Aajkal youtube videos ki wajah se screen recording kafi important ho gaya hai. aur screen recording kya hota hai iska thoda to andaza aap sabhi ko hoga hee.
Waise to screen recording kuch users ke liye ek complicated kaam ho sakta hai. par aajkal bahut sare acche screen recording software aa chuke hai, jo aapko iss kaam me kafi jyada madad karte hai, jo pehle sambhav nahi tha.
To isliye hum iss article me Top 5 Best Free Screen Recording Software ke bare me jankari lene wale hai, unke features, pros-cons kya kya hai ye sab jankari dekhne wale hai.
Aajkal to Screen recording software bahut jyada user-friendly ho gaye hai, isliye unka istemal karna aasan ho gaya hai.
Inn software mein aap bahut kam efforts lagakar bhi professional-looking videos bade aaram se bana sakte hai.
Yadi aapko kisi product ka demonstration dena ho, ya koi technical support karna ho, ya video calling karna ho, to uss samay aapke computer ka default screen capture utna accha nahi ho sakta, agar aapko high-quality videos banane ho.
Chahe aap puri screen ko record karna chahte hain ya screen ke kisi vishisht bhag ko capture karna chahte hain, to aise me ek best high-quality screen recorder hee aapki madad kar sakta hai.
Screen Recording Software kya hota hai?
Screen Recording Software aapke computer ya mobile ke puri screen ko ya screen ke specific part ko record kar sakta hai.
Iss recording mein aapke mouse cursor ki movements se lekar aapke browser mein url type karne tak sabkuch record kiya jata hai.
Uski wajah se logo ko ye janane mein madad mil sakti hai ki kya karna hai aur kaise karna hai.
Halanki, konse bhi do screen recording software ek jaise nahi hote hain, sabhi software ke apne apne features hote hai.
Kuch screen recording software alag alag formats me videos save nahi kar sakte hain ya kayi aise bhi software hai jo inn videos ko sidhe youtube jaise popular video platform par export kar sakte hain.
Udaharan ke liye, har screen recording software HD screen recorder ke sath nahi aate hai.
Aapko koi bhi screen recording software download ya install karne se pahale uske features, capability par dhyan dena chahiye.
Aur apne khud ki recording needs ko bhi analysis karke dekhna chahiye, shayad aapko HD Record karne ki aavashyakata na ho, to aap uske anusar software chun sakte hai.
Aapke liye sabse achha screen recorder vahi hoga jo aapki video recording needs ko pura karta hai.
Best Screen Recorder kya hota hai?
Best screen recorder vahi hota hai, jo nichhe diye gaye basic criteria ko pura karta hai:
- Upyog karne me aasan hona chahiye (Easy to use).
- Puri screen ko, ya ek specific screen area ko, ya ek window ko record karta hai.
- System aur microphone audio shamil hain.
- External sources se videos capture karta hai.
- Built-in Export vikalp hona chahiye.
Yaha ye bhi samajh le ki kayi software HD recording capabilities ke sath aate hain, aur aise HD video files ko upload karne mein bahut samay lagta hai.
Yadi aap kam samay me ek standard-quality ke videos upload karna chahate hain, to aise mein aapko HD Video Recording Software ki aavashyakta nahi hai.
Desktop Screen Recorder Vs Online Screen Recorder
Offline kaam karne ki kshamta ye inn do types ke beech ka sabse bada difference hota hai.
Desktop Screen Recorder mein aap internet connection ke bina bhi kaam kar sakte hain, to Online Screen Recorder ke liye aapko ek stable internet connection ki aavashyakta hoti hai.
Isliye jab aap koi gameplay capture karna chahte hai to online screen recorder ek best option nahi hota hai, isliye yaha aapko desktop screen recorder istemal karna hoga.
Halanki, yadi aap keval ek tutorial video banana chahte hain, to online screen recorder bhi thik kaam kar sakta hai.
Top 5 Best Free Screen Recording Software
Yaha market ke best screen recorder software ki list batayi gayi hai.
1. OBS Studio
OBS ya Open Broadcaster Software ek free screen recorder hai jo aapko recording aur streaming ye dono options HD mein pradan karta hai, aur isme video length par koi bhi limit nahi hai.
Ye Desktop Screen software hai jo aapko apne screen ka koi bhi hissa record karne ke sath puri screen ko record karne ka vikalp bhi deta hai.
Customizable hotkeys recording ko control karne mein madad karte hain, aur iska audio mixer aapko aasani se smooth audio ke sath best videos record karne me madad karta hai.
Best screen recording feature ke alava, OBS mein live-streaming ka bhi features hai, jo aapko major operating system ke default screen recorder mein bhi nahi milega.
Aap OBS ki madad se Youtube aur Twitch par live stream kar sakte hain, project ko save kar sakte hain aur apne videos ko FLV format mein badal sakte hain.
Ye sab features OBS ko best free screen recording software options mein se ek banata hai.
Price: Free
Supported OS: Windows, Mac, Linux
Best for: Jo log Youtube ya twitch par Professional live streaming karna chahte hai, unke liye ye best software hai.
2. Screencast-O-Matic
Screencast-O-Matic ek online screen recorder aur video editor hai, jo webcam aur screen recording dono ko support karta hai.
Par iss software mein aap HD recording nahi kar sakte hai, isme 800×600, 640×480 aur baki standard definitions mein record karne ke vikalp hain, jo ise video recording aur upload karne ke liye ideal banate hai.
Ye software users ko video files par zooming, drawing aur overlays ko jodne mein sahayata karta hai.
Iske alava, aap kisi bhi Desktop app ko download kiye bina apne video recording ko sidhe youtube par export kar sakte hain.
Screencast-O-Matic mein aap apne computer audio ko record kiye gaye videos ke sath sync kar sakte hain.
Yaha par dhyan rakhe ki iss software ke jyadatar editing features software ke paid version me milte hai.
Halanki, aap youtube par content upload karne ke liye iske free version ka upyog kar sakte hain.
Price: Free or $1.50/month
Supported OS: Windows, Mac, Chromebook, iOS.
Best for: Friends, customers ya online community ke sath tutorials ko share karne ke liye iska istemal kar sakte hai.
3. AceThinker
AceThinker ek web-based screen recorder hai jiska setup karna aur upyog karna kafi aasan hai.
Aap iska upyog specific screen part ko ya puri screen ko record karne ke liye kar sakte hain, isme recording karte samay real-time editing kar sakte hain, aur apne mic aur computer se ek sath audio capture kar sakte hain.
Ye software aapko aapke recording ko MP4, MOV aur API sahit sabhi popular video formats mein convert karne aur save karne me madad karta hai.
AceThinker ka upyog karke aap apni recording ko sidhe Dropbox, Google Drive, ya Youtube par upload kar sakte hain.
Ye sabhi features aapko free version mein mil jate hain, lekin kuch additional features ko prapt karne ke liye aap Pro version bhee install kar sakte hain.
Pro version ki ek khasiyat ye hai ki aap screen recording ko schedule bhi kar sakte hai.
Yadi aap dophar mein chalne wali live stream record karna chahte hain, lekin aap jaha par kaam karte hai waha internet na ho, ya aap dophar mein kahi bahar jane wale hai, to aap iss screen recording software ko apne ghar ke computer par install kar sakte hain, ek schedule bana sakte hain aur ise apne aap screen record kar sakte hain.
Price: Free or $39.95
Supported OS: Windows, Mac
Best For: Cricket match, football match, ya stock trends ko record karne ke liye best hai.
4. ScreenCastify
ScreenCastify ek aur screen recording software hai jo Google Chrome ke madhyam se kaam karta hai.
Chahe aap ek expert video creator ho ya naye video creator ho, aapke liye Screencastify mein sabhi important options pradan kiye gaye hai.
Aap iska upyog apne webcam, apni puri screen ko ya kisi ek tab ko capture karne ke liye kar sakte hain.
Iss software mein Click Highlighting, drawing pen tool, aur mouse spotlight Jaise features shamil hain.
Ek baar jab aap screen record kar lete hain, to uss video file ko aapke google drive par autosave karne ka kaam screencastify apne aap karta hai.
Baki Best Screen recording software ki tarah, screencastify aapko videos sidhe youtube par upload karne ka vikalp deta hai, sath hee recording ko Animated GIF, MP3, ya MP4 ke roop mein export kar sakte hai.
Price: Free
Supported OS: Windows, Mac, Linux.
Best for: Software demos ko record karne ke liye aur question-answer video banane ke liye best hai.
5. Bandicam
Bandicam ek strong screen recording software hai jo screen aur gameplay capturing ko support karta hai.
Ye software video ki quality ko compromise kiye bina High compression ratio ka upyog karta hai.
Bandicam ki madad se aap 120FPS mein 4k ultra-HD video ko capture kar sakte hain.
Bandicam ka ek aur best feature hai iski device recording capability.
Bandicam mein Ek separate capture card prapt karke, aap Apple TV, smartphones, playstations se bhi videos record kar sakte hai.
Iske alava, Bandicam user ko JPEG, PNG aur BMP formats mein screenshots capture karne deta hai.
Bandicam ke upyog karke aap apne pure computer screen ko, Excel spreadsheets ko, web browser ko, powerpoint presentation ko aur baki sabhi ko record kar sakte hai.
Iska free version videos par ek watermark lagata hai, isliye aapko iske sabhi capabilities ka upyog karne ke liye paid version ko lena hoga.
Free: Free or $39.99
Supported OS: Windows
Best for: Video recording ki depth ko balance karne mein best hain.
Top 5 Best Free Screen Recording Software: Conclusion
Screen Recording Software aapke videos ke alag-alag purposes ko pura kar sakte hai, aur kayi best screen recording software hai jinke liye aapko kuch bhi kharch nahi karna hai, ve free hote hai.
Aapki video recording needs aur aapke operating system ke aadhar par, aap ek free screen recorder ke sath apne targets ko prapt karne mein saksham ho sakte hain.
Yadi aap additional features chahate hain ya professional editing tool ka upyog karna chahate hain, to aap paid version mein upgrade kar sakte hain.
Umeed hai, inn screen recording software mein se koi bhi ek software aapki video capturing ki needs ko pura karega, chahe aap youtube ke liye ek tutorial bana rahe ho ya apne friends ke sath gaming videos ko share karna chahte ho.
Yadi aapko apna blog shuru karna hai, to aap mere iss article (wordpress me blog kaise banaye) ko jaroor dekhe, aur Online Paise kamane ka apna ek popular tarika chalu kar sakte hai.
Umeed hai aapko ye article pasand aaya hoga, aur ab aap samajh gaye honge ki, ‘Top 5 Best Free Screen Recording Software’ konse hai, aur ab inme se koi ek software chun sakte hai, aur apne youtube videos bana sakte hai.
Iss article se aapko kuch bhi naya sikhne ko mila ho, aur ye article pasand aaya ho to iss article ko baki logo tak bhi jarur share kare, jyada se jyada logon tak jankari dene ke hamare lakshy me hamari sahayata kare.
Sharing is Caring!!
Thanks!!