Aaj dekha jaye to market me bahut sare web hosting company hai, aur unke apne apne Pros aur Cons hai. Par unn sabme Bluehost kafi jyada popular hai.
Agar aap blog shuru karne ja rahe hai, to aapke liye ek best web hosting lena jyada aham baat hoti hai. to yaha aap soch sakte hai, kya Bluehost Best web Hosting hai?
Main jyadatar jo web hosting wordpress ke sath acha hota hai, unke bare me hee baat karta hu aur khud kharidta hu.
Aur jab shared hosting ki baat aati hai, to kayi web hostings hain jo apko ek accha shared hosting dete hain. Unme Bluehost aisi hee ek hosting company hai.
Jab bhi web hosting ke sabhi features ke bare me baat aati hai, to bluehost usme hamesha top par hota hai, ya top 3 me aata hai.
Endurance International Group (EIG) ke taraf se Bluehost ho chalaya jata hai. Bluehost me duniya bhar ke 20 lakh se adhik websites hai. to isse aap samajh hee sakte hai Bluehost par Digital Marketing me kitna trust kiya jata hai.
Bluehost kee sabse acchi baat yahi hai ki, ye ek One-stop-shop hai. matlab aapko ek hee jagah par sab kuch mil jata hai, jaise badhiya uptime, tez loading speed, sabse acche features, saste plans aur bhi bahut kuch, jo hum aage dekhenge.
BlueHost ka ek Overview
Bluehost aaj sabse lokpriy web hosts mein se ek hai, jiski reliability, uptime, performance, saste plans aur iske shandar features, excellent customer support ke karan ye aapki website ko grow karane me kafi jyada madad karta hai.
1996 mein 0catch.com namak ek free hosting company ke roop mein apni sthapna karne ke baad se, iss company ne aaj tak ek lamba safar tay kiya hai.
Aaj jo Bluehost aapko pata hai uska ye naam 2003 mein rakha gaya tha. Aaj isme, 750 se adhik karmchari hain aur duniya bhar mein 20 lakh se adhik websites hai.
Bluehost pichle 10 saal se wordpress ke sath partnership mein hai aur wordpress users ki madad karne ke liye apna ek support staff banaye rakha hai.
Bluehost apne users ko saste aur best hosting plans pradan karne mein saksham hai.
Yaad rakhe, aapke dvara upayog ki jane vali web hosting aap ki site ko mahatvapurn roop se prabhavit karta hai. isliye best web hosting ka chayan kare.
Bluehost aapko vo sab pradan kar sakta hai jiski aap ki avashyakta hai jaise, Best Performance aur Security, quick loading time, best Uptime.
Iske alava, ye sabse aasan web hosting hai, agar aap naye ho to aap 1 click me wordpress me blog shuru kar sakte hai, isme ke sath kaam karne ke liye aapko kuch technical knowledge ki bhi jarurat nahi hai.
Kya BlueHost Best Web Hosting hai?
Yadi aap apna ek naya blog shuru kar rahe hain aur web hosting par jyada kharch karne ka sandeh aa raha hai, to Bluehost apke liye ek best web hosting ho sakti hai.
Bluehost apko ek top hosting plan deta hai, $3.95 per month ke sath. Aur uske sath $10- $15 ka ek domain name free deta hai first year ke liye. To aapke domain ke paise bhi bachte hai.
Agar aap kahi dusre sites jaise, GoDaddy se domain lena chahe to aapko alag se utne paise dene padte hai.
Iss plan mein aapko ek free site builder milta hai, sath me ek-click me wordpress install karna mil jata hai, aur 24/7 support bhi shamil hai, ye sab ki wajah se start-ups aur chote business ke liye ye ek best plan banata hai.
BlueHost ke Features:
Bluehost sabhi ke liye ek complete web hosting solution pradan karta hai.
Bluehost web hosting ke Features:
- Unlimited Disk Storage
- Unlimited Domain Hosting
- Free Drag n Drop Site Builder
- Free domain name ek saal ke liye
- International Domain names ko bhi support milta hai
- POP3 secure email support
- Secure IMAP email support
- Forwarding email account aur unlimited emails
- Add-ons Domains, Parked Domains
- WordPress website ke liye 50 GB disk space
- SubDomains
- cPanel account
- FTP access
- Web file manager
- Secure shell (SSH) access
- Hotlink protection
- Override .htaccess support
- MySQL database
- Site Statistics
- Customizable error pages
- Spam assassin protection
BlueHost ke Pros
1. 99.9% Server Uptime
Aap ne kisi aise web hosting ko chun liya, jisme server downtime ka problem baar baar aata hai, to ye aapke business ke liye accha nahi hoga, tab aap kafi loss me ja sakte hai, aur apke site ka user experience bhi kharab ho jayega.
Internet par kisi site ka standard uptime dekha jaye to 99% hota hai. to isliye aapke website ka uptime bhi 99% ya jyada chahiye, agar aisa nahi hota hai to ye apke website ko down kar deta hai.
Bluehost ka uptime to standard uptime se bhi adhik hai, aur iska average uptime 99.9% hai, jo ki bahut adhik hai. aur yahi uptime aapko unke lower-level ke shared plans me bhi milta hai.
Online reviews ke anusar, Bluehost ke jo high-level plans hai jaise cloud hosting aur dedicated server hosting umse to lagbhag 100% ka uptime milta hain.
Halanki, Bluehost ne apne adhikarik website par uptime ke baare kuchh bhi ullekh nahi kiya hai. par unka jo ek page hai “Network/Server uptime agreement”, usme unhone dava kiya hai ki, ve 15 minute ke bhitar server downtime ka issue resolve kar denge.
2. 24/7/365 Customer Support
BlueHost industry mein sabse bharosemand customer support ko pradan karta hai.
Aap unke 24/7/365 customer support ko access kar sakte hai kisi bhi platforms se, jisme shamil hai:
- Live Chat
- Emails
- Ticket system
- Phone calls
- Social media support
Aapke server ya website ka koi issue ho jata hai, aur aapko kisi technical expert se madad leni ho, to bluehost ka phone support sabse accha medium hai, aur bahut aasani se aap unke technical support se baat kar sakte hai.
Halanki, adhikansh samay, aapko kisi bhi technical expert ki avashyakta nahi hoti hai. Bluehost support library mein aapke lagbhag sabhi savalo ke javab diye gaye hai.
3. Security ke upay – Automatic Daily Backups
Aap ke website ki Security sabse aham baat hoti hai. isliye to jyada tar log web hosting ka chayan bhi uske security ko dekhne ke baad hee karte hai.
Iss baat ko dhyan mein rakhte huye, jab suraksha upay ki baat aati hai to Bluehost aapko ek best Security pradan karta hai.
Bluehost ke kisi bhi plan par aapko daily backup milta hai. apne website ka backup rakhna bahut jyada important hota hai. jo bhi bade bade blogs ya websites hai, ve log apne sites ka daily backup lete hee hai.
Bluehost ke backups limited hote hai, to aap kisi third-party backup software ka upyog kar sakte hain ya apke bluehost ke plan ko upgrade kar sakte hain. Taki aap apne website ka daily backup rakh sake aur apka kisi bhi prakar ka data na khoye.
Yadi aapke website par kisi din kuch wrong ho jata hai, to aapko shuru se fir nayi website banana kafi mushkil ho sakta hai. isliye apne site ka backup lena hai.
Iske alava, Bluehost bahut sare acche suraksha upay pradan karta hai, jaise ki sitelock, viruses aur malwares se protect karne ke liye daily scan, server par nirantar nigarani, ek free SSL certificate, aur bahut kuch.
4. High-Speed Servers
Halanki, Server loading ki baat aati hai to bluehost sabse tez host nahi hai, lekin ye adhikansh websites ki aavashyakta ko pura karne ke liye paryapt speed pradan karta hai.
Server loading speed iss baat par nirbhar hota hai ki, aap kis prakar ka hosting istemal karte hai. agar aap shared hosting lete hai to aapko load time aur response time thoda kam milta hai kisi dedicated server ke tulana me.
Halanki, Bluehost ka lowest hosting plan bhi ek accha server speed pradan karta hai, ye ipage hosting se jyada hee speed deta hai, magar siteground se thoda kam speed deta hai.
Aap loading speed ko aur tej karne ke liye Cloudflare CDN ka bhi vikalp chun sakte hai.
5. Plugin Library
Bluehost ki applications ki library kafi lambi hai, aur isme aap alag alag services aur softwares ko istemal kar sakte hai.
Ecommerce ke functions aur Cloudflare ko saksham karane ke alava, yah aapko apne hosting account ko google apps mein plug karane ki anumati deta hai.
Yadi aap apane site aur hosting account mein adhik karykshmata jodna chahte hai, to bluehost ke app library mein kafi vikalp hai.
6. Money-Back Guarantee
Yadi aap iss web host se santusht nahi hain, to bluehost aapko 30-din ki money-back guarantee pradan karta hai, isme koi bhi hidden terms lagu nahi hote hai.
Halanki, kripya dhyan de ki, Aapko full refund prapt karna ho to, aapko 30 dino ke bheetar plan cancel karna hoga.
7. SSL Certificate
Bluehost ka SSL Certificate ‘Let’s Encrypt’ dwara sanchalit hota hai, aur har ek certificate apki website aur apke visitors ke beech me aane wale connection ko protect karta hai.
Aapki personal information, Ecommerce ke len-den, aur baki sensitive data surakshit rahenge.
Bluehost ke sabhi plans me aapko ek free SSL Certificate milta hai.
BlueHost ke Cons
Bluehost mein kisi bhi dusre Web Hostings ki tarah kuch choti kamiya hain, lekin utne bhi nahi jiski wajah se aapke liye kuch loss ho jaye.
1. Renew karte samay Price badh jata hai
Sabhi hosting companies apne prices mein vruddhi karte hain jab renew karne ka samay hota hai, aur isme bluehost apavad nahi hai. Bluehost aapko ek customer ke roop me secure karne ke liye shuru me kafi saste plans deta hai, par wahi price renew ke samay badh jate hai.
Ye har ek hosting company ki mooly nirdharan rananeeti hoti hai. prarambhik avadhi ke baad, aapko shuru ke kharch ki tulana mein jyada masik dar ka bhugtan karna pdta hai.
2. Expensive Upgrades
Bluehost vaastav mein adhikansh baki web hostings ki tulana mein kafi sasta hai, lekin iske add-on features aur upgrades thode mehenge hain.
Yadi aap ek start-up hai ya aapka ek chota business hain, to stock account ka vikalp aapke liye sabse achha hoga.
Yadi aap bahut jyada upgrades karte hai ya security upgrades karna chahte hain, to aapko adhik masik shulk dena hoga.
3. Site Transfer free nahi hai
Adhikansh hosting companies ke vipareet, Bluehost apko site transfer free nahi deta hai. agar apki pehle se koi site hai, aur usse aapko bluehost par lana ho to kuch paise dena pdta hai.
Apni site ko bluehost par lane ke liye, aapko ise svayan karna hoga ya madad ke liye shulk dena hoga.
Aaj ke samay mein, 5 websites tak aur 20 email accounts tak migrate karane ka shulk $149.99 hai.
Halanki, isme ek baat achi hai ki, customer support aur technical support aapko apke site ko transfer karane ke liye puri jimmedari lete hain.
Bluehost ke Hosting Packages
Bluehost ke hosting packages ko flexibility aur scalability par dhyan kendrit karke banaya gaya hai.
Waise to Bluehost shared hosting aur optimized wordpress hosting ke liye ideal mana jata hai, par isme aapko baki hosting vikalp bhi milte hai.
Aapki site kis prakar ki hai, uske liye konsa hosting package suit karega ye sab kuch pehle hee samjhne ke liye Maine ye topic banaya hai, jisme aap dekhenge Bluehost ke sabhi Hosting packages ke bare me details ke sath.
1. Shared Hosting
Shared hosting ko duniya mein web hosting ke sabse lokpriy types mein se ek mana jata hai. aur iss lokpriyata ke piche ek mukhya karan iski kam keemat hai.
Aam taur par, jyada tar sites bade star par grow hone mein viphal rahte hain, isaliye ve shared hosting se jude rahte hain.
Aapki site jitna jyada grow karti hai, waise aap ko apne hosting ko bhi upgrade karna hota hai. lower level ke hosting par aap jyada visitors ke site ko nahi chala sakte.

Bluehost ke shared hosting me bhi alag alag plans hai aur unke apne alag alag features hai, Isme Basic Plan hai jo aapko $3.95 per month milta hai, uske baad Plus Plan hai jo $5.95 per month se milta hai, fir Choice Plus Plan hai jo aapko $6.95 per month se milta hai, aur last me Pro Plan jo $13.95 per month se milta hai.
Yadi aap abhi shuru kar rahe hain, to Basic Plan aapke liye ek behtar vikalp hoga. aapki site grow hone ke baad aap next plan mein upgrade kar sakte hain.
Aap jab bhi koi plan kharidne jate hai, to ek bar price ko acche se dekh lena, kyunki jis price par aap shuru me kharidte hai, wo ek introductory price hoti hai jo hamesha badalti rehti hai.
Aapko sabse adhik features Pro Plan me milte hai, usme kuch extra benefits milte hai jisme, unlimited website space, bandwidth, aapke sabhi websites ke liye support milta hai, dedicated IP address milta hai aur bahut kuchh shamil hain.
Shared Hosting ka upyog kisko karna chahiye?
Yadi aap pehli baar apni website bana rahe hain, to shared hosting sambhavth ek ideal plan ho sakta hai.
Ye sabse sasta hosting vikalp hai aur abhi bhi paryapt sabhi karyakshmata ke saath milta hai. isme aapki site ko grow karne ke liye aavashyak sabhi resources hai.
Jaise hee aapko baki jyada resources ki aur features ki avashyakta hoti hai, aap apne web hosting plan ko upgrade kar sakte hai.
Yadi aap ek aisi site bana rahe hai, jisme jyada visitors nahi aayenge, to Shared hosting aapke liye best option hai.
2. VPS Hosting
Jaise-jaise aapki site grow karne lagti hai aur badhte huye traffic ko support karne ke liye aur jyada advanced features ki avashyakta hoti hai, tab aap Bluehost ke Virtual Private Server (VPS) hosting ke sath ja sakte hai.
Ye hosting dedicated server ki tarah hee kaam karta hai, ye aapke physical dedicated server se kafi sasta hota hai. isme aap apne server resources ko bhi aur jyada scale kar sakte hai.
VPS Hosting ke Features
1) 2-8 GB ki RAM
2) 2-4 Cores
3) 1-2 IPs
4) cPanel aur Root Access
5) 30-120 GB SSD storage
6) Pehle saal ke liye ek free domain name
7) Multi-Server management aur File management
8) Add-On options jaise SEO Tools, Domain Privacy, SiteLock aur bhi bahut kuch.
Isme bhi aapko alag alag plans milte hai, unke features ke sath, inn plans me sabse bada antar hota hai Storage space me, Bandwidth me, aur RAM ke bare me.


Vartaman mein, Standard Plan ki laagat $19.99 prati maah hai, Enhanced plan kee laagat $29.99 prati maah hai, aur Ultimate VPS plan kee laagat $59.99 prati maah hai.
Aap apne storage space ki avashyakta, aur bandwidth ki avashyakta ke aadhar par inme se kisi bhi plan ko chun sakte hai.
VPS Hosting ka upyog kisko karna chahiye?
Aise sites jo apne shared hosting ke sabhi plans se aage badh chuke hain, unhe samay ke sath VPS mein upgrade karne par vichar karna chahiye.
Yadi aapke site par adhik traffic ka aana shuru ho chuka hai, aur aapki site jyada grow kar rahi ho, to aapko VPS me jana chahiye.
Iss prakar ki hosting server customization ke adhik se adhik star pradan karte hai, lekin isme aapko sites me limitation aata hai.
Isme aapko ek supar-fast SSD storage bhi milega. Par aapko jyada jarurat hogi to wo apko karna hoga.
Yadi aap ek web development expert nahi hain, to iss advanced hosting se door rahen.
3. Dedicated Server Hosting
Dedicated Server hosting ke saath, aap ek sampurn physical dedicated server hee kiraye par lenge.
Swabhavik roop se, ye ek bhari keemat ke saath aata hai kyunki isme aap apne server ke malik ban jate hai, pura adhikar apka hee hota hai.
Iske Fayde halanki bahut sare hai. aap pure server ko customize kar sakte hai, top ka performance milega, suraksha ke bejod star, kafi jyada storage space bhi milega.
Yaha Dedicated Server hosting ke plans aur unke prices hai:


Standard Plan ki laagat $79.99 prati maah hai aur yah sabse sasta plan hai. Enhanced plan aapko $99.99 prati maah se milega, aur Premium plan ki keemat $119.99 prati maah hai.
Inn plans ke beech mahatvapurn antar unke server speed, storage space, RAM aur Dedicated IP addresses ke sankhy me hota hai.
Dedicated Hosting ka upyog kisko karna chahiye?
Aise website owners jinhe apne server par purn niyantran ki avashyakta hai, ve ek dedicated server ka vikalp chun sakte hai.
Iske alava, yadi aap apne server ko apne business ki avashyakta ke saath customize karna chahte hain, to aapke liye ye hosting sabse achha vikalp hai.
Aam taur par, badi sites jo adhik matra mein traffic prapt karti hain, ve dedicated server ka upyog karte hai.
Iske alava, yadi aapki website ko bahut uchch star ki suraksha ki avashyakta hai, to ek dedicated server sabse achha vikalp ho sakta hai.
4. WordPress Managed Hosting
Agar aap ek wordpress site banana chahte hai, ye web hosting apke liye sabse best vikalp ho sakta hai.
Aap wordpress se optimized site banana chahte hai, to iss hosting ke sath aap ko usme kafi aasani hoti hai. uski wajah se apki site ka performance bhi accha rahta hai.
Iske kuch top Features hai,
- All-in-one marketing center & Dashboard
- SEO, email marketing & social media tools
- Optimized performance
- Unlimited websites and domains
- No traffic limit
- Unlimited web storage
Iske sath aapko ek advanced cPanel milta hai, jisme aapko sitelock security, free SSL certificate bhi milta hai.
Unke kuch alag alag plans aur prices hai abhi ve dekhte hai:


Build Plan aapko $19.95 per month se milta hai, Grow Plan aapko $29.95 per month se milta hai, aur last me Scale plan jo aapko $49.95 per month se milta hai.
Inn plans me sirf storage space, RAM, integrated CDN, backups size, security aur SSL Certificate ka level inn baton me antar dekhne ko milta hai.
5. Reseller Hosting
Bluehost ki Reseller hosting, ResellerClub dwara sanchalit hai, aur ye ek web developer ya kisi vyakti ke liye ideal hosting hai jo ek agency chalata hai jaha ve clients ke sites ko manage karte hai.
Yadi aap ek bluehost grahak hain, to aapko isme 35% Off milega. aap iske sath apni khud ki ek mini hosting company banane ka vikalp chun sakte hai.
Ye plan aapko apne clients ko VPS, Dedicated aur WordPress hosting pradan karane ki anumati dete hai.
Aap 800 se adhik vibhinn hosting-related products ko bech sakte hain, 24/7 support uplabdh kara sakte hain, customized Control panel pradan kar sakte hai.
Iske price alag alag ho sakte hai, iske price aap kis type ka hosting lete hai uss par nirbhar hota hai.
BlueHost ke General Features
1. User-Friendly & Aasan cPanel
Bluehost dvara diye jane vale sabhi hosting plans upyog karne aur configure karne ke liye kafi aasan hai.
Sign up karna, apna hosting account set karna, domain name manage karna, email address ko set karna aur wordpress install karna ye sabhi kaam bahot aasaan hai.
Iske alava, bluehost ka custom-designed control panel aapko apne website ko manage karne me, kuch extra applications aapke site par add karne me, aapka domain name manage karne me kafi aasan kar deta hai.
Aapko inn cheezo ko aur bhi saral banane ke liye tutorials, uchit sahayata milti hai.
2. Low Introductory Price
Bluehost dwara diye gaye sabhi plans aur unke prices ko humne pahle hee dekh liya hai.
Jaise ki aapne dekha hoga, $3.95 prati maah, bluehost industry mein sabse kam introductory price ke saath aata hai.
Ye ek bahut badi baat hai, khaskar jab aap abhi shuru kar rahe hain aur apni pehli website launch kar rahe hain.
Iss keemat me, aapko unlimited bandwidth, free SSL certificate, 5 parked domains, 50 GB SSD storage aur bhi bahut kuch milta hai.
Kam traffic vale website ko chalane ke liye ye sabhi features paryapt se adhik hai.
3. Excellent Customer Support
Jaisa ki apne pehle hee iss article mein upar dekha hai, aap kisi bhi hosting plans me ho, agar koi bhi issue aata hai to aap customer support ki madad le sakte hai.
Aap email support, phone support aur live chat me se kisi ka bhi istemal karke unse baat kar sakte hai, apna issue bata sakte hai. ek baat aur yaha par aap sirf English language ka istemal kar sakte hai.
Isme aapko ek support library bhi milti hai, jisme aap ko sabhi sawalo ke jawab mil jate hai. to uske baad aap shayad hee customer support tak jayenge.
4. Top Security Features
Bluehost aapko sabhi online risks se surkshit karne ke liye kayi surksha suvidhaye pradan karta hai.
Yaha aap ko alag alag spam prevention tools milte hai jaise, Apache SpamAssassin, Spam Experts aur Spam Hammer.
Yadi aap bluehost ke taraf se milne wale email accounts ka istemal karte hai, to ye aapke email inbox ko bhi secure karte hai.
Yaha aap ko Cloudflare support bhi milega jo aapki site ke loading time ko tez karne mein madad karta hai, aur DDoS attacks se aapki site protect karne me madad karta hai.
Aap kis type ka hosting plan lete hai, uss aadhar par aapko SSH (Secure Socket Shell) me bhi access milta hai.
SSH aapki website ki files ko modify karane aur upload karne ke liye ek surakshit drushtikon pradan karta hai.
Baki security features me SiteLock bhi shamil hai, jo aapke site ko regular scan karta hai, aur viruses-malwares ko nikalta hai, DDoS attacks se bachata hai.
5. Quick Installation
One-click install application ke saath, aap apni nayi site par vibhinn applications, softwares aur CMS ko jaldi se install kar sakte hai.
Udaharan ke liye, yadi aap ek wordpress site banana chahate hain, to wordpress ka chayan kare, apni jankari darz kare, aur bluehost automatically aapki nayi website par wordpress install kar dega.
6. Inbuilt Cache Features
Baki features ke sath ye Inbuilt Cache ka feature kafi aham hota hai aapke site ke liye. Bluehost hosting ke sath aapko kisi bhi third-party caching plugin jaise W3 Total Cache ka istemaal karne ki jaroorat nahi pdti. aapko wo inbuilt mil jata hai.
BlueHost me apna account kaise banaye
Apne beginner-friendly functions ke karan, Bluehost ke sath apni website banana nishchit roop se kafi saral hai. iske cPanel se aap one-click par wordpress me blog shuru kar sakte hai.
Step 1: Bluehost.com par visit kare


Bluehost.com par jane ke baad, unke homepage par, aapko “Get Started” button milega. Uspar click karke aap next screen par jate hai, waha aapko kuch information deni hai.
Step 2: Apna ek Web Hosting Plan Chune
Uske baad, aapko ek naye page par le jaya jayega, jahaan aapko shared hosting ke 4 plans dikhayi denge, jaise ki Basic, Plus, Choice Plus aur Pro.



Yaha unn sabhi plans ke sabhi features ko details ke sath bataya hai:
Basic Plan (Naye logon ke liye sabse behtar vikalp)
- 50GB storage space ke sath 1 website host kar sakte hai
- Unlimited Bandwidth, Free SSL Certificate
- 5 email accounts 100MB har ek account ke liye
Yadi aap ek saath kayi websites chalane ka irada rakhte hain ya yadi aap ek ecommerce site launch karne vale hain, to Plus, Choice Plus aur Pro plans aapke liye acche rahenge.
Plus Plan
- Unlimited space ke sath, unlimited websites ko host kar sakte hai.
- Unlimited Email accounts
- Spam Protection, Free SSL Certificate
Choice Plus Plan
- Unlimited space, Unlimited websites
- Unlimited Email accounts, Free SSL Certificate
- Website backup, Domain privacy, aur bhi bahut kuch
Pro Plan
- Unlimited Websites, Unlimited Space
- Unlimited Email accounts
- Spam Protection, SSL Certificate, Dedicated IP, Domain Privacy aur bahut kuch
Yadi aap ek blogger hain ya ek simple online store chala rahe hain, to sambhavat aap Bluehost Basic plan mein ja sakte hain.
Step 3: Apna Domain Name Chune
Jab aap koi plan chunte hain, to aapko apna domain name darj karne ke liye kaha jayega.


Yaha, aapko do vikalp milte hain:
Ya to “New Domain” register kar sakte hai, jo pehle varsh ke liye bilkul mupht hai.
Ya fir yadi aap ke paas pehle se hee ek domain hai, to “I Have a Domain Name” vikalp ko chune.
Yaha par aap apne domain extension me kya chahte hai, uske hisab se domain name chune. Extension jaise ki, .com, .in, .net, .org
Step 4: Personal Details Darj kare
Ek baar jab aap apna domain name chun lete hain (ya baad mein ise chhod dete hain), to aap apna account banane ke liye apne “Personal Information” darz karke aage badh sakte hai.


Yaha aapko apna pehla aur antim naam, email address, password, country, phone number, jaise vivaran darj karne honge.
“Package Information” anubhag tak scroll kare. yaha aap ye chun sakte hain ki aap apne bluehost package ko kitne samay tak chalana chahte hain (12, 24, ya 36 mahine) aur kuch add-ons ka chayan kare.


Samanya add-ons mein, Sitelock, Codeguard Basic aur Bluehost SEO tool start aur aise hee bahut sare vikalp shamil hain.


Aapko sabhi add-ons ki avashyakta nahi hai, isaliye keval uns add-ons ko chune jo aapke liye jaroori ho. Add-ons ke kitne paise add hote hai ye bhi dekhna hai, apne budget ke anusar inka choice karna hai.
Iske baad, aapko ek payment option bhi chunana hoga. Bluehost do bhugtan vikalp pradan karta hai – Credit Card ya Paypal ke madhyam se.
Step 5: Aapka BlueHost me account ban gaya hai
Itna hee! Aap ne aakhirkar bluehost ke liye sign up kar liya hai.


Ab, bas “Submit” button ko hit kare aur uske bluehost aapko ek welcome email bhejega jo aapke hosting account ki pushti karega.
Isme sabhi login details shamil honge jinhe aap ko aarambh karne ke samay avashyakta hai.
Signup prakriya ko pura karne ke baad, aapko cPanel se wordpress install karna hoga, to uske baad aapka wordpress me blog shuru ho jata hai.
BlueHost ke bare mein Kuch Facts
Iss lekh mein, hamane bluehost ke bare mein lagbhag sabhi cheejo ko cover kiya hai – iske hosting plans se lekar iske features aur iske Pros-Cons tak.
Uske baad aapke sawal, kya bluehost best web hosting hai? iss ka jawab aap ko acche se mila hee hoga.
Yadi aap kuch mahatvapurn baate missed kar gaye hain, to yaha bluehost ke bare mein kuch facts diye gaye hain:
- MOJO Marketplace – Ye aapko wordpress, joomla jaise apps aur tools ko tvarit aur aasaani se install karne ki anumati deta hai.
- Sign-up Process – 2-step sign-up process, ek saral aur quick process.
- Domain – Pehle saal ke liye Free domain milta hai. uske baad, aap isse $15.99 se renew kar sakte hai.
- SSL Certificate – Puri tarah se Free.
- Payment Method – Paypal, Credit cards, Debit cards
- Hidden terms & Condition– Aap ko milne wala free domain nahi liya, to bhi aapko uske paise wapas nahi milte. Aap ko lena ho to aapko free milega bas. Aur saath me, hosting aur domain ko renew karte samay unke price mein vruddhi hogi.
- Site Transfer – Kisi dusre hosting se Bluehost me transfer karna, ye prakriya tvarit aur aasan hai, lekin ye mupht nahi hai. aap ko $149 ka ek baar shulk dena hoga. Isme aap ko puri tarah se support bhi milta hai.
- Dashboard & cPanel – Excellent, easy-to-use aur navigation.
Kya Bluehost Best Web Hosting hai: QNA
Aapko isme kis prakar ka Support milta hain?
Live Chat, toll-free phone calls, saath hee emails ke madhyam se Bluehost support milta hai. ye sabhi 24/7 uplabdh hai. ve keval English mein seva pradan karte hain. Yaha par aapko ek support library milti hai, jisme aap ke sabhi sawalon ke jawab mil jate hai, to aapko customer support tak jane ki jaroorat bhi jyada nahi pdti.
Bluehost ke sivay sabse acche vikalp konse hai?
Bluehost ek achha aur reputed Web hosting hai, halanki, kuch achhe bluehost vikalp bhi hain jaise, HostGator, Hostinger aur SiteGround. Aur yaha par top 5 best web hosting in india bhi dekh sakte hai.
Bluehost ka sabse sasta Hosting plan kya hai?
Bluehost ka sabse sasta Basic Plan $3.95 /month hai. pehle billing cycle (3 saal tak) ke baad, yah $7.99 / mo par renew hota hai. ve 30 dino ki money-back guarantee bhi deta hai. matlab dekha jaye to aap first month me free trial hee milta hai. agar aapne 30 dino ke andar cancel kiya to aapke pure paise refund kiye jate hai.
kya aap bluehost ke saath Domain name register kar sakte hain?
Aap apne account ke dashboard ke madhyam se bluehost se domain khareed sakte hain. Yaha par apko domain privacy bhi milti hai uske liye kuch shulk dena hoga. yadi aap bluehost ke higher plan lete hai to aapko domain privacy bhi free me milta hai. iske alava, aap unke sabhi hosting plans ke saath ek varsh ke liye ek mupht domain name prapt kar sakte hain. (yadi aap apni hosting radd karte hain, to aapse domain ke shulk liya jayega.)
kya aap yaha wordpress ko automatically install kar sakte hai?
MOJO Marketplace ke sath wordpress aasani se mupht mein install kiya ja sakta hai. Yaha pe baki web applications bhi hai jisme aap keval ek-click se install kar sakte hai. Jaise Wix, Joomla, Drupal.
Yadi aap bluehost ke WordPress Optimized hosting ko chunte hain, to wordpress aapke liye pehle se hee install ho jayega.
Kya BlueHost Best Web Hosting Hai: Conclusion
Yadi aap excellent Customer support ke saath, bluehost ke features ki vistrit shrunkhala ko dekhte hain, to aapko kam se kam ek baar to Bluehost ko try kar ke dekhna hee chahiye aisa mujhe lagta hai.
Yadi aap ek start-up ho ya aap ka chota business hain, to Bluehost aapke paas sabse achhe vikalpo mein se ek hai.
Bluehost ek scalable hosting pradan karta hai, aap hamesha apne plans ko higher plans mein upgrade kar sakte hain, jab aapka business badhane lagta hai.
Jab Uptime aur Loading time ki baat aati hai, to Bluehost top ke web hosting companies ke bich apna top rank jari rakhta hai.
Iske saath hee, aapko 30 din ki money-back guarantee deta hai, majbut suraksha deta hai, excellent customer support deta hai, free SSL Certificate deta hai, bahut saare user-friendly apps deta hai aur bhi bahut kuch milta hai.
Aur iss industry mein sabse kam price ke plans ke baare mein mat bhulna.
Halanki, yadi aap apne site ko anya kisi web hosting service se Bluehost me aana chahte, to aapko $149 ek baar ka bhugtan karna hoga.
Ye aap ko thoda savdhan kar sakta hai, lekin phir se uss keemat ke badle aap ko milne vali sevaye aur sahayata ant mein layak hai.
Kul milakar, Bluehost Market me sabse achhe web hosting vikalpon mein se ek hai. to aaj hee Bluehost ke sath apne ek naye website/blog ki shuruaat kare.
Ummed hai aapko aapke sawal, “Kya BlueHost Best Web Hosting hai?” ka jawab acche se mila hoga.
Agar aap ko acche se jawab mila ho, to kyu na Bluehost ke sath apni ek nayi Shuruaat kiya jaye.
Aapko ye article pasand aaya hoga, aisi umeed karte hai. agar aapko iss article se kuch bhi naya sikhne ko mila hoga to hume khushi hogi.
Iss article ko baki logon tak share kare, aur ye Bluehost ki puri jankari jyada logon tak bhejne me hamari madad kare.
Aur ye na bhule ki aaj hee aapko Bluehost ke sath apna naya blog shuru karna hai aur online paise kamana chalu karna hai.
Sharing is Caring!!
Thanks!!