Top 5 Best Blogging Platforms in India (Complete Guide for 2023)

Blogging ek aisa madhyam hai jiske dvara aap unn logo se jud sakte hain jo aage jake aapke liye targeted customers ban sakte hai.

Log aapke blog ke madhyam se aapki services ya products ke bare mein jankari prapt karte hain.

Aur ye keval ek best blogging platform ke sath prapt kiya ja sakta hai. Isliye ek sahi blogging platform chune taki aapko adhik labh aur traffic mil sake.

To isme aapki madad karne ke liye maine ye guide banaya hai, jisme aap dekhenge, Top 5 Best Blogging Platforms in India konse hai.

Aaj market me kayi alag-alag blogging platforms hain. Isliye kisi ek ko chunana aapke liye thoda kathin ho sakta hai. aapko kaise pata chalega hai ki kaun sa platform aapke liye sahi hai?

Iss article mein, ham aapko sabse lokpriy blogging platforms ke Pros aur Cons ke sath unki puri jankari dene wale hai, aur aapko sabse achha blogging platform chunane mein madad karenge.

Blogging Platform chunte samay kya dekhna chahiye?

Hum apne best blogging platforms ki list dekhe, usse pehle ye samjhna accha hoga ki blogging platform chunte samay konsi bato par dhyan dena chahiye.

Jab aap abhi nayi shuruvat karne ja rahe hai, to aap ek aisa blogging platform chahte hain jiska setup karna aasan ho, jisme jyada kuch sikhna na pade, aur uske liye kisi coding skills ki avashyakta na ho.

Aapko ye bhi sochna hoga ki aap kis tarah ka blog aaj aur bhavishy mein banana chahte hain.

Jaise-jaise aapka blog grow karne lagta hai, to aap apni site ka look change karna chahenge aur apne audience ke liye adhik features jod sakte hain.

Inn sabhi bato ko samne rakhke ek best blogging platform ko chunana important hai jo aapko ye sabhi kaam karne ke liye flexibility de sake.

Galat platform se shuru karne par baad mein switch karna bahut mushkil ho sakta hai.

Bhale hee aapka abhi plan na ho blogging se online paise kamane ka, par baad me jab bhi shuru karna chahenge to iss article ki wajah se aapko pehle se hee blogging platforms ke bare me jankari hogi.

Top 5 Best Blogging Platforms in India

Upar ke sabhi bate dhyan mein rakhte huye, naye logo ke liye best blogging platforms ki jankari lete hai.

1. WordPress.Org

WordPress.org duniya ka sabse popular blogging platform hai.

wordpress org
wordpress.org

WordPress 2003 mein shuru kiya gaya tha, aur aaj internet par sabhi websites ke 39% websites wordpress me hai.

WordPress.org ek open source free blogging platform hai, jisme aap minato mein apni website ya blog bana sakte hai.

Ye ek self-hosted platform hai jiska arth ye hai ki, aapko kisi wordpress hosting (BlueHost) me sign up karna hoga.

Yadi aap apne blog par pura control rakhna chahate hain, to wordpress ek badhiya vikalp hai.

Pros:

  • org aapko apni website ke har ek aspect par control deta hai.
  • Isme aap apne blog ko grow kar sakte hain aur forums, online store aur paid membership Jaise extra features bhi jod sakte hain. Isliye paise kamane ke liye wordpress ek best choice hai.
  • WordPress ke liye hajaro free themes uplabdh hain. Iski madad se aap ek sundar website bana sakte hai jo aapko baki sites se humesha upar rakhegi.
  • Isme aapko 58,000 se adhik free plugins in ki suvidha bhi milti hai. jinki madad se aap apne blog me kayi acche features add kar sakte hai.
  • wordpress search engine friendly hai. aap apne post ke liye aasani se SEO friendly urls, categories aur tags bana sakte hain. sath hee, aapko isme kuch badhiya SEO plugins bhi mil jate hai jo aapko ek additional features dete hai.

Cons:

  • Aapko apni website ko manage karne ke liye kuch nayi-nayi chize sikhni padti hai.
  • Aapko khud se backups aur security ko manage karna hoga.

Pricing:

WordPress Platform free hai, lekin aapko ek domain name (lagbhag $15/year) aur hosting (aam taur par $7.99/month se shuru) ki avashyakta hogi.

Kisi bhi prakar ki website shuru karne ke liye aapko ek domain name aur web hosting ki avashyakta hoti hai.

To isliye aap Bluehost se shuru kar sakte hai, jo aapko $3.95/month se mil jata hai, aur sath me ek domain name bhi free mil jayega. To aapke $15 bachte hai.

BlueHost kyun ek best web hosting hai? ye dekhna ho to hamare iss article ko dekh sakte hai.

WordPress me apna blog kaise shuru kare, iss bare mein iss guide ko dekhe.

2. Constant Contact Website Builder

constant contact
Constant Contact

Constant Contact website builder ek A.I. powered website builder hai, jo aapko minato me ek free blog, business website aur yaha tak ​​ki ek online store banane me madad karta hai.

Aap unke ek bade templates collection ke sath shuru kar sakte hain aur drag-n-drop interface ka upyog karke apne website design ko customize kar sakte hai.

Yaha aapko kuch helpful tools ka bhi access milta hai, tools jaise custom logo maker, 550000 se adhik images ki ek professional stock photo library milti hai, online store bhi bana sakte hai.

Pros:

  • Kisi bhi technical skills ke bina aap iss drag-n-drop website builder ka badi aasani se upyog kar sakte hai.
  • Quick aur aasan setup, kyunki Constant Contact aapke liye aapke website ko host karega.
  • Yaha aapko 60-din ka free trail milta hai, jisme aap iske features aur services ka istemal kar sakte hai aur apna ek online store bhi bana sakte hai.
  • Sabhi paid plans ke sath ek free SSL Certificate milta hai.

Cons:

  • Isme developer ecosystem chhota hai, Isliye isme wordpress jaise third-party plugins nahi hain.
  • Third-party platforms ke sath kafi limited integration kar sakte hai.
  • Apni site ko Constant Contact website builder se dusre platform par shift karna mushkil hai.

Pricing:

Constant Contact website builder me aapko 60-din ka free trail milta hai, jisme aap apna blog, business website, logos, aur apna online eCom store bhi bana sakte hai.

Aap $10/month ke liye website builder plan mein upgrade kar sakte hain.

Jisme aapko custom domain name milta hai, free SSL Certificate aur 24/7 phone based support milta hai.

Jydatar blogging platforms aapko phone support nahi dete hai, isliye ye aapke liye ek plus point ho sakta hai.

Yadi aapka ek chhota business hain, aur wordpress ka upyog nahi karna chahte, to Constant Contact aapke liye sabse achha vikalp ho sakta hai.

3. Wix

wix
Wix

Wix website banane ke liye ek popular blogging platform hai. Isme aapko Drag-n-Drop website builder milta hai, jiski madad se aap kafi aasani se kam samay me apna blog bana sakte hai.

Aap Wix Blog App ko apni website par jodkar ek blog bhi chalu kar sakte hain.

Wix.com 2006 mein shuru kiya gaya hai, ek aise platform ke roop mein jaha koi bhi bina kisi coding skills se apni khud ki website bana sakta hai.

Vartman mein Wix.com par duniya bhar ke 120 million se adhik users hain.

Pros:

  • Aap apni site ko aasani se customize kar sakte hai yaha ke templates aur third-party apps ki sahayta se.
  • Drag-n-Drop builder ke sath apni site bana sakte hai, aur iske liye kisi coding skills ki avashyakta nahi.
  • Setup Quick aur aasan hai.

Cons:

  • Iska free account limited hai aur aapki site par wix branding dikhayi deta hai aur ads bhi dikhte hai.
  • Free Third-Party apps limited hain.
  • Ek baar jab aap ek template chunte hain to aap isse badal nahi sakte.
  • Ecommerce features keval paid plans tak hee limited hain, aur yaha tak ki ve features bhi limited hain.

Pricing:

Besic wix website builder free hai. free wix account me aapko ek wix subdomain milega jo iss tarah dikhta hai: https://www.wix.com

Halanki, aap $4.50/month se ek custom domain jod sakte hain. Inke premium plans $8.50/month se lekar $24.50/month tak milte hai.

4. WordPress.com

wordpress-com
WordPress.com

WordPress.com ek blog hosting service hai, jo Automattic dvara pradan ki gayi hai, jo wordpress.org ke co-founder Matt Mullenweg dvara banayi gayi company hai.

WordPress.com free mein ek basic blog hosting service pradan karta hai.

Isme aap custom domain name, additional storage aur baki premium services jaise atirikt vikalp kharid sakte hain.

Isko 2005 mein wordpress ke experience ko large audience ke samne lane ke lakshy ke sath shuru kiya gaya tha.

WordPress.com un users ke liye ek achha blogging platform hai, jo self-hosted wordpress ki advanced features ko nahi chahte.

Pros:

  • Kisi prakar ka setup aavashyak nahi hai.
  • Upyog karne mein aur manage karna kafi aasan hai.
  • Yadi aap ek wordpress.com subdomain se khush hain to ye aapko free me milta hai. aapki free website ka naam iss tarah dikhta hai: https://user.wordpress.com

Cons:

  • Apni site ko grow karane ke liye limited vikalp milte hai. aap apne blog ko customize karne ke liye custom theme aur plugin ka upyog nahi kar sakte.
  • Aap apne blog par ads nahi chala sakate. iske bajay, wordpress.com aapke site par free me ads dikhayega jiske aapke paise nahi milte.
  • Yaha aap apne blog ke owner nahi hote hai, WordPress.com aapke account ko kabhi bhi suspend kar sakta hai, yadi ve pate hain ki aap unke Services ke Rules ya Terms ka ullanghan kar rahe hain.

Pricing:

Basic wordpress.com account free hai, lekin isme wordpress.com ke ads aur uski branding hogi.

WordPress.com ka logo aur ads ko apni website se hatane ke liye aap $4/month se unke personal plan mein upgrade kar sakte hain. Isme aapko ek custom domain bhi milta hai.

$8/month se aap extra design tool aur extra storage prapt kar sakte hain.

Naam saman hone ke karan, naye log aksar wordpress.com se shuru karte hain ye sochkar ki ve powerful wordpress.org platform par site bana rahe hain.

Lekin yaha ke limitations ko dekhne ke baad, users aksar apani website par adhik features aur control ke liye wordpress.com se wordpress.org par switch karte hai.

5. Blogger

blogger
Blogger

Blogger Google dvara pradan ki jane wali ek free blogging service hai. ye non-technical users ke liye blog banane ka ek quick aur aasan tarika pradan karta hai.

Blogger astitv mein sabse shuruvati blogging platforms mein se ek hai. isse pehali baar 1999 mein Pyra labs dvara launch kiya gaya tha.

Baad mein 2003 mein, Google ne blogger ko acquired kiya aur usse aaj hum jo blogger dekhte hai usme redesign kar diya.

Blogger par ek free blog shuru karne ke liye aapko bas ek google account chahiye.

Pros:

  • Blogger ek free blogging service hai.
  • Technical skills ke bina upyog aur manage karna kafi aasan hai.
  • Iska sabse bada advantage ye hai ki, ye Goolge ka sabse jyada secure platform hai aur reliable hai.

Cons:

  • Aap basic blogging tools tak hee limited rahte hain, aur Jaise-jaise aapka blog grow karta hai, to aap usme naye features add nahi kar sakte.
  • Design options limited milte hain, jaha bahut kam templates uplabdh hain. blogger ke third-party templates aksar low-quality vale hote hain.
  • Blogger me baar-baar updates ya naye features prapt nahi hote hain.
  • Google kabhi bhi aapke blog ko suspend kar sakta hai, ya blogger service ko puri tarah se radd bhi kar sakta hai. (Jaise Blogger se Feedburner ko hataya gaya hai)

Top 5 Best Blogging Platforms in India: Conclusion

Ham mante hain ki wordpress.org baki sabhi blogging platforms se behtar hai. Yaha aap bluehost ke sath ek best blog bana sakte hai.

Ye ek powerful, upyog karne mein aasan, saste plans aur baki sabhi uplabdh blogging platforms mein sabse adhik flexible blogging platform hai.

Yadi aap ek wordpress vikalp ki talash kar rahe hain, to sabse achha blogging platform ke liye hamari dusri pasand Constant Contact website builder hogi.

Unka Free A.I. Powered drag-n-drop website builder aapko blog se lekar business website aur Online eCom website tak kisi bhi prakar ki website ko banana kafi aasan kar deta hai.

Yadi aapko apna blog shuru karna hai, to aap mere iss article (wordpress me blog kaise banaye) ko jaroor dekhe. Aur Online Paise kamane ka apna ek popular tarika chalu kar sakte hai.

Umeed hai aapko ye article pasand aaya hoga, aur ab aap samajh gaye honge ki, ‘Top 5 Best Blogging Platforms in India’ konse hai,

Aur ab aap apna ek best blogging platform chun sakte hai aur apna blog shuru kar sakenge.

Iss article se aapko kuch bhi naya sikhne ko mila ho, aur pasand aaya ho to iss article ko baki logo tak bhi jarur share kare, jyada se jyada logon tak jankari dene ki hamare lakshy me hamari sahayata kare.

Sharing is Caring!!

Thanks!!

Leave a Comment