Kya aap ek Best SEO Tool ki talash kar rahe hain, jo aap ko Keyword Research karne me, Keyword Ranking track karne me, Backlinks check karne me, competitor rank check karne me aur apne Blog ka pura SEO Audit karne ki suvidha de sake?
Yadi haan, to main aap ko ek aise SEO tool se parichit karvata hoon, jiska upyog main khud 2 saal se kar raha hu aur kayi bade Bloggers aur SEO Agencies iss tool par bharosa karte hai. aur vah SEO Tool hai SEMRush.
Maine apne Blog ka SEO karne ke liye kayi SEO Tools ka upyog kar chuka hu, jinme Moz, Ahrefs, SEMRush aur baki tools bhi shamil hain.
Jabki unn sabhi tools ne bhi acchi tarah se kaam kiya hai, par mujhe SEMRush hee best lagta hai, kyunki SEMRush mein aise kayi sare best features hai jo Blog ka SEO karne me bahot aasan bana dete hai aur unn sabhi features ki wajah se ab main sirf SEMRush mein hee mere sabhi SEO se jude kaam karta hu.
Iss SEMRush Review article mein, main sabse best SEO tool mein se ek matlab SEMRush ke sabhi features, Pros-Cons ke bare mein aapko batane wala hu, isliye iss article aakhir tak jaroor dekhe.
Iss article mein hum nichhe diye gaye topics ko acche se dekhne wale hai:
- Domain Analysis
- Keyword research features
- Rank Tracking
- BackLink Analysis
- Link building tool
- Site Auditing
- Easy to Use
- Pricing
- Support
Par pehle main ek important question ke sath shuru karunga.
SEMRush kya hai?
SEMRush ek Best SEO tool hai jo aapko Search Engines (Google, Bing, Yahoo) mein apni website ko optimize karne mein madad karta hai.
2008 mein Oleg Shchegolev aur Dmitry Melnikov dvara SEMRush ko banaya gaya tha, aur aaj iss tool ko 5 million se adhik users istemal karte hai, aur ye tool vartman mein jitne bhi SEO tools uplabdh hai unn sabhi mein sabse Popular SEO tools mein se ek hai.
SEMRush mein aap jis bhi topic ko Search karte hai uske bare mein badi matra mein keywords suggestion milta hai, fir unn keywords ka upyog aap apne blog post likhne mein kar sakte hai, aur aise keywords google search results mein achhi tarah se kaam karte hee hain, aur apke post ko rank karane mein madad karte hai.
Aap jis bhi topic par apna blog post likhna chahte hai, uske related keywords par google search results mein rank karna kitna mushkil ya aasan hoga ye bhi aap iss tool mein dekh sakte hai.
Uske sath SEMRush apko unn sabhi websites ka bhi sujhav deta hai jo aapke blog post ke backlinks ke liye suitable websites hote hain.
Iss tools ki madad se aap apne website ka “SEO Audit” kar sakte hai, taki aapko ye pata lage ki kya aap apni website mein aise koi technical improvement kar sakte hain jiske baad aapko apne blog ko search results mein rank karne mein madad milegi.
Aaj SEMRush ke database mein 140,000,000 se adhik Domains aur 850,000,000 se adhik keywords shamil hain. inn numbers ko dekhke aapko idea aa jayega ki kitne sare websites SEMRush se jude hai.
SEMRush aapko unn sabhi keywords ko khojne mein madad karta hai, jin keywords par pehle se kayi web pages rank kar rahe hai.
Aap kisi specific keyword aur uske related keywords par rank karna chahte hai to unn keywords ke bare mein adhik details bhi pa sakte hain, jiske baad aapko unn keywords par post likhna aur uss post ko rank karane me aasan bana dete hai.
SEMRush ke Best Features
Interface
SEMRush ka interface Moz aur Ahrefs jaise SEO tools ke saman hee hai, jisme ek Options ka Menu diya gaya hai, jisme Competitive Research, Keyword Research, Link Building, Rank Tracking, On-Page SEO aur Reporting Jaise options milte hai.
SEMRush mein Data Visualization bahut accha hai, aur Isme Keywords ke related jo metrics hote hai, unko Graphical format mein diya jata hai, uski wajah se uss jankari ko samjhne mein bahut aasan ban jata hain.
SEMRush ka Interface Mobile-Friendly ya Responsive hota to bahut accha ho sakta hai. kyunki agar aapne SEMRush ko mobile mein chalu kiya to uska desktop wala interface hee dikhayi deta hai, uske karan thoda pareshani ho sakti hai.
Aur uski wajah se waha ke texts small size ke dikhayi dete hai, aur fir aapko zoom karke sab dekhna padta hai. isliye ye ek pareshani ho sakti hai agar aap mobile par SEMRush istemal karne mein.
Par yaha ek plus point bhi hai, SEMRush aapko ek mobile app uplabdh karata hai jisme aap apni Website ki Position Tracking Data ko dekh sakte hai, fir bhi ye accha hota agar SEMRush ke sabhi features bhi Mobile-Friendly Format mein hote.
Kul milakar, SEMRush ka interface ek simple tarike se banaya gaya hai aur upayog karne ke liye bhi aasan hai, lekin aapko iska jyada labh uthane ke liye mobile device ke bajay desktop computer ka upayog karna chahiye.
Keyword Research
Aam taur par Keyword Research mein ye dekha jata hai ki:
- Kitne log kisi particular keyword ki khoj kar rahe hain.
- Kisi particular keyword par Google mein rank karna kitna mashkil ya aasan hai.
- Kisi particular keywords par konse websites already rank kar rahe hai.
- Kisi Particular keyword ke related keywords ko suggest kiya jata hain.
SEMRush upar batayi gayi sabhi jankari ko bahut aasani se prapt karne mein aapki madad karta hai.
Aapko bas kisi bhi keyword ko “Keyword Overview Tool” mein darj karna hain aur aap turant dekhenge ki,
- Google par ek mahine mein uss keyword ko kitne baar search kiya jata hai.
- Uss keyword ka Difficulty Score dekh sakte hai.
- Uss keyword par rank karne wali sabhi sites ki ek list aapko dikhayi deti hai.
Aap iss jankari ko har ek country ke anusar bhi dekh sakte hai, jo jyada faydemand hota hai.
Yaha par sabse important metrics hota hai ‘Keyword Difficulty score’. SEMRush isko dikhane ke liye Percentage(%) format ka upyog karta hai, matlab jitna jyada percentage hoga unta hee mushkil hoga uss keyword par rank karna.
Agar aapko apne keyword se related aur jyada keywords suggestions chahiye, to aapko SEMRush ke “Keyword Magic Tool” Option ka upyog karna hoga. usme aapko bahut sare keywords suggest kiye jate hai.
Yaha aapko suggested keywords ki ek list milti hai, jinko aap ye filters lagakar bhi sort kar sakte hai,
- Keyword Difficulty ke anusar.
- Ek Mahine mein kitne bar search kiya jata hai uske anusar.
- Keywords ke CPC ke anusar.
Iss tarah se SEMRush ka Keyword Difficulty Tool aapko uss important jankari ko pradan karta hai, jinki madad se aap ye decide kar sakte hai ki konse keywords ko SEO ke liye target karna chahiye aur unn keywords ko lekar blog post likhna hai.
Halanki, SEMRush mein aur kuch sudhar kiye ja sakte hai, usme se pehla ye hai ki yaha par milne wala Data sirf Google Search se liya jata hai, yaha par ye aur jyada accha hota agar baki Search Engines ke Data ko bhi yaha dekhne ki suvidha milti.
Waise to total search mein 92% search Google par hee kiya jata hai, lekin pure world mein kayi jagah aisi bhi hai jaha baki search engines ka bhi acche se istemal kiya jata hai.
Agar hum USA ke bare mein dekhe to, unke total search mein se 7% search Bing Search Engine par kiya jata hai.
Wahi Moz ya Ahrefs SEO Tools ko dekhe to ve tools baki Search Engine ke Data ko bhi dikhate hai, par SEMRush me ye nahi hai.
SEMRush mein dusra improvement uske Backlink Data me karna chahiye. matlab kisi bhi keyword par rank karne ke liye aapko kitne backlinks ki jarurat hai, ye iss tool mein nahi dikhaya jata par agar ye data yaha milta to aur accha ho sakta hai.
Ahrefs ke Keyword Difficulty Score mein aapko ye bhi dekhne ko milta hai ki, kisi bhi keyword par Search Engine ke first page par rank karne ke liye aapko kitne Backlinks ki jarurat hai.
Domain Analysis
Lagbhag sabhi SEO projects Basic Domain Analysis se shuru hote hain. iska matlab ye hai ki, SEO ke point of view se ek Domain ke Quality ka ek simple overview prapt karna hota hai.
Aap apni website ka bhi Domain Analysis kar sakte hain, uske baad aapko idea aa jayega ki aapki site mein kaha SEO sudhar kiya ja sakta hai.
Ya to aap apne Competitors ki website ka Domain Analysis bhi kar sakte hai, fir aapko idea aata hai ki, unke paas kitne backlinks hai, kitne domains se unko backlinks mile hai, aur unke website ka Domain Authority(DA), Page Authority(PA) kitna hai.
Ya to aap backlinks ke liye bhi baki websites ka domain analysis kar sakte hai. aur yaha aap unn website ki quality ko dekh sakte hai. agar high-quality website se aapko backlink milta hai, to aapki site ko rank karna utna hee aasan ho jata hai.
SEMRush mein Domain Analysis karna kafi aasan hai: aapko bas apne Domain ke URL ko “Domain Overview” section me darj karna hai, aur aapko ye turant pata chalta hai ki search results mein ye domain kaisa perform kar raha hai.
Isme aapko kayi Metrics dekhne ko milte hai jaise:
- Authority Score.
- Ek Mahine mein website par total kitne visitors aate hai(Monthly Visitors).
- External links ka total number – Total Backlinks.
- Website kitne keywords par rank kar rahi hai ye bhi dekh sakte hai.
- External links mein konsa Anchor text diya gaya hai ye bhi dekh sakte hai.
- Top performs karne wale keywords dekh sakte hai.
- Aap se competition karne wale websites ko dekh sakte hai.
Upar bataye gaye sabhi metrics mein se, ek metrics aisa hai jo aapko site ki quality turant samjhne mein madad karta hai, aur vah metrics hai “Authority Score”.
SEMRush iss aadhar par Authority Score banata hai:
- Backlink Data.
- Organic Search Data, jisme Organic Search traffic aur keyword position shamil hai.
- Website Traffic Data (monthly visitors).
SEMRush ye dava kabhi nahi karta ki yaha jo traffic figures bataye jate hai ve sabhi 100% accurate hain, aur vastav mein aapko ye tool ek anuman dikhata hai ki kisi bhi site ke liye uske traffic stats kitne (low, medium ya High)hone ki sambhavna hai.
Iss tool mein ek matrics hai ‘Keywords by Country’ jo kafi jyada upyogi hota hai, isme aapko ye samjhne mein madad hoti hai ki Puri Duniya mein aapki site kaha par High Rankings mein hai.
SEMRush ka Domain Analysis section behad upyogi hai, aur yaha par aapko ye insights milte hai ki ek website SEO point of view se kaisa pradarshan kar rahi hai.
Backlink Analysis
Search Results mein koi bhi site kitna achha pradarshan karti hai, ye iss baat par nirbhar karta hai ki kitne Backlinks – External Site Links uss site se jude hai.
SEMRush ke ‘Backlink Analytics’ section mein aapko site ke domain ko darj karna hota hai, aur fir waha aapko uss site ke backlinks ki ek list dikhayi deti hai.
Aap iss section mein ye jankari dekh sakte hain:
- Sabhi Backlinks ke liye istemal kiye gaye ‘Anchor Texts’.
- Top-level Domains (.com .org .gov) ki taraf se links aapki site par hai.
- Backlinks ke IP addresses ki jankari milti hai.
Aap iss jankari ka upayog apne khud ke SEO me sudhar lane ke liye kar sakte hain, ya competitor ke bare mein insights prapt kar sakte hain.
SEMRush ka Backlink Analysis kitna accurate hai, ye uske Links Database ke size aur quality par nirbhar karta hai.
SEMRush apne Links Database mein 32 trillon se jyada backlinks hone ka dava karta hai, to baki SEO tools jaise Majestic 9.5 trillion backlinks ka dava karta hai, to Ahrefs 26 trillion backlinks ka dava karta hai.
Yadi ye figures correct hain, to ye SEMRush Link Database ko unn sabhi Best SEO Tools ki tulana mein top pe rakhta hai, jiska matlab ye hai ki aapko SEMRush mein kafi jyada Backlinks Data prapt hoga.
Rank Tracking
Rank Tracking ek monitoring process hai jisme aapki website kisi bhi keyword ke liye Search Engines mein kaise perform karti hai ye dekh sakte hai.
SEMRush mein iski setting karna aasan hai, aapko bas ‘Position Tracker Section’ mein jana hain, aur waha apka Domain Name aur aise keywords darj karne hain, jise aap track karna chahte hain, fir aapko ek report milta hai jisme dikhaya jata hai ki aapki site vartman mein unn keywords ke liye kaise Ranking kar rahi hai.
Jaise-jaise samay aage badhta hai, aur aapki site ke bare mein aur adhik data SEMRush mein aata hai, tab aap apane site ko rank karane ke apne efforts ko aur badha sakte hai.
Aap SEMRush ke Position trackar tool mein competitor website data bhi darj kar sakte hain, jo aapko kisi bhi keywords par aapki site aur unki site ko kaise perform kar rahi hai iski tulna karne me aasan banata hai.
SEMRush mein Rank tracking feature kafi jyada strong hai, isme koi bhi shikayat nahi hai.
Site Audit
Site Audit ke samay, SEMRush unn issues ki talash karta hai jo aapki site ko search ranking par negative effect daal rahe hai, jinme shamil hain:
- Slow-Loading Content
- Duplicate Content
- SSL Problem
- Crawl errors
- Missing Headers
- Keywords ka jyada istemal(Keyword stuffing)
Mujhe vishesh roop se SEMRush ka On-Page SEO checkar jyada pasand hai, jo aapki puri website ko scan karta hai aur aapko sabhi pages ke sudhar ke liye sahi sujhav deta hai. Inme ye sujhav shamil hote hain,
- Aur Konse keywords post mein add karne chahiye.
- Google ke ‘featured snippet’ mein apne pages ko lane ke liye important steps.
- Apne content ke body aur meta description mein aur kya sudhar kar sakte hai.
- Konse websites ko backlinks ke liye contact karna chahiye.
- Content ki length kya honi chahiye.
- Internal linking strategies.
SEMRush ke site auditing feature ke bare mein ek aur baat ye hai ki aapko ye nahi batata hai ki aapko kya karna hai, par ye batata hai ki aapko unhe kyun karna chahiye.
SEMRush ka Ye Site Audit feature ekdum best hai.
Link Building
SEMRush ke standout features mein se ek hai iska “Link Building Tool”.
Link Building matlab other sites se aapke site se link karne ki process hoti hai. kisi bhi SEO project mein successful hone ke liye ye kafi jyada important step hota hai.
Kyunki Search Engines aamtaur par aise sites ko rank karate hai, jin sites par jyada external links aaye hai, aur high-quality links honge to site ko rank karna aur aasan ho jata hai.
SEMRush ka link building tool iss tarah se kaam karta hai,
- Aapke competitor kaun hain aur ve kis keywords par rank kar rahe hain.
- Aapki site ke content ki janch karta hain.
- Aap konse keywords pan rank karna chahte hai, ye samjhta hai.
SEMRush Pros
- Ye aamtaur par upayog karne mein kafi aasan hai(Easy to use).
- SEMRush ke sath Domain Analysis karna kafi aasan ho jata hai, aapko vah sab jankari ek hee jagah par mil jati jo aap dekhna chahte hai.
- Ye badi matra mein Data pradan karta hai, lekin SEMRush ka interface logical tarike se nirdharit kiya gaya hai, aur Graphs Data Visualization ki madad se matrics ko samjhna aur aasan ban jata hai.
- SEMRush ka Link Building feature, jo aapko outreach karne mein madad karne ke liye CRM-style features pradan karta hai, jo kafi shandar hai.
- Organic search data ke alava, SEMRush aapko bahut sare PPC data bhi pradan karta hai.
- Baki SEO tools ke sath tulana kare, to SEMRush jitne reports aapko ek din me dekhne ko allow karta hai, aisa baki kisi bhi SEO tool mein nahi hai.
- Support ke liye 3 channels uplabdh hain – phone, chat aur email. Jo baki tools se accha kaam karte hai.
- Yaha aapko 7-din ka free trail bhi uplabdh hai, jo kuch baki tools ke sath positively tulana karta hai, aur aise kam tools hai jo aise free trail dete hai.
SEMRush Cons
- Yaha keval ek search engine, ‘Google’ ke liye Data pradan kiya jata hai, baki SEO tools dekhe, vishesh roop se Ahrefs, baki search engines se bhi data pradan karta hain.
- SEMRush ka interface mobile responsive nahi hai, isliye mobile device par iss tool ka upayog karna kathin ho sakta hai.
- SEMRush ke Plans keval ek user account ke sath aate hai.
- Kuchh main features keval projects ka ek bhag ke roop mein uplabdh hain, aur SEMRush mein aap ek sath kitne project chala sakte hai ispar bhi limit hai.
SEMRush Support
SEMRush jaise SEO tool kafi complex hote hain, isliye Customer support aur support ka format users ke liye ek important factor hota hai.
Yaha achhi khabar ye hai ki aapko SEMRush ke sath customer support ke 3 channels milte hain: phone, email aur chat.
Aur ye support baki SEO tools ki tulana mein kafi aage ho jata hai, jinme se sabhi tools aapko phone support nahi dete hain (Moz mein to live chat support bhi nahi milta).
Par yaha ek sudhar kiya ja sakta hai, yaha Contact support option ki visibility mein sudhar karna chahiye – aapko contact detail khojane ke liye nichhe tak scroll karna padta hai.
Pricing
Baki alag alag types ke SaaS apps ki tulana mein, SEMRush jaise SEO tool expensive hote hain.
Halanki, ye samajh mein aata hai, kyunki aap keval iske features ke liye paise kharch nahi kar rahe hain, aap vastav mein badi matra mein Data ko access karne ke liye paise kharch kar rahe hain, jisme Competitor Intelligence bhi shamil hai.
Halanki, SEMRush mein aise kayi features hain jo aapko kahi aur nahi mil sakte hain, aur sabhi features ko iss tarah se design kiya gaya hai ki aap jo paise isme laga rahe hai, wo aapko wapis mil sake data aur reports ke roop mein.
Pricing plans:
- Pro – $99.95/month. ye plan small companies aur startups ke liye banaya gaya hai.
- Guru – $199/month. SEO Agencies aur medium size businesses ke liye best plan hai.
- Business – $399.95/month. SEO agencies, large businesses aur eCommerce operations ke liye best plan hai.
- Enterprise – Custom pricing jo aapke custom interface ko configure karte samay set hota hai. Ye plan large businesses, aur tezi se grow karne wale brands ke liye hai.
Ye monthly prices hain. yadi aap ek baar mein hee pure saal ka bhugtan karne ka vikalp chunate hain to aap 16% bacha sakte hain.
Isme free trail bhi milta hai jo aapko thode samay ke liye free mein iss tool ko test karne deta hai.
Baki SEO tools ke tulana mein, ye Ahrefs ke trail offer (7 dino ke trail ke liye $7 hai) se SEMRush ka free trail behtar hai.
Aapko trail period ka labh uthane ke liye apne credit card ke vivaran ko darj karna hoga, jo SEO tools ke bare mein coomon hain, fir bhi kayi logon ko ye details dene ka pasand nahi aata hai.
Iske plans alag-alag factors par banaye gaye:
- Prati din aap kitne report dekhna chahte hain.
- Aap kitne keywords ek mahine mein track kar sakte hain.
- Content marketing tool ka access.
- Historical data ka access.
Extra Costs (Optional)
- Extra users: Ek extra user ke liye extra $70/month dene padte hai.
- Competitive Intelligence add-on: Traffic analytics, market explorer aur baki features ke liye $200/month extra dene padte hai.
- Basic local listing management: Apne business ki jankari aur adhik distribute karne ke liye $20/month extra dene padte hai.
- Premium local listing management: Basic plan ke sabhi features aur uske sath local heat mapping aur customer reviews par respond karne ki ability ke liye $40/ month extra dene padte hai.
Ye baat humesha yaad rakhe ki ye sabhi optional hote hai, matlab agar aapko inki jarurat hogi tabhi aapko iske liye extra paise dene hote hai, waise kuch bhi extra cost nahi jata hai.
SEMRush Review: Conclusion
Kul milakar, SEMRush vastav mein ek Best SEO tool hai jo aapko ek successful SEO project ke liye aavashyak sabhi important data pradan karta hai.
SEMRush ke best features hai iska Link Building feature aur Site Auditing tool hain, link building feature aapko backlinks banane ki ek Best ‘CRM’ style method pradan karta hai.
Aur Site auditing tools aapko unn tarikon ka ek aasan checklist pradan karta hai jisase aap apne Technical SEO aur On-Page SEO mein sudhar kar sakte hain.
Par SEMRush mein kuch bate aisi bhi hai jo nirash kar sakti hai, Jaise ki aap bas ek hee user account bana sakte hai, aur jo link building aur site auditing tool ka feature milta hai, vo ek project ke under hee milte hai.
Aur kuchh best intelligence features ko aap keval extra $200/month dekar ek add-on ke madhyam se istemal kar sakte hai, ye thoda upset kar sakta hai. waise bhi ye feature starting karne wale logo ke liye jyada faydemand nahi hai.
Yadi aapne abhi bhi apna koi blog nahi banaya hai, to aap mere iss article (wordpress me blog kaise banaye) ko jaroor dekhe. aur Online Paise kamane ka apna ek best tarika chalu kar sakte hai.
Umeed hai aapko ye article pasand aaya hoga, aur ab aap samajh gaye honge ki SEMRush kyu ek Best SEO tool hai, aur vo kis tarah se aapke blog mein aapki madad kar sakta hai.
Iss article se aapko kuch bhi naya sikhne ko mila ho, ya kuch bhi accha laga ho, to iss article ko jyada se jyada logo tak bhi jarur share kare, jyada logon tak jankari dene ki hamare lakshy me hamari sahayata kare.
Sharing is Caring!!
Thanks!!