Aajkal Online paise kamane ka trend kafi badh gaya hai. aap kayi tarike se online paise kama sakte hai. aur kuch tarike to kafi jyada aasan bhi hai.
Aur unme se Freelancing online paise kamane ka ek best tarika ban gaya hai. par aisa kyun hai? ye Isliye hai kyunki freelancing kisi bhi any naukari ya career se bahut behtar sabit hua hai.
Behtar tarike se mera matlab jyada paise kamane ki kashmta aur isme aapko kitne samay tak kaam karna padta hai inn dono ke sandarbh mein hai.
To isliye hum iss article me dekhne wale hai, Top 5 Best Freelancer Platforms in India konse hai, unke features ke bare me jankari dekhne wale hai.
Iski madad se aap koi bhi accha freelance platform chun sakenge aur iss ghar baithe acche paise kama sakenge, apni koi bhi service deke.
Hamare top 5 Best freelancer platforms in India ki list dekhne pahale, kuch buniyadi bato par dhyan de.
Table of Contents
Freelancing kya hota hai?
Freelancing ek prakar ka career option hee hota hai, jisme ek self-employed vyakti (Freelancer) hota hai aur wo apni services ko kisi company ya baki logo ko pradan karta hai, aur wo ek samay par kayi clients ke liye kaam kar sakta hai.
Freelancing ka sabse achha Fayda ye hai ki aap apne kaam ka samay, apne kaam ke liye kitne paise lene hai, kitne dino me karna hai, ye sabhi bate khud chunte hain.
Yaha aapka koi boss nahi hota hai, aap khud apne boss ho. Aapko jab chahe, jaisa chahe kaam kar sakte hai.
Aapke kaam ki quality jitni acchi hogi, aap utne acche paise kama sakte hai. kisi naukari ki tarah nahi jaha aap kaisa bhi kaam kare aapko ek fix salary milti hai.
Ek Freelancer kitna kama sakta hai?
Vastav mein isme koi limit nahi hai ki, ek freelancer kitna kama sakta hai.
Freelancing mein, aapka income sidhe taur se aapke skills aur aap kitne samay tak kaam kar sakte hai iss par nirbhar hota hai.
Udaharan ke liye, yadi aap ek expert graphic designer hain aur $40 prati ghanta charge karte hain aur aap kul 5 hours kaam karte hain, to aapko $200 milte hain.
Jitna adhik samay aap apne kaam karne me nivesh karenge, aapki kamayi utni adhik hogi.
Bola jata hai na, Sky’s the limit. Ye kuch iss tarah hai.
Freelancing shuru karne ke liye kya chahiye hota hai?
Sabse acchi baat ye hai ki Freelancing mein, aapko kisi bhi prakar ki degree ya qualification ki avashyakta nahi hoti hai.
Yadi aapke paas koi bhi ek best skill hai aur aap usme kafi expert hai, uss field me aapki ek command hai, to aap uss skill me freelancing turant shuru kar sakte hain.
Aapko vo skills kaha se mile hai, isase koi farak nahi padta, matlab aapne ve skills khud ne sikhe hai ya kisi acche university me sikhe hai iss bare koi parvah nahi karta. ya koi puchta bhi nahi hai.
Yaha keval ek baat hai jo mayane rakhti hai, ye hai aapka job success rate aur aapka profile reviews jo aapko aapke clients dvara diya jata hai.
Jab aap isme nayi shuruvat karte hai, to aapko utna kaam ya offers nahi milega ye sach hai.
Lekin jaise-jaise aap apne skills par aur jyada mehnat karte hain aur apne profile ko grow karte hai, aur aapko jo bhi clients milte hai unse positive reviews prapt karte hai.
Ek baar jab inn stages ko aap acche se par kar lete hai, to aapke liye kaam milna utna kathin nahi rahta. Aapko orders milte jayenge aur aap utna jyada paise kama sakenge.
Kyunki, jab bhi koi client apne kaam ke liye ek freelancer ko dekhta hai, to sabse pahale ve uss freelancer ka profile dekhte hai, uske reviews dekhte hai, uska kaam karne ka success rate dekhte hai.
Top 5 Best Freelancer Platforms in India
To chaliye ab dekhte hai hamare top 5 best freelance platforms, unki features, unki membership fees aur unke interface kis tarah se kaam karte hai, ye sab dekhte hai.
1. Fiverr
Fiverr market ke best freelance platforms mein se ek hai. Iska naam ‘Fiver’ hai kyunki yaha har ek job kam se kam $5 ya usase adhik ka hai.
Yaha aap $5 se kam ke liye koi bhi listed job nahi dekh sakenge.
Fiverr, Best platforms mein se ek hone ke alava, ye sabse badi freelance websites mein se ek bhi hai.
Yaha aapko sabhi Niche ke alag-alag jobs ke offer milte hai:
- Graphic Designing
- Data Entry
- Web Development
- Software Development
- Voice Overs
- Copywriting
- Translations
Fiverr $ 30 se upar ke order ke liye lagbhag 5% fees charge karta hai.
Iske alava, yaha Buyers aur sellers ke personal data ko protect kiya jata hai.
Iske alava, Fiverr par aap apna khud ka Gig bana sakte hain yani kisi kaam ke liye aapka prastav.
Freelancer apne khud ke jobs banate hain, ve iss baat par aadharit hote hain ki ve log kis tarah ke kaam ko achha kar sakte hai aur usme ve expert hai.
Fiverr niymit janch karta rahta hai ki, vaha koi fraud ya scammers na ho ye ensure karne ke liye.
Fiverr ke bare Ye bol sakte hai ki, vartaman mein Fiverr best freelance Platforms ki list mein dominate kar raha hai.
2. Upwork
Upwork, jise pahale Elance ke roop mein jana jata tha, aur usko Elance aur Odesk inn 2 freelance platforms ko ek saath merge karake banaya gaya tha.
Fiverr ki tarah, Upwork duniya ke top freelance marketplaces mein ek bada aur pramukh naam hai.
Upwork me Vibhinn prakar ke jobs offer kiye jate hai, Aaj Upwork mein kul 12 million se adhik registered freelancers hain.
Lekin fir bhi, yaha par roj naye naye jobs offer kiye jate hai, jiska arth ye hai ki aap aaj bhi iska fayda le sakte hai, aur paise kama sakte hai.
Microsoft, Airbnb aur GE Jaise company Upwork ka upyog karte hai, upwork unn companies ke saath mel khata hai jo special aur complex projects par kaam karna chahte hain.
Upwork Hourly Contract system ka upyog karta hai aur Isliye freelancer ko ek project par kitne ghante kaam kiya hai uske anusar bill/paise diya jata hai.
Upwork me ek best feature hai, ‘Payment Verification’. Iski madad se, freelancer aur clients inn dono ko scams aur frauds se bachaya ja sakta hai.
Isme aapko Kafi aasan Billing service ke sath secure payment methods milte hain.
Upwork aapke totol work ka 20% charge hai jo ki bahut adhik lag sakta hai lekin yadi aap iske features ko dekhe to ye shayad layak ho sakta hai aur yaha aapko worldwide alag-alag jobs karne ka mauka bhi milta hai.
Upwork tezi se grow kar raha hai aur iske tej aur accurate services ke wajah se, isne best freelance platforms ki list mein apni ek jagah arjit ki hai.
3. Freelancer.com
Freelancer.com ko Buyers aur sellers ko ek hee location se jodne ke liye banaya gaya tha.
Ye jyadatar freelancers ke beech popular hai, kyunki ye unhe apni services ko aasani se market mein lane ki anumati deta hai.
Iske pricing plans kafi flexible hain, yaha aapko monthly aur annual subscription packages mil jate hai.
Yaha aapko kayi tarah ke jobs offers kiye jate hai, jisme aap hourly ya contents ke anusar kaam chalu kar sakte hai.
Yaha aapko keval 8 free job applications milte hain aur agar aapko 8 se adhik jobs ko apply karna hai, to aapko unki membership purchase karni padti hai.
Upwork bhi kafi limited job bids pradan karta hai, par fir bhi freelancer.com se adhik hee hai. Upwork aapko 60 free job bids offer karta hai.
Freelancer.com par Job posting free hai.
Jab bhi koi freelancer kisi project ko accept karta tabhi uspar fees charge ki jati hai aur uss project ki size ya type ke anusar fees alag alag ho sakti hai.
Aapko kisi bhi project par 3% ya $3 ka ek fixed levy dena pdta hai hai, inme se jo bhi adhik ho.
Freelancer.com ke paas secure payment options hain.
4. People per Hour
Ye website Freelancer aur businesses ko aapas me jodne ka kam karta hai, aur businesses ko jis talent ki jaroorat hai, waise freelancer se jodte hai.
People per Hour bhi duniya ki sabse bade freelance platforms me se ek hai, jaha duniya ke vibhinn hisso se buyers aur sellers milte hai.
Yaha aapko jobs offer ki ek acchi range milti hai aur yaha job postings par reviews kiya jata hai taki yaha koi scam job posting nahi hai ye dekha ja sake.
Yaha aapko secured payment system pradan kiya jata hain.
Iski ek aur baat acchi hai ki, yaha buyers ko kuch down payment karna pdta hai, tab jake freelancer unke projects par kaam chalu kar dete hai.
Iski wajah se buyers ko bhi acche quality ka kaam milne ki possibility badh jati hai.
Yaha buyers ek aur benefit milta hai ‘Regional Recruitment’ ka. Iska matlab yaha ve aapne country ke freelancer ko hire kar sakte hai.
Ye translation/ subtitle jobs ke liye kafi jyada accha ho sakta hai.
People per Hour par Job posting bilkul free hai.
Yaha Buyers se £ 0.6 + 5% ka transaction fee charge kiya jata hai aur credit card, debit card ya online payments ke liye 5% service fees liya jata hai.
People per Hour ne haal hee mein apne fee structure ko revised kiya hai
5. Guru
Guru website me aap ek aisa profile bana sakte hai jo aapke experience ko darshata hai, jisase potential employers se sampark karna aasan ho jata hai.
Jabki yaha har din bhari matra mein job posting kiye jate hai, to iske wajah se iska upyog kiya ja sakta hai.
Iske atirikt, Guru.com ek easy-to-use service hai.
Iske homepage se hee Businesses freelancers ki talash kar sakte hain ya jobs post kar sakte hain aur sidhe jobs proposals prapt kar sakte hain.
Guru ke Enterprise features ke sath, bade businesses freelancers ke group ko bhi hire kar sakte hai aur ve Guru.com ke kisi bhi representative se vyaktigat service bhi prapt kar sakte hain.
Guru bade paimane par naukari ke avsar pradan karta hai aur kayi free job applications bhi pradan karte hai. aur lagbhag 9% commission lete hain.
Yaha par jab koi Businesses apne job requirments ke posters display karte hain, to uspar koi charge nahi liya jata.
Par jab yaha se unko job ya service mil jati hai, tab unko fee charge ki jati hai. jo lagbhag $30 tak ho sakti hai.
Aur ye ek tarah se Businesses ke liye money-saver scheme ka kaam karta hai.
Top 5 Best Freelancer Platforms in India: Conclusion
Humne upar jitney bhi freelance platforms dekhe hai ve sabse acche freelance platforms hain.
Ek baat humesha Yaad rakhe, ye platforms aisi jagah hain jaha aap apne skills ka upyog karke paise kama sakte hain.
Yaha aapko free paise nahi dete hain. freelancing ke bare me ye bola jata hai ki, isme kuch bhi nahi hai, balki sirf kuch side income kamane ka ek tareeka hai.
To main aapko bata du, freelancing bahut bada market hai. isme aap pura career bana sakte hai. ghar baithe apne skills ki madad se jitna chahe utna paise kama sakte hai.
Aap apne 9am-5pm ke naukari se bahut adhik paise kama sakte hai sirf freelancing karke. Aur aise karne wale duniya me bahut sare log bhi hai.
Halanki, iske liye thoda samay dena hota hai. aap pehle din se bhi paise kama sakte hai, par iske chance bahut kam hote hai.
Bahut se log isse ek proper career ki tarah nahi mante hai ya isme paryapt samay nahi dete aur yahi pramukh karan hai ki kayi log yaha fail ho rahe hain.
Ek baar jab aap ise seriously lena shuru karte hain aur isme apna samay dete hai aur apne skills ko aur acche se display karte hai, to isme koi sandeh nahi hai ki aap bahut kam samay mein iske benefits ko prapt karenge.
Aur sabse acchi baat ye hai ki, freelancing me aap khud boss hote hai, aap jab chahe tab kaam kar sakte hai.
Isme 9-5 kaam karne ki bhi jaroorat nahi hai. par agar aapne itna samay bhi isme diya to aap kitne paise kama sakte hai uspar limit nahi hai.
Yadi aapko apna blog shuru karna hai, to aap mere iss article (wordpress me blog kaise banaye) ko jaroor dekhe. aur Freelancing ke sath sath blogging se online paise kamane ka apna ek best tarika chalu kar sakte hai.
Umeed hai aapko ye article pasand aaya hoga, aur ab aap samajh gaye honge ki, ‘Top 5 Best Freelancer Platforms in India’ konse hai, aur ab aap apna ek best freelancer platform chun sakte hai aur apna freelancing shuru kar sakenge.
Iss article se aapko kuch bhi naya sikhne ko mila ho, aur aapko ye article pasand aaya ho to iss article ko baki logo tak bhi jarur share kare, jyada se jyada logo tak jankari dene ki hamare lakshy me hamari sahayata kare.
Sharing is Caring!!
Thanks!!