2023 mein Online Paise Kaise Kamaye: 25 Best Methods

online paise kaise kamaye

Kya aap apne job karne ke sath kuch extra income karna chahte hai? ya, aap apne job se hatkar ghar baithe paise kamana chahte hai? agar inme se kuch bhi karne chahte hai, to Iska matlab aap sikhna chahte hai, India me Online se Paise Kaise Kamaye

Aapka online paise kamane ka reason kuch bhi ho, aap online paise kamaye ja sakte hai, ye sach hai, aur uske bahut sare methods hai.

Unme se yaha hum Online earn money in hindi ke 25 best earn money online methods dekhenge. To akhir tak padhte rahe, ye aapke kaam aane wala hai.

Aaj Hum sabhi ek digital world mein rahte hain, jaha tezi se technical changes aate rehte hai, aur isliye Online Paise Kaise Kamaye website ye sikhna bahut aasan aur jaroori ho gaya hai.

Yaha pe kuch methods aise bhi hai, jisme aapko Digital Marketing ka thoda bahut knowledge ho to bhi aap aaram se paise kama sakte hai.

Dekha jaye to puri duniya jaise On-Demand Economy ke tarah badh rahi hai. jisme aapko jyada se jyada paise kamane ke raste bane huye hai, aap ghar se bhi apna pura kaam kar sakte hai, ghar baithe lakho mein kama sakte hai, aur iski wajah se apko time ka freedom bhi milta hai.

Kuch methods aise bhi hai, jinki madad se aap online paise kaise kamaye without investment ye bhi sikh sakte hai.

Aap Flexjobs jaise platform ka upyog kar sakte hain taaki ek remote job turant mil jaye aur apna koi bhi freelance kaam chalu kar sakte hai. 

Online Paise Kaise kamaye: 25 Best Methods

To chaliye ab chalu karte hai…..

1. Apne blog se paise kamaye

Blog kaise shuru Kare aur blog se online paise kaise kamaye ye bhi bahut logon ka sawal ho sakta hai, to mera ye dono articles dekh sakte hai

Bahut se log apne vicharo ko express karne ke liye ya apni creativity ko dikhane ke liye ek blog shuru karte hain.

Halanki, yaha bahot se aise log hai, jo apne blog ko ek business bana kar baithe hai, aur mahine ke lakho dollars kama rahe hai.

Har ek blogger utne paise kama nahi sakta, lekin agar aap apne blog par acche se kaam karte hai to aapke paas apne blog ke sath paisa kamane ka ek thos mauka ho sakta hai.

Ek baat yaad rakhe ki iske liye long-term vision rakhna important hai. blogging se aap turant paisa nahi kama sakte.

Lekin, jaise-jaise aapka writing skill behtar hota hai, aapke SEO skills behtar hote hai, aur aapke site par adhik traffic aata hai, tab aapke blog se acche paise banana mushkil nahi hai.

Yadi aap ka goal ek blog shuru karna hai jo aapko paise kamake de, to yaha kuch important tips diye hai:

  1. Ek bade/broad topic/Niche ka chayan Kare jaise, Health, Personal Growth, Marketing, Finance, Relationship.
  2. Hamesha quality banaye rakhe aur kisi bhi vishay par ek best content logo ke samne pesh kare.
  3. Apne blog ka SEO kaise kare ye jaroor sikhe taki usme aap sikhenge apne blog ko kaise rank kar sakte hai. kaise logon ko apne blog par lana hai.
  4. Apne Niche ke best bloggers ke sath accha network banaye.

Ye tips aapko ek sahi disha mein le jayenge. ek baar jab aapka authority blog ho jata hai, usme badi matra mein traffic prapt hota hai, to aapko apne blog se paise kamane ke kayi avasar milenge, jaise:

  • Paid advertising
  • Apne khud ke courses aur products ko bechna
  • Affiliate Products bechna

Apne blog ko shuru karne ka pehla kadam hota hai ek Best Web Hosting chun lena taki aapka kaam aur aasan ho jata hai.

Yaha kuch steps me aap apna blog chalu kar sakte hai:

  1. Bluehost.com par jaye, aur Get started par click kare.
  2. Apna ek hosting plan chune ($3.95/month mere link ke madhyam se 63% off mil jayega) isme apko ek domain bhi free milega first year ke liye.
  3. Ya to yaha apna naya domain le free mein ya pehle se apka koi domain name ho, to usko add kar de.
  4. Apke account ke bare me aur payment ke information bhar dena hai.
  5. Last me Submit par click kare aur apka blog ka setup ho jata hai. Blog kaise shuru karte hai ye article jaroor dekhe, tab apke sabhi sawalon ke jawab mil jayenge.

2. Apni ek Ecom Website banaye

Abhi ke kuch salo/years me Ecom website bahut lokpriy ho rahe hai. Ecom website banana utna bhi aasan nahi hai jitna blog banana aasan hota hai.

Yadi apke paas kuch physical products hai, jo aap online bechna chahte hai, to apna ek Ecom store chalu karna aapke liye bahut accha ho sakta hai.

Online store chalane ke do alag-alag methods hain:

  1. Kisi ek group ke logon ke liye ek niche par koi physical product tayyar karna aur bechna.
  2. Dusre deshon me tayyar hone wale saste products ko kharidna, unhe pack karna aur baad me acche profit ke sath bechna.

Pehla method bahut safal ho sakta hai, lekin iske liye apko bahot sara research karna hoga, alag-alag products ko test karna hoga, alag-alag products par kaam karna hoga, apki unn products ko banane ki eccha hamesha bani rakhni chahiye.

Yadi pehla mathod aapke first online business ke liye thoda jokhim bhara lagta hai, to aap saste me products leke usse acche profit ke sath bechne ke dusre vikalp par vichar kar sakte hain.

Isme aapko popular product ko dekhna hota hai. jo aap AliExpress jaise platform par dekh sakte hai.

Yaha se aap products kharid lenge, unhe wapis se pack karke aapke store se bechna hai.

Baad me aap personally shipping aur order fulfillment ko khud hee sambhal sakte hain.

Ya aap DropShipping jaise popular method ka istemal kar sakte hain, jisme products banane wala apke liye shipping aur baki sab kar deta hai.

3. Print On Demand

Online paise kamane ke liye Print On Demand bhi ek popular method sabit ho raha hai. Yaha bahut se logo ko print on demand ke bare jyada kuch maloom nahi hoga.

To main batata hu, isme kya kiya jata hai. Graphics designer ke liye paise banane ka ye sabse acha method hai.

Apne paas jo bhi design hota hai, usse hum t-shirts, hats, cups, aur bhi aise products par print karte hai aur unhe bechte hai. aapne aise t-shirts dekhe hee honge, jispar alag alag designs hote hai.

Agar apko designs nahi aate to bhi aap kisi graphic designer se design bana le sakte hai, unhe print karke bech sakte hai.

Print On Demand ek tarah se Dropshipping ke saman hai ki jisme aapko khud ke paas kuch rakhna nahi hai, apne paas badi sankhya me store nahi karna, aur products ki shipping bhi apko nahi karni hai.

Par isme aap aapke ek brand name se products bech sakte hai. jo dropshipping me shayad hee kar sakte ho.

Aur isme shipping ka kharcha bhi dena hota hai, to iske liye aapko thode aur price ko high karna hoga ya to jyada sankhya me products bechne honge, tab aap ek accha profit kama sakte hai.

Apne store par aise bahot sare products ko add karke, aap iska Instagram, Pinterest par free promotion kar sakte hai. par isme jyada samay jata hai to aap paid ads ko chala sakte hai.

4. Online course banake apna knowledge share kare

Yadi aapne koi valuable knowledge prapt kiya hai jo dusro ki madad kar sakta hai, to aap ab iska upyog paise kamane ke liye kar sakte hain.

Aap kisi bhi ek chiz me expert ho, uss baat se koi farak nahi padta, usse agar aap online course me badal dete ho to aap bahut aasani se usse bech sakte ho.

Online course platform jaise Teachable, Thinkific aur Udemy apko ek avsar dete hai jaha aap apna koi bhi online course publish kar sakte hai.

Aap logon ko kuch bhi sikha sakte hain ki, kaise likhna hai, apne taxes ko kaise bharna hai, car repair karna, koi musical instrument sikha sakte hai, yaha tak ​​ki drones ko kaise udate hai ye bhi sikha sakte hai.

Aur jaise hee apka course launch ho jata hai, aapke students aapko uska bhugtan karenge aur yaha se aapka ek income chalu ho jata hai.

Jab bhi aapke course becha jayega aapko paise aate rahenge to aap promotion bhi kar sakte hai.

Iske sath aap online coaching aur consulting bhi kar sakte hai, Zoom jaise conferencing platform ka istemal karke.

Yaha aap apna knowledge share kar sakte hai, kisi ek ko(one-to-one) ya ek group ko bhi sikha sakte hai.

Log aajkal alag alag coaches ko dekhte rehte hai, motivation se lekar digital marketing ko sikhne ke liye.

Kya aap ek fitness trainer hain? To aap ab sirf kuch logon tak seemit nahi rahenge.

Ab aap ek online personal trainer ya running coach ban sakte hain. yadi aap ek food expert hain, to aap isse online bhi kar sakte hain.

Yadi aap khud hee padhe huye hain, kisi class ya course ke bina, par aap logon ko value de sakte hain, tab bhi aap paise bana sakte hain.

Aap apne Course ke liye landing pages ko bana sakte hai, Wishpond ya Unbounce jaise tools ke sath aur aaj hee apne courses ko bechna shuru kar sakte hain.

5. Affiliate Marketing

Ab blog shuru karna koi nayi salah nahi hai. lekin, paise kamane ke liye paramparik rasta hai ek blog shuru karna, aapne traffic ko badhana aur aapke site par google adsense ke ads chalu karna. Yahi bataya jata hai.

Par ads ke upar nirbhar hone ke bajay (jisme bahut sara page views chahiye aur SEO me accha knowledge chahiye hoti hai), par yaha apni site ko monetize karne ke liye Affiliate marketing jaise method ka istemal kiya to aap paise bhi jyada kama sakte hai.

Ek Affiliate Marketing site par kuch products ke bare me review likhe jate hai aur unhe recommend kiya jata hai.

Fir, jab koi reader aapke link ke madhyam se uss product ko kharidta hai, to aapko ek commission prapt hoga.

Affiliate Marketing kaise kiya jata hai? ye samajh na ho to iss article ko jaroor dekhe.

Affiliate marketing se kitna kama sakte hai, iska koi javab nahi hai. kuch sites aise bhi hai jo multi-million dollars kama rahe hai sirf affiliate marketing se.

6. Fiverr par apne Gigs banaye 

Fiverr logon ke small services (jinhe Gigs bola jata hai) ko bechne ke liye duniya ka sabse bada marketplace ho gaya hai.

Fiverr kya hai? Fiverr kaise kaam karta hai? iske bare me jankari leni hai to mere iss article ko dekh sakte hai.

Yaha aap koi bhi service bech sakte hain, likhne se lekar translate karne tak, social media posting kar sakte hai, music bana sakte hai, videos par apni awaj de sakte hai, short video clips bana kar de sakte hai!

Yaha aap $5 se kuch bhi service dena shuru kar sakte hai. aap apne service me jitna jyada kuch add kar sakte hai utna karna hai taki aapko jyada paise mil sake.

Dekha jaye to yaha itne paise nahi milte apne kaam ke. Par yaha kuch aise bhi log hai jo sirf yaha se kama kar acche se rehte hai.

Aapko acche paise kamane ho to aapke kaam ko short time me complete karke dena hoga, tab aapka rating bhi badh jata hai, aur aapko orders jyada aane lagte hai.

7. Apne Stock Photos & Videos ko beche 

Yadi aap photos ya videos lena pasand karte hain, to ab aap aapke iss passion se paise kama sakte hain.

Aise kayi sites hain jo aapko apne stock photos aur videos ko upload karne ki anumati dete hain.

Inn site par bahut bada user base hota hai, aur jab koi aapke photos ko kharid leta hai, to aapko uska bhugtan kiya jata hai.

Kuch badi stock photography websites:

Yadi aap ek videographer hain, to iske liye kuch sites hain:

Jab bhi aap apna stock banana chahte ho, tab pehle kuch samay nikal kar upar diye gaye marketplaces par jake dekhna hai ki yaha par kis tarah ke styles popular hai.

Fir, apna khud ka ek Niche banaye aur jitne sambhav ho utne photos and videos upload kare – aapka portfolio jitna bada hoga, aapko success milne ke chances jyada ban jate hai.

8. Freelancer kaam chalu karen

Shayad aapko apne free time mein likhna pasand hoga, facebook pages ko manage karna accha lagta hoga, ya graphic design ka thoda sa kaam karne mein maza aata hai.

To apko batadu agar aapko inn chote chote kaam karne me bhi maza aata hai, to aapke liye bahar bahut kaam hai freelancer ke roop me.

Aur freelansing ke bare mein sabse acchi baat ye hai ki, aap ghar baithe bhi duniya ke kisi bhi kone me baithe client ka kaam kar sakte hai.

Aajkal iss type ke jobs kafi demand mein hain. yadi aapke paas digital skills hai hai, to aap high paying freelance career chalu kar sakte hai.

Aapko bas Flexjobs site me signup karna hai, aur apke samne bahot se jobs aa jayenge.

Sabhi types ke industries ke jobs aap yaha dekh sakte hai. fir aapko jisme bhi skill hai, usme kaam chalu karna hai.

Upwork aur Flexjobs jaise freelancer platforms logon ko customers ki khoj kiye bina online paise kamane mein saksham banate hain.

Aur apko har ek type ka kaam milega, jisme hai Graphic design, logo design, web design, voice-over, aur bhi bahut kuchh shamil hain.

Flexjobs apke income ka kuch bhi percentage nahi leta, wo ek chhote, flat monthly fee ke sath aata hai.

Lekin badle mein, apko high-quality ke kaam dene ka bahut bada kaam karta hai, jisse aap jyada paise kama sakte hai.

To aaj hee apna freelancing ka kaam chalu kare Flexjobs ke sath aur apna online paise kamana chalu kare.

9. Apna ek Youtube Channel Banaye

Youtube duniya ke sabse bade search engines mein se ek hai. Alag alag websites ki khoj karne ke bajay, log entertaining, funny ya informative videos ki talash karte hain.

Ek baar apne youtube ke monetization ke limits (1k Subscribers & 4k Hrs watch time) ko pura kar liya, to aap waha ads laga ke paise kamana chalu kar sakte hai, aur uske sath waha se apke websites par bhi logon ko bhej sakte hai.

Yaha aapko kuch likhne me expert nahi hona hai. yaha bas aapko logon ko videos ke Madhyam se jankari deni hota hai.

Ek survey ke mutabik, har minute 400 Hours ke videos youtube par upload kiye jate hai.

Yadi aap camera ke samne sahaj mehsoos karte hain, aur videos banane ke liye apni kismat azmana chahte hain, to aapko pehle ye sochna hoga ki, aapka channel kya hoga, kis topics par hoga.

Aamtaur par, youtube channels ke do prakar hote hain jo sabse adhik successful hote hain:

  • Entertaining Content: Isme aata hai comedy videos, web series, pranks, reviews, video games aur bhi bahut kuch shamil hai.
  • Educational Content: Isme aap apne kuch skills ke bare me bhi videos bana sakte hai, “How to” iss topic par jyadatar videos banaye jate hai.

Ab ek baar jab aapne tay kar liya ki aap kis tarah ka channel shuru karne ja rahe hain, to isse banane ka samay aa gaya hai.

Sabse pehle, aapko ek youtube channel banana hoga aur ek catchy naam sochna hoga. fir, nichhe diye gaye tips ko dhyan mein rakhe:

  1. Apne videos record karne ke liye ek acche camera ka upyog kare ya to mobile se bhi record kar sakte hai.
  2. Alag alag styles, formats, aur editing techniques ke saath prayog kare jab tak ki aapko logon ki taraf se accha response na aaye.
  3. Log dekhte hee click kare aise title, description aur images ka istemal kare.
  4. Lagatar videos upload karne ka apna ek schedule banaye, taki logon ko ye pata chale ki aap kab videos upload karte hai.

Apne niche ke baki logon ke sath acche se relation banaye, apne community ki madad Kare aur Logon ko entertain karte rahe.

10. Ebooks likhe aur Publish kare 

Amazon Kindle ke saath, aaj Ebook ko publish karna bahut aasan ho gaya hai, jo pehle kabhi nahi tha.

Aapko keval ebook likhane ki jaroorat hai, acche se format karen, baad me ek ebook cover banaye, sab ko acche se milakar ek ebook ban jayegi usse publish karen aur ise promote karna hai.

Aur abhi kindle app lagbhag sabhi devices (laptop, ipads, smartphones) par uplabdh hai, isliye aapko global market milta hai.

Apne ebook ki price $2 – $50 tak rakhe aur yaha aap har ek sale ka 70% kamate hain.

Ebooks me agar apko success pana ho, to ek kaam karna hai. apko usme puri tarah value deni hogi. Ek non-fiction jaise likhna hoga.

Logo ke kisi ek common problem ko dekhe aur uspar aapke paas jo bhi knowledge hai, jitna bhi skill hai, wo sab uss ebook me daal dijiye.

Logon ke common problems kya ho sakte hai, job pane ke best method, interview crack karne ke tips, aise hee bahut sare problems hote hai.

Uspar fir accha solution dena hai iss ebook se. to log khushi se apki ebook kharid lenge.

Agar apko ye kaam aasan nahi lagta hai, to aap apne ebook ke liye ek writer ko hire kar sakte hain, Cover ka design karane ke liye ek graphic designer, aise hee aap dusre logon se bhi apna ye kaam karane mein madad le sakte hai.

Amazon par log kis tarah ke ebooks dekhte hai, konse popular searches hai, ye agar maloom ho jaye to apka aadha kaam aasan ho jata hai.

Iske liye aap kisi bhi keyword tool ki madad le sakte hai.

Ebooks ko bechke online paise kamane ke liye, aap kayi methods se iski marketing kar sakte hain.

Aap shuru ke kuch dino ke liye ebook ko mupht mein de sakte hain. yah aapko kuch samay ke liye search results me high rank par rakhegi aur kuch reviews bhi prapt karane mein madad karta hai, jo aapko baad me paid sale ke liye kafi madad karega.

11. Websites aur Apps par Reviews Banaye 

Yadi aap user experience ke baare mein acche se samjhte hain, to aap yaha pe paise kama sakte hai. User Testing platform aise reviews karne ke liye $10 tak de sakta hai.

Online paisa kamane ka yah ek tez method hai. Aap jab unke websites par jate hai, tab aapke samne questions ki ek list aati hai, to aapko unn questions ke acche se answer dene honge.

Jo log softwares par reviews karke online paisa kamana chahte hain, ve Software Judge naam ke platform ka upyog kar sakte hain.

Aise kayi sites hain jo aapko iss tarah ke reviews ke liye paise dete hain. sabse common website & app feedback sites hain:

12. Freelance Writing kare 

Yadi aap likhna pasand karte hain to online paise banane ka accha avasar hain. Ab purane din chale gaye, jab aapko kisi agent ya publisher par nirbhar hona padta tha, apke lekhna kaushal ko bechne ke liye.

Kya aap hamesha ek kitab ya koi kahani likhna chahte the? To ab, Amazon KDP (kindle direct publishing) ke saath, aap aasani se apna kaam publish kar sakte hain aur Amazon par isse bechana shuru kar sakte hain.

Aap kuch extra money bhi kama sakte hai transcribing karke. Isme kya hota hai, aapko koi video ya audio milta hai usse aap ko likh ke dena hai, matlab video to text convert karna hai.

Aap blogs ke liye articles bhi likh sakte hai, aur words ke anusar paise le sakte hai. Guest Posts likh sakte hai.

Matlab agar apko articles likhna pasand hai, to aapko bahut sare bloggers milte jayenge clients ke roop me.

Fiverr aur Upwork par aapko freelance writer ke taur par list karna hoga. Waha aapko aasani se kaam mil jate hai.

Apko freelance writer me success pana hai, to aapko 1 ya 2 niche/topic par hee likhna hoga. Unme apko expert hona hoga. Apne likhne ke skill ko aur accha banate jayen.

Aap jitna accha, strong content doge utna hee aap jyada paise kama sakte hai. Grammarly ek aisa tool hai, jo apke writing skill ko aur tezi se expert banate jayega.

13. Apne Apps Banaye 

Yadi aap ek developer nahi hain, to aapko yeh App banakar online paise kamana mushkil lagta hoga.

Par aapke liye ek good news hai ki, aise kayi methods hai jinse aap App bana sakte ho, aur aapko kisi bhi programming skills ki jarurat bhi nahi.

In dino, marketers freelance platform ka upyog karke acche developers ko apne Apps banane ka kaam dete hai. baad me unhi apps ko bechke accha paisa kama lete hai.

Ab aap ne bhi aisa koi app bana liya, par aap paise kaise kamayenge? To iska ek best solution hai, Google Play store and the App Store.

Aapko bas apne Apps ko yaha pe add kar dena hai. Yaha apko paid app karna hai ya free ye aap ke upar hai.

Par ek sach batao to aap free app se jyada paise kama sakte hai, agar paid app se toolana karenge to.

Free apps ke saath, aap Ads ya premium features ko jod sakte hain, aur jyada paise kama sakte hai.

Aapne bhi dekha hoga apne play stores me, kuch apps ke nichhe paise diye gaye hote hai aur baki sabhi apps ko hum sidhe install kar sakte hai free me.

Aur apne ye bhi dekha hoga ke jab aap free ke Apps use karte hai to bich bich me ads aate rehte hai. Agar kabhi apne paid App liya hoga to usme koi ads nahi aate.

To isliye free app ko add kar ke usme ads dalna apko jyada paise kama ke deta hai.

Aur apna app free me dete hai, to ye logon ko adhik matra mein aakarshit karega, aur apka app jitney jyada log install karenge utna hee aap ko fayda milega.

14. Advertising Space ko Bechna 

Aap sab ne dekha hee hoga, aap jab bhi kisi website ko visit karte hai, tab baar baar ads dikhayi deti hai.

Jis topic par content hota hai uske aaspaas ke ads jyadatar dikhte hai, to kabhi kabhi kuch alag ads bhi hote hai.

Aapki site par bahut saara daily monthly traffic aa raha ho, tab apke sites se paise kamane ke liye ads ka lagana accha hota hai.

Aapke paas bahut jyada traffic hai aur vo badhta ja raha ho, tab aap ads se accha paise kama lete hai.

Aapko kitne paise mil sakte hai, ye to ads network par nirbhar hota hai. aam taur par aapke site se aane wale impressions aur clicks ke aadhar par aapko paise milte hai.

Waise aap ko chunne ke liye kaee alag-alag ads network hote hain. Par google adsense jyada logon ko maloom hota hai.

Isme aapko unn networks me apply karna hota hai, ek baar apko approval mil jata hai, tab aap ads ko apke site par daal sakte hai.

Aam taur par, Google adsense se acche/jyada paise Kamane ke liye aap ki site par lakhon log har mahine aana jaroori hota hai.

Baki ads network jaise Ezoic aur Media.net hain. donon mein apko apply karna hota hai aur uske baad ve aap ki site ka mulyankan karte hai, fir agar sab sahi ho, to apko approval mil jata hai. inke saath aap acche paise kama sakte hai.

Yadi aap kisi bhi ads network ke sath kaam nahin karna chahte hain to aapke paas khud ads bechne ka awsar bhi hota hai. matlab apke site ki thodi jagah sell karna ads ke liye.

Fir jo bhi aapke uss jagah par unki ads lagana chahte hai, unse aap paise lete hai. yadi aapke paas ek niche ke darshak hai, to yah ek bahut accha vikalp ho sakta hai.

Iske sath aapke paas sponsored content banane ka vikalp bhi hai. isme aapko koi bhi company paise deti hai, unke kisi products ya service ke bare me aap ki site par post publish karne ke liye. Iske liye app Buzzfeed aur Millo inn sites ko dekh sakte hai.

Apne blog par ads space kaise beche? 

Aapke blog par ads bechne ke do methods hai.

Aap ya to isse khud kar sakte hai ya kisi third party ad networks ka upyog kar sakte hain.

Yadi aapke liye ye sab naya ho, to aap third party ke sath jaa sakte hai. ye apke liye aasan hoga, network apne aap sab kaam karte hai, aur aapko monthly paise milte rehte hai.

Ek baar apko iske bare sab idea aa jaye, to aap khud bhi ads ko bech sakenge.

Yaha kuch third party networks bataye hai, jinke sath aap kaam kar sakte hai.

  1. BuySellAds 

BuySellAds ek bahut bada advertising marketplace hai. jinke sath bade bade websites kaam rahe hai.

Yadi aap ka blog unke high-traffic ke requirement ko poora nahi karta, to ve apko asvikar/reject karne ki sambhavna hai.

Iske liye pehle apne blog par jyada traffic lekar aana hai, fir apply karna hai.

Isme sabse acchi baat ye hai ki, buysellads apne users ko total income ka 75% deta hai, jo kafi adhik pratishat hai baki networks se.

Yaha aap mahine mein do baar apna paisa nikalne ka vikalp bhi chun sakte hain.

  1. BlogAds 

BlogAds bahut had tak buysellads ke samaan hai. Inme antar keval itna hai ki ve apne users ko total income ka 75% nahi, 70% dete hai.

Paypal se apne paise lene ke liye, aapko apne blogads account mein min. $75 hona chahiye, aur Check ya Wire Transfer ke liye, aapke paas kam se kam $750 hona chahiye.

15. Apni Website ko Bechna 

Online paise kamane ke sabse profitable methods me se ek hai, apne website ko bechna.

Aapki site ke aadhar par, yah ek bahut hee labhdayak vikalp ho sakta hai.

Aapko kitne paise milenge yeh alag alag factors par nirbhar karta hai, lekin aap aam taur par apne site ke monthly income se isse (12-30*) guna tak adhik kimat me bechne ki ummeed kar sakte hain.

Yaha kuch factors diye hai, jispar aapke site ki kimat banti hai:

  1. Aapke site ki Age
  2. Domain Authority
  3. Aapke site par kitna traffic milta hai
  4. Aap kitna profit kama lete hain
  5. Aap kitne alag alag methods se paise kama lete hai
  6. Apka ek fix revenue kitna hota hai
  7. Aapki site grow kar rahi hai ya down ho rahi hai

Yadi aapko website bechne ke ideas lene hai, ya aap dekhna chahte hai, websites kitne paise me beche jate hai, to aap Empire Flipper Listings ko dekh sakte hai.

16. Email Marketing 

Aap har din aapke inbox mein kitne emails milte hain ye dekhte hee honge. inme se bahut sare ve email newsletters hote hain jinke liye aapne sign up kiya hai.

Kuch emails aise hote hai jinhe kholne ka aap intjar nahi kar sakte, utne important hote hai.

Jabki baki emails aise bhi hote hai, jinhe dekh ke aap sochte honge ye emails aapke paas kaise aa rahe hai.

Ek niche me email newsletter banana aur targeted logon tak pahunchana jiske baad aapko jyada se jyada sells, lead hone ke chance bhi jyada ban jate hai.

Bahut saare business aise bhi hai, jo sirf emails ke madad se bade aaram se lakhon dollars kama lete hai.

Sabse achhi baat ye hai ki ek email newsletter shuru karna utna bhi mushkil nahi hai. Convertkit, Mailchimp aur Aweber jaise platforms ke saath, yah kafi aasan ho jata hai.

Yaha par diye gaye process ko aap follow kar sakte hai:

  1. Apne ek niche ko dekhna aur uspar acche style se emails ko tayyar karna.
  2. Ek Email Marketing Provider ko chunana.
  3. Ek accha sa landing page banaye aur apna traffic uss page pan lana hai.
  4. Last me unn sabhi logon ko Regular emails karne hai.

Aapko customers ke sath accha trust paida karna hoga, taki log aapke emails ko khol ke padhe.

Ek baar jab aapke paas unn logo ki ek badi list ban jati hai jo aapke emails ko kholte hain to aapke uss email list se kayi methods se paise kama sakte hain, jaise:

  1. Apne khud ke digital products ko bechna
  2. Apne course bechna
  3. Affiliate products ko promote karna

17. Websites ko kharidna aur Bechna 

Websites ko kharidne aur bechne ki prakriya, gharon ko kharidne-bechne ki prakriya jaise hee hai.

Aap ek ghar kharidte hai, isse theek karte hai aur accha banate hai, aur isse high profit ke sath bech dete hai.

Yeh prakriya bahut sidhi hai. lekin, bas itna jaan lijiye ki isme jokhim bhi shamil hai. Isliye, uss sites mein paisa na lagaye, jise aap khona bardaasht nahi kar sakte.

Aap kaise websites ko kharidenge aur acche profit se bechenge:

  1. Aapko kam price ke websites dekhne hai, jinhe aap aaram se improve kar sakte hai. Iske liye, EmpireFlippers, Flippa, and We Sell Your Site jaise marketplaces ko dekhe.
  2. Fir aapko kuch baton ka pata lagana hoga, uss website ka revenue kitna hai, traffic kitna hai, kaha se links mile hai, aur website ko bechne ka sahi reason kya hai.
  3. Sab kuch aap ko chahiye waisa ho, to uss site ko kharid le.
  4. Fir uss site par traffic badhne ke liye aur revenue badhane ke liye kuch changes, improvements karne honge.
  5. Last uss site ko acche profit ke sath bech dena hai.

18. Apne Products ko Online Platforms par bechna 

Aapne kabhi socha hai, yaha kitne online platforms ho sakte hai jaha aap apne products ko bech sakte hai?

Aaj bhi kuch business hai jo apne products ko sirf ek platform se bechte hai aur paise kamate hai.

Aap ka kisi bhi prakar ka product ho, aapko alag alag platforms ka use karna hai, aura lag alag logon tak apna product ko bechna hai.

Aap koi product ko Ebay par bechte hai, to sirf waha tak simit nahi rehna hai. Aap apna Ecom store chalu kar sakte hai.

Amazon ka upyog karna shuru kar sakte hai. Facebook, instagram, Pinterest jaise social media platform se apne products ko aaram se bech sakte hai.

Agar apke paas apne alag se creafts related products hai to aap Etsy par bech sakte hai.

Agar aap graphic designer hai, to aap 99Designs, Dribbble aur Society6 jaise sites ko join kar sakte hai.

Yadi aap bahut saara Online paise banana sikhna chahte hain, to aapko apne target market ko samjhana hoga aur ve log kin platforms par jate hai ye dekhna hoga.

Ek baar jab aap samajh lete hai, kin platforms ka istemal karne se aap jyada paise kama sakte hai. to fir aapko unn sabhi sites par apna account banana hai, aur apne products ko waha pe daal dena hai.

Jab aap apna ek online business banana me ready ho jate hai. tab aap sabhi sites ko ek jagah par la sakte hai, Ecom platforms jaise Shopify ke madad se.

19. Apna ek Podcast Banaye

Aaj Content marketing me Audio content kafi tezi se grow ho raha hai. 32% American log monthly podcast sunate hain

Apna podcast launch karke, aap khud ka ek show bana sakte hai, jaha anchor bhi aap aur actor bhi aap honge.

Aapko jis bhi topic me knowledge ho, jo bhi topic aapko acha lagta hai uske bare me bol sakte hai, apna ek audience bana sakte hai, aur ads , sponsorships ke madad se paise bhi kama sakte hai.

Podcast kya hai, iske bare acche se jaankaari lene ke liye, apna kuch samay nikal kar iTunes ya Spotify jaise platforms par top ke podcasts ko sunn sakte hai.

Aise episodes jo apka dhyan khiche waha par ja sakte hai, waha par aapko kuch baton par dhyan dena hai:

  • kya ve koi incredible stories sunate hain?
  • kya ve kuch hasi majak karte hain?
  • kya unke paas ek dilchasp drushtikon hai?
  • kya ve unique interviews karte hain?

Best episodes ko sunane ke baad aap yah samaj jate hai ki, apne khud ke episodes banane ke liye kya shamil karen aur kya na karen.

Podcasting ki duniya mein shamil hone ke liye, aapko sabse pehle ek podcast hosting ko chunna hoga.

Jo apke files(episodes) ko store karke rakhta hai, aur unhe alag alag platforms par share karta hai, jaise iTunes, Spotify, Stitcher, TuneIn.

Apko abhi shuru karna ho to apke liye sabse achhi podcast hosting hogi Buzzsprout.

Unke paas free plans bhi hai, saath me teen paid plans hai jo apko $12-24 prati maah se milte hain.

Buzzsprout aapke files ko host karta hai, unlimited storage deta hai aur 250 GB/month tak bandwidth pradan karta hai.

Podcasting ke sath, aap jitna bhi paise kama sakte hai, wo puri tarah se apke audience size aur unke engagement par nirbhar hota hai.

Aapke paas jitney adhik audience honge, apke episodes jitney jyada download hote hai, aap utne hee jyada paise kama sakte hai.

Podcast ke sath aap inn methods se pasie kama sakte hai:

  1. Aap jis bhi niche par bolte hai, usme aane wale products aur services bech sakte hai.
  2. Apne podcast ke liye ek membership site banaye
  3. Sponsorship, episode shuru hone se pehle uss product ya service ke bare me bolna hai.
  4. Donations.

20. Bachho ko Online Padhaye 

Online English padhana ya bachon ko padhana kuch extra online paise kamane ka ek accha method hai.

Apke paas kuch bhi skill ho aap usse online sikha sakte hai, aur acche se paise kama sakte hai.

Aam taur par, aap skype par students ko sikhane ke badle $25 har ghante ke hisab se le sakte hai.

Yadi aapko ye acha lagta ho, to inn sites ko jarur dekhe:

21. Apne SEO skills offer karna 

Websites ko search engines me kaise rank karna ye aap jante hai, to ye ek profitable skill hai.

Jab tak log search engines se kuch na kuch search karte rahenge, unn logon ko kaam milta rahega, jo SEO ke bare me sab kuch samjate hai.

Aapko abhi SEO ke bare me jyada kuch na bhi maloom ho, fir bhi aap SEO khud sikh sakte hai aur usse apne sites par karke dekh sakte hai, kuch top blogs ki madad se, jaise:

  • Best SEO Tools
  • Best SEO tips

Ek baar jab aap samajh jate hain ki, websites ko rank karane mein kya karna hota hai. to aapke iss skill se aap paisa kama sakte hai.

Aap turant clients ko prapt karna shuru kar sakte hain. Iske liye kuch freelance sites me apko join karna hoga, jaise Upwork aur Freelancer.com

Ya, aap aapke local business ko bhi apne skills ke bare me bata sakte hai. jo bhi apne sites ko rank karana chahega wo apko jaroor kaam deta hai.

22. Apne Arts aur Designs ko Bechna 

Yadi aapke paas kuchh design skills hain, to aap apne designs ko bech kar paisa kama sakte hain.

Ek site hai Society6 jaha aap apne designs upload kar sakte hai aur usse alag alag items par print karke bech sakte hai, jinme aata hai, phone cases, t-shirts, hats, cups aur bhi bahut saare.

Yaha se aap bina kisi investment ke bhi kama sakte hai.

Aapko bas apna ek store banana hain, apne designs uplaod karne hain, aur kuch items chunane hain ki aap unpar designs print kar sakte hai.

Jab aapko koi order milta hai, to usse banakar ship bhi kiya jata hai. aapko isme kuch bhi nahi karna hota.

Aapke aise designs hai jo logon ko pasand aate hai, to iske saath aap kafi acche paise kama sakte hai.

23. Translation Karna 

Yadi aapko abhi paisa banana hai, to translation ka kaam kafi had tak accha sabit ho sakta hai.

Isme aapko success paana ho, to aapko kisi bhi 2 ya jyada languages me fluent hona hoga.

Aapko translate karne ki apne skills ka praman dikhana hoga. Yadi aapke paas kisi bhi language ki degree hai ya translate karne ka anubhav hai, to apne portfolio me dikhana hoga.

Jyadatar companies ko translation test kee zaroorat hoti hai. to aap dhyan rakhe ki aap jis bhi language ke liye apply karte hai, uss language me aapko fluent hona hoga.

Kuch sites hai jaha aap translation karke online paise kamayenge:

24. Unique designs/crafts ko Etsy par Bechna 

Yadi aap hatho se banaye gaye chizon me expert hai, to aap iss skill ko acche se bech kar paise kama sakte hai.

Esty ek aisa platform hai jaha aap apne uniques designs, crafts ko bech sakte hai. isme aata hai, unique phone cases se lekar alag alag design ke shirts, alag alag style ke ring, aur bhi bahut kuch.

Iske liye aapko website banane ki bhi jaroorat nahi hai, aur na hee aapko online apna naam hona chahiye.

Unke paas pehle se bahut bada audience hota hai, jinke samne aap apne products aaram se rakh sakte hai.

Iske alava, yadi aap paryapt karshan viksit karate hain, to aap hamesha bhavishy mein apane svayan ke host kie gae eekaamars stor par sankraman kar sakte hain.

Jab aap ka khud ka waha ek audience ban jaye, tab aap alag se apna Ecom store bana sakte hai, aur waha se aur jyada kama sakte hai.

25. Graphic Designer ka kaam chalu karna 

Yadi aapke paas design skills hai, ya aap hamesha photoshop aur Illustrator me kuch na kuch designs karna pasand karte hain, to aap iss skill ka upyog online paise banane ke liye kar sakte hain.

Iske liye upar bataye gaye freelancer platforms ka upyog kar sakte hain, waha apna ek profile bana sakte hai, ya aap apne skills ko 99designs jaise platform par bhi aazma ke dekh sakte hai.

Yaha aap ko alag alag projects milenge, aur yaha aap ko baki designers se compete karna hoga.

Jab client ko apka design pasand aayega, tab wo project aapko mil jata hai, aur fir aap uspar kaam chalu kar sakte hai.

Agar apko online kaam nahi karna hai, to aap apna kaam offline bhi kar sakte hai. par isme aapko research karna hoga, apke local business, clients se milna hoga, apke skills dikhane honge.

To yaha hamare online paise kaise kamaye iss par bataye gaye 25 best methods khatam hote hai, hume aasha aapko ye pasand aaye honge, unme se 2-3 methods se bhi aap aaram se acche paise kama sakte hai.

Bas apne andar kya skills hai ye apko pata karna hoga, fir isme se jisme bhi aap kaam kar sakte hai, usse aaj hee chalu kare.

Online Paise Kaise Kamaye: QNA

Main pratidin $100 kaise bana sakta hoon?

Yadi aap ka lakshya aapke computer se pratidin $100 banana hai, to iske bahut sare vikalp hain. Unme se kuchh achhe yahan hai:

  1. Apni ek website banaye, fir waha se ads ya affiliate marketing se paise kamana chalu kare.
  2. Apne digital course ya products ko online sell karke. uske liye apko ek sales funnel banana hoga jo aap ek acche landing page builder ke madad se banayenge.
  3. Udemy or Skillshare par apna ek online course banaye, apke knowledge se paise kamane ke liye.
  4. Companies ke liye facebook ads chalaye jiske liye ve aapko paise denge.
  5. Freelancer writer ya editor ka kaam Karen.

Bina kisi naukari ke mujhe paisa kaise mil sakta hai? 

Yadi aapke paas naukari nahi hai, lekin aap paisa banana chahte hai, to iske liye bahut sare vikalp hain, jinme shamil hain:

  1. Apna Blog shuru kare aur usme ads, affiliate marketing, coaching ya consulting ke saath paise kama sakte hai.
  2. Kisi bhi acche Ecom Platform par apna online store chalu kare, acche se promotion karke yaha se apne products online bech sakte hai.
  3. Aapke paas kuch extra rooms ho to aap unhe rent par de sakte hai, ya koi khali jagah ho to wo bhi rent par de sakte hai.

Hum asal me online paise kaise kamaye? 

Apko asal me jyada aur long-term online paise kamana hai, to iske liye ek best method hai, apna ek blog shuru karna. Isme aap long term ke liye paise kama sakte hai, par jaldi se profit kee apeksha na kare.

Jaldi se paise kamane ke liye paid ads chalake traffic lane se accha hoga, aap apne blog ka SEO kare, ek lambe samay ke liye content strategy banaye.

Isme aap apne articles me apne niche ke alag alag products ke affiliate link add kar sakte hai, aur accha commission kama sakte hai.

Main abhi se paise kaise kama sakta hoon? 

Dekha jaye to kuch acche se online paisa banane mein lamba samay lagta hai, lekin kayi vikalp hai jo aap ko turant paisa banane mein madad kar sakte hain. Jaise,

  1. Alag alag company ke surveys le sakte hai, jaise Survey Junkie.
  2. Apne products ke liye ek sales page banake, facebook ads ke sath apne products jaldi se bech sakte hai.
  3. Jaldi se paise kamane ke liye Uber ya TaskRabbit jaise platform par sign up kare.
  4. Aap ke paas kuch purani cheez ho, jinka ab apko koi istemal nahi hai, waise products ko aap bech sakte hai, Craigslist, Facebook marketplace, ya Ebay jaise platforms par.
  5. Aapke kisi bhi digital skills ko bechne ke liye Fiverr, Freelancer.com jaise task platforms par sign up kar sakte hai.

Online Paise Kaise Kamaye: Conclusion 

Ab tak aap samajh gaye hain ki aap online paise kaise kamaye. chahe aap aapke salary ke sath kuch extra kamana chahte hai ya ek naya career shuru karna chahte ho, apko online paise kyun kamana hai ye to sab kuch aap par nirbhar karta hai.

Upar diye gaye 25 methods ko aap apne upar havi na hone de, balki khud se poochhe ki aapko konsi aisi baat hai jo karne maza aata hai? apke paas abhi koi bhi skills ho usko dhyan mein rakhe aur dekhe ki aap apki skills ko upar diye gaye konse method ke sath apna kaam chalu kar sakte hai.

Aapko ek baat hamesha yaad rakhni hogi, online paise kamana bhi baki methods se paise kamane jaisa hee hota hai.

Aap ne aaj chalu kiya to kal se paise nahi kama sakte, aisa ab tak koi method aaya nahi hai.

Par ek baat hai, aap online itna paisa bhi kama sakte hai, jitna aapne socha bhi nahi hoga. Bas apko apna jo bhi kaam ho usse pure dedication ke sath, positive mindset ke sath karna hoga.

Shuru ke kuch samay tak aapne haar nahi maani to baad me aap bahut acche paise kama sakte hai.

Online paisa banane ke liye bahut se vikalp hai:

  • Aap aaj hee apna freelancing ka kaam chalu kar sakte hai Flexjobs ke sath aur paise kamana chalu kare.
  • Apna ek successful Podcast chalu kare, free me Buzzsprout ke sath.
  • Yadi aap aapke products ko online bechna chahte hai to, Shopify me apna ek online store banaye.
  • Aapke skills aur knowledge aadhar par ek accha sa course banaye Thinkific ke sath aur online sell kare. Apka knowledge sari duniya ke sath share kare.

Hume ummed hai apko ye article pasand aaya hoga. Aap bhi inme se kisi method ke sath online paise kamana jaldi se chalu Karenge yahi hum aasha karte hai.

Iss article ko jyada logon tak share kare, taki ve log bhi apna ek online income chalu kar sake.

Hamara iss blog ka maksad hai, jyada se jyada logon tak apna knowledge share karna, taki baki logon ko bhi ek mauka mil sake iss digital world me apni ek jagah bana sake.

Sharing is Caring…   

Thanks!!

6 thoughts on “2023 mein Online Paise Kaise Kamaye: 25 Best Methods

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *