Aajkal online classes kitne tezi se grow ho rahe hai, ye to sabhi jante hai. aur uski wajah se apna ek online course banakar bechna sabse profitable online business model ban gaya hai.
Yadi aap ek online course banana aur bechna chahate hai, jo aapko acche khase online paise kamake de sake, to aapko kisi acche online course platform ko chunana hoga.
Isme aapki madad karne ke liye humne ye article banaya hai, jisme aap dekh sakenge, Top 5 Best Online Course Platforms in India konse hai.
Kisi acche online course platform ka chunav karne mein aapka kafi jyada samay ja sakta hai, aur aapko bahut sare platforms ko try karke dekhna hoga, tab jake aapko ek best online course platform mil sakta hai.
To isliye ye article akhir tak dekhe, aur apne budget ke anusar apna ek best platform chune.
Yadi aapko online course platform ke bare me utna kuch maloom nahi hai, to main aapko bata du:
- Isme aapko apni ek online course website banani hoti hai.
- Apna ek sales landing page banakar isme jodna hota hai. jiski madad se aap apna course online bechte hai.
- Fir apne course ki ek keemat lagani padti hai aur aur jab course becha jata hai to aapko payments mil jata hai.
- Isme aapko videos, assignments, quizzes, aur kayi tarah ke content ko add karna hoga jo aapke student ko engage kar sake.
- Isme aap apni ek membership community bana sakte hai.
Table of Contents
Online Course Platform kya hota hain?
Online course platform aapki online course content banane me, bechne me aur manage karne mein madad karta hai.
Ye ek prakar se aapke online students ke liye aapki virtual classroom hai.
Online course platform ye vah jagah hai jaha aapke students ko course ka content, videos, audio files, documents, aur bahut kuch prapt hota hai.
Online course platforms aapke course business ke liye bahut kaam karte hain, kyunki unke in-built learning management system(LMS) hai.
Kuch platforms aapke liye video hosting, students login, billing, payouts aur bahut kuch kaam karte hain.
Top 5 Best Online Course Platforms in India
1. Thinkific
Online course platforms ke market mein Thinkific ek top platform hai.
Jo naye log apna pehla online course bana rahe hai, aise Shuruvati logo ke liye ye ekdum sahi product hai, kyunki isme kafi aasan interface hai. aur iska istemal karna bhi aasan hai.
Inka support system bhi iss market me sabse accha mana jata hai.
Pricing:
- Basic ($49/month): Unlimited Course, Unlimited students, custom domain, email integration aur coupons.
- Pro ($99/month): Basic Features, membership, bundles, private course, certificate, Advanced HTML aur CSS editing, assignments, Zoom ke madhyam se live lectures, aur priority support.
- Premier ($499/month): Pro Features, 50 course admins, onboarding package, aur Unlimited growth package.
Course Hosting Features:
- Private aur Hidden Course
- Kayi prashikshak/instructors
- Drip schedule content
- Evergreen aur expiring Content
- Membership sites
- Video hosting
Course Marketing Features:
- Drag-n-drop Builder
- Custom domain name
- HTML aur CSS ke liye full access
- Instant Payout
- All major credit card accept karta hai
Course Security Features:
- 9% uptime aur 24/7 monitoring
- Secure Cloud hosting aur daily backups
- SSL Certificate
Pros:
- Bahut sare tempalets aur themes
- All-in-one Solution
- Best Value for money
- Vishvasniy roop se checkout aur billing prakriya ko sambhalta hai.
Cons:
- Recurring Payments ke liye paypal ko support nahi.
- Two-step checkout prakriya jo humesha ideal nahi hoti hai.
2. Teachable
Teachable original online course platforms mein se ek hai, jo apni keemat me bahut sara value pradan karta hai.
Online Course banane walo ke kuch pain points hote hai, unhe ye solve karta hai:
- Course Builder ka upyog karna kafi jyada aasan hai.
- Payment Processing aur Students account management.
- E-commerce store apne online course bechne ke liye
Aise kayi course creators youtube par hai, jinke paas apna koi business entity setup nahi hota hai, jisase karam ve apna ek merchant account nahi bana pate, jisme ve payments receive kar sake.
Uski wajah se kisi bhi acche online course platform ki sahayta lena kafi jaroori ban jata hai.
Yadi aap ek youtuber, blogger ya social media influencer hai, to teachable aapke liye ke best online course platform ho sakta hai.
Teachable ke products vastav mein content creators aur experts ke liye banaye gaye hai.
Teachable me aapko limited marketing features milte hain aur order bumps, up-selling ya customized student experience jaise chizon par utna jyada focus nahi hain.
Pricing:
- Basic ($29/month): 5% transcation fees, 2 admins, drip content, course builder, members-only-Community.
- Pro ($99/month): Basic Features, No Transcation fees, 5 admins, advanced reports aur course certificates.
- Business ($249/month): Pro Features, Advanced coding customization, 20 admins, bulk student enrollments aur Group coaching calls.
Features:
- Integrated payment processing
- Student Managements
- Lectures Comments
- Basic Quizzes
- Free course par koi shulk nahi.
- Custom domain
- 2048-bit SSL Certificate
- 24/7 Monitoring
Pros:
- Unlimited video hosting
- Upyog karne me aasan
- Unlimted course
- Conversion Focused Checkout process
Cons:
- Marketing page templates kafi kamjor hain.
- Course Customization me kami.
- Baki marketing tools ke sath utna jyda integration nahi hai.
3. LearnWorlds
LearnWorlds aapke online course ko banane, bechne aur uska promotion karne ke liye best online course platforms mein se ek hai.
Ye Platform All-in-one Solution Category ke antargat aata hai, kyunki isme aapko course hosting, course marketing, analytics, landing page templates, aur bahut kuch features milte hain.
Ye ek strong platform hai jiski wajah se aapko iske bare me kuch jankari leni pdti hai, lekin mujhe lagta hai ki ye ek best platform hai.
Pricing:
- Starter ($24/ month): 1 Admin, $5 fee per course sale, custom domain, unlimited course, page buildar tool, 4 payment gateways, coupons, aur drip feed course.
- Pro Trainer ($79/month): Sabhi starter features, no transaction fees, 5 admins, subscriptions aur memberships, custom checkout page, Zoom end Webex ke jariye live classes, assignments aur affiliate management.
- Learning Center ($249/month): Sasbhi Pro trainer features, branded corporate academy, premium cloud server, premium support aur premium account manager.
Course Features:
- Unlimited video hosting
- Drip capability
- Quizzes
- Certificates
- Exams
- Assignments
Marketing Features:
- Coupons aur Promotions
- Memberships, Subscriptions aur bundles bech sakte hai
- Affiliate Management
- Custom Domain
- Sabhi pramukh marketing tools ke sath integration
- Landing page templates
Pros:
- Unlimited video hosting
- Zero Transaction fees (Pro Plan)
- Unlimited landing pages
- Affiliate Management
Cons:
- Basic course analytics aur reporting.
4. Podia
Podia ka ye dava hai ki, Aapko kisi bhi technical skill ki chinta kiye bina online course, webinar, downloads aur membership bech sakte hai.
Podia All-in-one solution category mein aata hai.
Students ke liye ek top-notch experience ban sake aise course banane me course creators ki madad karna hee Podia ki strength mani jati hai.
Pricing:
- Mover – $39 per month se shuru hota hai.
- Shaker – $79 per month se shuru hota hai.
Yadi aap online course banane ke liye ekdam naye hain, to Mover plan aapko apna online course jaldi se banane ki kshamta deta hai.
Features:
- Drip content
- Payments Plans
- Pre-sell course
- Pre-launch course
- Koi bhi file ko upload kar sakte hai.
- Upsell
- Bundle Products
- Blog ke roop mein upyog kar sakte hai.
- Conversion-optimized checkout
- Custom Urls
Pros:
- Pricing Options
- Zero Transaction Fees
- Setup karna aasan
- Unlimited Video hosting
- Webinars (Free aur Paid)
- Email marketing
- Affiliate Management
Cons:
- Isme Quizzes nahi milte hai
- Course Certificate nahi hai.
- Student experience utna achha nahi hai.
5. Kajabi
Kajabi vastav mein ek All-in-one platform hai, jo aapke online course ke liye aapki zarurat ka har ek kaam kar sakta hai.
Iss platform mein pichhle kuchh varsho mein kayi badlav huye hain.
Unhone 2010 mein jyadatar internet marketer ke liye ek platform ke roop mein shuruvat ki thi.
Lekin tab se unhone apne products ko puri tarah se badlav kar diya hai, jiski vajah se aaj ye market me sabse achhe online course platforms mein se ek hai.
Pricing:
- Basic ($119/month): 1 website, 1 admin, 3 products, 3 pipelines, 10000 contacts aur 1,000 active members.
- Growth ($159/month): 1 website, 10 admins, 15 products, 15 pipelines, 25000 contacts aur 10,000 active members.
- Pro ($ 319/month): 3 website, 25 admins, 100 products, 100 pipelines, 100000 contacts aur 20,000 active members.
Yadi aapka course business sales funnels, paid traffic, email marketing aur affiliate partners par aadharit hai, to aapko ek wordpress website ki jaroorat hogi, bhale hee aap Kajabi ka upgoy kare.
Agar aap iski price ki toolna Teachable se karenge to ye aapko expensive lag sakta hai, par aapko agar quality marketing features chahiye to ye aapko kabhi bhi nirash nahi karega.
Features:
- Video hosting
- Website aur funnel builder
- Email marketing
- Webinar tools
- Advanced Analytics
- Payment Gateways Integration
- Marketing Automation
- Up-sells, down-sells aur cross-sells
- Mobile app
Pros:
- Kisi bhi digital products ko bechne ki kshamta. Jaise course, membership, coaching.
- Conversion Focused website aur funnel builder.
- Advanced Marketing Automation
- Reporting aur Analytics
Cons:
- Built-in Merchant Account nahi milta.
- Price Naye users ke liye thode expensive hai.
- Student Experience Average hai.
Kajabi ek top-tier online course platform hai, kyunki isme aapko kayi next-level marketing features milte hai.
Agar aap ek best All-in-one course solution dekh rahe hai, to Kajabi aapke liye ek best vikalp ho sakta hai.
Top 5 Best Online Course Platforms in India: Conclusion
Aapke Online course ke liye sabse achha online course platform chunana aapke liye kafi complicated ho sakta hai.
Kyunki bahut kuch aise factors hote hai jaise best learning management system, design features, pricing, kuch premium features ko dekhna pdta hai, platform ko lene se pahle.
Ek baar jab aap sahi online course platform chun lete hai, to aapka ek best online course banana behad aasan aur faydemand ho sakta hai.
Best online course platforms ke bich chayan karte samay, apko inn bato par dhyan dena hoga: Student Experience, Marketing Features aur Pricing.
Yaha ek sach ye hai ki, sabhi best online course platforms aapko aasani se apna course content upload karne, apne students ko training pradan karane aur course ko bechne me aapki madad karte hai.
Aapke online course ki safalta aur online course bechne ki kshamta, aapke course ke content ki quality aur aap khud kitni achhee tarah se marketing kar sakte hain, inn dono par aadharit hota hai.
Yadi aap online course banana aur bechna shuru karne ke liye tayyar hai, to main aapko Thinkific ke sath jane ki salah deta hoon.
Yadi aapko apna blog shuru karna hai, to aap mere iss article (wordpress me blog kaise banaye) ko jaroor dekhe. Aur Online Paise kamane ka apna ek popular tarika chalu kar sakte hai.
Umeed hai aapko ye article pasand aaya hoga, aur ab aap samajh gaye honge ki, ‘Top 5 Best Online Course Platforms in India’ konse hai,
Aur ab aap apna ek best online course platform chun sakte hai aur apna ek course shuru kar sakenge.
Iss article se aapko kuch bhi naya sikhne ko mila ho, aur aapko ye article pasand aaya ho to iss article ko baki logo tak bhi jarur share kare, jyada se jyada logo tak jankari dene ki hamare lakshy me hamari sahayata kare.
Sharing is Caring!!
Thanks!!