Online paise kamane ke alag alag methods hote hai, unme se ek methods aisa bhi hai, jisme aap kafi jyada paise kama sakte hai, wo hai Affiliate Marketing.
Aap me se bahut se logo ne affiliate marketing ke bare me suna hee hoga ki, affiliate marketing kya hota hai, kaise kiya jata hai?
Aur agar kisi ko inn sabke bare me jankari leni hai to mera affiliate marketing ka ye article ko jaroor dekhe.
Apne website par affiliate marketing se jyada se jyada paise kamane hai, to aapko kisi acche affiliate program se shuru karna chahiye.
Kyunki aise programs aapko paise kamane ke process ko thoda aur aasan bana dete hai.
Isliye maine ye article banaya hai, jisme aap dekh sakenge Top 5 Best Affiliate Programs in India konse hai, jinme aap shamil ho sake aur acche paise kama sake.
Affiliate Marketing ka concept kafi saral hai: Pehle kisi products ya service ke liye aap ek acche affiliate program me signup karte hai, aur yadi aapka request accept kiya jata hai, to uske baad aapko uss product ya service ke liye ek unique URL milta hai.
Fir aapko uss product ya service ka marketing karna hota hai, uske liye aap review likh sakte hai, video bana sakte hai, ya paid ads bhi chala sakte hai, aur apna unique url waha add karna hota hai.
Fir kisi customer ne aapke url se uss product ko kharid liya to aapko usspar ek commission milta hai.
Bas yahi hota hai affiliate marketing ka pura process.
Ye shayad aapko aasan lagta hoga par ye utna bhi aasan nahi hai.
Aapko aise hee products ko chunana chahiye jo logo ko asal me chahiye hota hai, jiski wajah se logo ke problems solve hote ho. Isliye aapko product research bhi karna pdta hai.
Maine affiliate marketing ke article me puri details ke sath sabkuch bataya hai, aapko kaise shuru karna, kis tarah ke product lene hai, aise kayi topics waha par acche se bataye hai, to ek baar wo article jaroor dekhe.
Agar aapke website par achha traffic aata hai, to aap affiliate marketing se kafi jyada paise bhi kama sakte hai. isliye apne website par jyada se jyada traffic lane par bhi focus kare.
Table of Contents
Top 5 Best Affiliate Programs in India
To chaliye ab hum hamare top 5 Affiliate Programs ke bare me jankari lete hain:
1. ShareaSale
ShareaSale Chicago-based company hai, aur ye ek best Affiliate program hai aur isme apne sabhi publishers aur affiliate marketers ko kafi jyada high commission diya jata hai.
Aap soch sakte hai ki, Iss list me maine ShareaSale ko kyun No.1 rank diya, kyunki isme aapko 3800+ merchant partners milte hai. jo kafi bada number hai.
Aur lagbhag sabhi niche ke liye kafi badi matra me products yaha milte hai. iss wajah aapka koi bhi niche ho, aap aasani se yaha aapke niche ke products bhi khoj sakte hai, aur unka marketing kar sakte hai.
Jyadatar Affiliates products ko khojane aur usko promote karke uss par accha commission banane ke liye ShareSale ka upyog karte hain.
Shareasale referral program ka upyog karke aap ek decent income chalu kar sakte hai.
Pros:
- Holidays aur events ke samay me kafi jyada discounts aur offer milte hai.
- Coupans aur offers ke saath aap aasani se apne visitor ko product kharidne ko bol sakte hain. Kuynki discount ya offer kon pasand nahi karta.
- Ye ek user-friendly program hai aur upyog karne mein bhi aasan hai.
- Pay per lead aur Pay per Sale ye dono program yaha uplabdh hain.
Cons:
- Yadi aapke paas pahale se medium traffic ho to iss affiliate program se judna sambhav hai. agar nahi to apply karne se pehle ek baar jaroor soche.
Best for: Blogging, clothing, fashion, food aur fitness, technolgy, book publishing, dating, marketing. Iss tarah ke niche ke liye ye program best hai.
2. CJ – Commision Junction
CJ mein 3000 se adhik merchant partners hain aur vishesh roop se ye bloggers ke liye ek best platforms hai, jo apni websites par web hosting ko promote karna chahte hain.
Aap Bluehost, Inmotion hosting jaise Best Web Hosting ko promote kar sakte hain aur yaha lagbhag 60+ web hosting merchants hain.
Commission Junction mein sabse achhi baat ye hai ki, aap ek Affiliate marketer ke roop mein yaha aasani se aur jaldi se sign in kar sakte hain, yadi aapke blog par daily 100 se 200 visitors bhi aate hai.
Yaha affiliate commission bhi achhe hain aur isme 60 dino ki cookies tracking policy ka bhi upyog karte hain.
Agar aapko check dvara payment lena ho to min. $100 aapke account me aane chahiye aur agar sidhe bank me paise chahiye to sirf $50 aapke affiliate account me chahiye.
Pros:
- CJ ek user-friendly program hai aur iska upyog karna aasan hai.
Cons:
- Technical support thoda weak hai, ya kam samay mein response prapt karna kathin hai.
Best For: Blogging, Web Hosting, SEO products, Dating, Food products, Technology.
3. ClickBank
Sabse jyada user-friendly affiliate network hai aur jyadatar blogger ya digital marketer sabse pahale iss Affiliate program mein shamil hote hai.
Ye mera sabse pahala Affiliate program tha jise maine kuch maheno ke blogging ke baad join kiya tha.
Clickbank ki shuruvat 1998 mein huyi thi aur iske 190 desho mein 6 million se jyada clients aur distributors hain aur ye amerika mein top ke Affiliate companies mein se ek ke roop mein popular hai.
Pros:
- Isme Ek din ke bhitar bhi join ho sakte hai aur iska user interface achha hai.
- Yaha 50,000 se adhik individual products hai, jo aap promote kar sakte hai.
Cons:
- Clickbank mein sabse kharab baat hai, yaha ke fraud merchants ya fake products.
- Inka support bhi kafi kharab hai.
- Yaha aapke commission se ek small amount liya jata hai, admin fee ke naam par. Shayad baki logo ki tarah aapko bhi pasand na aaye.
Best For: Gym Products, Health, parenting aur family, Home aur Garden, ebooks.
4. Amazon Affiliate Program
Kafi samay se sabse popular aur sabse achha advertising program hai, jaha aap apne website ya blog par Amazon products ko promote kar sakte hain, aur commission kama sakte hai.
Yadi aap apne website par gadgets ya music ko promote karna chahte hai, to aapko Amazon affiliate program me shamil hona chahiye.
Aap amazon ke jo bhi products bechte hai, uske liye aapko products ke keemat ka 10% tak commission milta hai.
Yaha alag-alag products par alag-alag commission rates (1% se 10%) hai, to ek baar uhne jaroor dekhe.
Aap yaha se Amazon India ke affiliate program me shamil ho sakte hai.
Pros:
- Ye duniya mein sabse jyada trusted Affiliate network mein se ek hai aur isme badi matra mein merchant aur products maujood hai. aur har din yaha par products add hote hee ja rahe hai.
- Aap virtually kisi bhi product ko promote kar sakate hain.
- Isme join hona aasan hai aur user-friendly interface hai.
- live traffic report dekh sakte hai aur acche se analysis bhi kiya hota hai.
Cons:
- Kayi Affiliate Marketers iss program ka upyog nahi karte hai, kyunki baki affiliate programs ki tulana mein yaha bahut kam commission (1% to 10%) milta hai.
- Yaha kuch Niche ke liye commission rates acche hain, lekin dhyan rakhe ki main sabhi prakar ke Niche ke liye Amazon Affiliate program ko pasand nahi karunga aur recommend bhi nahi karta.
Best For: Bahut badi sankhy me products category shamil hai, jisme lagbhag sabhi brands ko cover kiya gaya hai.
5. JVZoo
JVZoo naye logo ke liye sabse achhe Affiliate programs mein se ek hai aur ye aapke Affiliate program ko shuru karne ka sabse achha tareeka hai jo vartman mein promote kar sake aise kayi acche products pradan karta hai.
Main JVZoo mein regular affiliate marketer ke roop me kaam karta hoon, aur aap jvzoo mein kayi useful features dekh sakte hain.
Pros:
- JVZoo ke paas best resource hai jo isme kaam shuru karne me aur iska upyog karne mein aasan banate hai.
- Jvzoo publisher banana bahut aasan hai.
- Yaha bahut sare upyogi tools milte hai.
- Aapka payment Paypal ke madhyam se bheja jata hain, jaha kayi affiliate programs aisa nahi karte hain.
- Instant Payments
- Fast Customer Support.
Cons:
- Yaha products ko acche se categorized nahi kiya gaya hai. maine yaha ‘weight loss niche’ ko ‘cooking’ category me dekha tha, jo thoda unfair lagta hai.
Best for: Cooking, Business, Employment, Education, Health n Fitness, Internet marketing, Software, Sports.
Top 5 Best Affiliate Programs in India: Conclusion
Jaise koi bhi do affiliate marketers ek saman nahi hote hain, waise hee affiliate program bhi ek saman nahi hain.
Aapke audience, niche aur aapke personality ke aadhar par, alag alag affiliate programs hain jo aapke liye behtar sabit ho sakte hain.
Affiliate programs ke features kayi possibilities ko cover karte hain – naye affiliate marketer se lekar advanced affiliate marketers tak.
Kisi bhi affiliate program ko chunane se pehle, aap affiliate marketing ko acche se samajh le, uska process kya hota, kaise kaam karta, aisi kayi bate hai jo aapko pehle maloom honi chahiye.
Fir jake aap kisi acche affiliate program se shuru kar sakte hai. uske liye aap apna ek blog jaroor shuru kare, taki products ko promote karna aasan ho jaye.
Yadi aapko apna blog shuru karna hai, to aap mere iss article (wordpress me blog kaise banaye) ko jaroor dekhe. aur affiliate marketing ki madad se blogging se paise kamane ka apna ek best tarika chalu kar sakte hai.
Umeed hai aapko ye article pasand aaya hoga, aur ab aap samajh gaye honge ki, ‘Top 5 Best Affiliate Programs in India’ konse hai, aur ab aap kisi bhi acche affiliate program ke sath shuru kar sakenge.
Iss article se aapko kuch bhi naya sikhne ko mila ho, aur aapko ye article pasand aaya ho to iss article ko baki logo tak bhi jarur share kare, jyada se jyada logo tak jankari dene ki hamare lakshy me hamari sahayata kare.
Sharing is Caring!!
Thanks!!