Audio editing software ek aisa program hota hai, jo aapko kisi bhi audio file mein kisi bhi tarah ke badlav karne me madad karta hai.
Isme aap apne audio recording ke kuch hisso ko cut, copy aur paste kar sakte hai.
Iss tarah ke softwares se aapko MP3, WAV, OGG, FLAC, aur kuch aur type ke file formats ko import or export karne mein madad milti hai.
To iss article me hum dekhne wale hai, top 5 best free audio editing software for Windows PC konse hai, unki khasiyat kya kya hai, aur unke bare me baki jankari dekhne wale hai.
Ek achha Audio Editing Software ya Digital Audio Workstation (DAW) chunana mushkil kaam ho sakta hai, kyunki aaj market me kayi tarah ke audio editing softwares hai, aur unke apne apne fayde hai.
Unme se Kuch free hote hain, to kuch extra features ke sath milte hain, to kuch kisi ek vishesh opareting system ke liye banaye gaye hai.
Aapko ye pata lage ki aapko kis tarah ka software chunana chahiye jo aapke liye faydemand ho, jo aapka samay bhi bachaye aur paise bhi. Iske liye humne kuch free aur paid softwares ki janch ki
Uske baad humne ye article banaya hai, jiski madad se aap jan sakenge ki Top 5 best free audio editing software for windows pc konse hai, taki aap koi bhi ek accha audio editing software chun sake.
Table of Contents
Top 5 Best Free Audio Editing Software for Windows PC
1. Audacity
Audacity kafi popular aur Best free audio editing software mein se ek hai, aur ye ek flexible aur powerful software hai.
Kisi bhi windows desktop platform ke liye, Audacity nishchit roop se free softwares ke liye pahali pasand hai.
Audacity me Built-in tools ka jo ek extensive suite ki, uski wajah ye users ke beech pasandida vikalpon mein se ek ban jata hai.
Audacity Features:
- Ye ek multitrack audio editor hai jo upyog karne me kafi aasan hai.
- Sabhi levels ke liye ye ek free open-source audio editing software hai.
- Mixer ya microphone ke madhyam se live audio record kar sakte hai.
- Kayi tarah ke sound files ko combine kar sakte hai aur recording ko alag alag formats me export kar sakte hai.
- 16-bit, 24-bit aur 32-bit ke sound files ko support karta hai
- LADSPA, LV2, Nyquist, VST ko support karta hai aur isme aapko audio unit effects ke plug-ins bhi milte hai.
2. Audio Cutter
Kya aap kuch iss tarah ke software ki talash kar rahe hain, jo aapko apne browser mein audio ko acchi tarah se edit karne mein madad kar sakta hain?
To Audio Cutter ek aisa software hai jo aapko apne audio file ko windows browser me cut aur edit karne me madad karta hai.
Ye ek puri tarah se free software hai, jo lagbhag 300 file formats ko support karta hai aur Ringtone quality presets aur Fade-in, Fade-out features ke sath aata hai.
Audio Cutter Features:
- Kisi bhi video me se audio track ko extract kar sakte hai.
- Isko aapke PC me install karne ki jaroorat bhi nahi hai, bas kuch clicks se aap apne browser mein kisi bhi audio track ko cut ya edit kar sakte hai.
- Iska process puri tarah se surkshit hai, Jaise hee audio file upload ki jati hai to aapko uska access mil jata hai, aur jab aapka kam khatam ho jata hai, to ye files automatically server se delete ho jate hai.
- Bas kuch clicks mein aap kisi bhi tarah ki ringtone bana sakte hai.
3. DVDVideoSoft Free Audio Editor
Yadi aap aap ek aise free audio editor ki talash kar rahe hain, jo aapke home-made audio files ke liye upyog karne me aasan hai, to ek baar DVDVideoSoft Free Audio Editor ko jaroor istemal karke dekhe.
Ye Audio editor aapko apne windows PC me audio editing karne me kafi aasan bana deta hai.
Apne audio files ko split karne me aur agar aapko audio file ke kisi hisse ko hatana hai jiski jaroorat nahi hai, to ye bhi aap kuch hee clicks me kar sakte hai.
DVDVideoSoft Free Audio Editor Features:
- Iska interface intuitive aur kafi simple hai.
- Isme audio files ke waveforms ko display kiya jata hai, jo kisi bhi prakar ke users isko dekhkar audio editing kar sakte hai.
- Isme aap kisi bhi ek format ke audio ko alag alag formats ke audio me convert kar sakte hai.
- Isme aap audio volume ko adjust kar sakte hai.
- Kaam ko aur aasan banane ke liye isme aap tags ya selections ka upyog kar sakte hai.
- MP3, WAV, AAC, AC3, M4A, MP2, OGG, WMA, FLAC jaise audio formats ko support karta hai.
4. Free Audio Editor
Pichle 10 saal se, Free Audio Editor apni simplicity ke karan kayi logo ki pahali pasand hai.
Iss Audio editor mein aapko Pared-back tool ka feature milta hai, jo Audio Editing ki process ko simple aur aasan banata hai.
Free Audio Editor Features:
- Isme Audio files ko Trimming karna aur Iska Converting karna kafi simple hai.
- Achhi tarah se design kiya gaya interface milta hai, halanki isme koi creative filters bhi nahi hai.
- Audio files ke export ke liye bahut sare formats ko support karta hai.
- Isme aap Standard Digital sound files bana sakte hai.
- Iske Traditional Waveform Display ya Frequency-based Spectral Display ka istemal karke aap aasani se audio editing kar sakte hai.
- Unwanted noise ko hata sakte hai aur isme isolate karna bhi aasan hai.
- Isme 30 se adhik native signal aur effect processing engines hai.
5. OcenAudio
OvenAudio Sabse powerful aur best audio editing software mein se ek hai, aur iska upyog karna bhi kafi aasan hai. isme aap bahut kam samay me audio editing master ban sakte.
OcenAudio Features:
- Filters selections ke kayi vikalp
- Clean n Simple Interface
- Har roj ke audio editing ke liye kafi aasan
- Isme aap real-time effect preview bhi kar sakte hai.
- Isme kafi jyada precise tools milte hai.
- Isme aap kisi bhi audio file ke alag-alag parts ka chayan kar sakte hai, unko edit kar sakte hai, aur unpar effects laga sakte hai.
- Isme aap Spectrogram View ka istemal karke apne audio ke spectral content ko dekh sakte hai.
Top 5 Best Free Audio Editing Software for Windows PC: Conclusion
To ab jab aap top 5 best free audio editing software for windows PC ke bare mein jante hain, to aap kisi bhi ek achhe software ke sath apna audio editing ka kaam free me shuru kar sakte hai.
Ye sabhi softwares apni apni jagah par best hain, lekin akhir mein ye keval mayane rakhta hai ki, kaun sa software aapke kaam ko sabse behtar banata hai.
Isliye aap chahe to inn sabhi softwares ka ek baar to istemal karke jaroor dekhe. Fir aap khud hee samajh jayenge kaun sa software aapke liye best option hai.
Hume umeed hai aapko ye article pasand aaya hoga, aur ab aap samajh gaye honge ki, ‘Top 5 Best Free Audio Editing Software for Windows PC’ konse hai.
Aur ab aap apna ek best software chun sakte hai aur apna audio editing ka kaam shuru kar sakte hai..
Agar aapko apna blog shuru karna hai to mere iss article ko dekh sakte hai: WordPress me blog kaise banaye?
Iss article se aapko kuch bhi naya sikhne ko mila ho, aur pasand aaya ho to iss article ko baki logo tak bhi jarur share kare, jyada se jyada logon tak jankari dene ki hamare lakshy me hamari sahayata kare.
Sharing is Caring!!
Thanks!!