya requirements hai?
Waise dekha jaye to Adsense approval ke liye kafi kam requirements hoti hai, Jaise kee,
- Aapki website aur uske sabhi content ko Adsense program ki policies aur Terms & Conditions ka palan karna chahiye.
- Aapki website kam se kam 6 mahine purani honi chahiye.
- Aap, yani applicant ki aayu 18 varsh se adhik honi chahiye.
Note: Yadi aapka Application sabhi requirements ko poora karta hai, tab bhi google adsense aapke application ko reject karne ka adhikar rakhta hai.
kya main apne wordpress.com blog mein Google Adsense jod sakta hoon?
WordPress.com aapko tab tak Google Adsense ko apni website par jodne ki anumati nahi deta hai, jab tak aap unke Business Plan mein upgrade nahi karte hai.
Yadi aapke paas abhi tak koi blog nahi hai, to aap mere iss article(wordpress me blog kaise banaye) ko jaroor dekhe. Aur online paise kamane ka apna ek best tarika chalu kare.
Umeed hai aapko ye article pasand aaya hoga, aur aap ab samajh gaye honge Google Adsense Account kaise banaye? aur ab aap apna khud ka adsense account bana sakenge.
Iss article ko baki logon tak jaroor share kare, jyada se jyada logon tak jankaari dene ke hamare lakshy me hamari sahayta kare.
Sharing is Caring!!
Thanks!!
1 thought on “Google Adsense Account Kaise Banaye (Step-by-Step Guide for 2023)”