Top 5 Best Online Grammar Checker Software (Complete Guide 2023)

Kisi bhi blogger ya writer ko successful hona ho, to uske apne subject ke knowledge ke sath-sath uske writing skills bhi bahut jyada important hote hai.

Writing skills me bahut sari bate aati hai, Jaise spelling, sentence structure, punctuations aur sabse aham baat hai Grammar.

To aap ke writing skills ko aur behtar karne ke liye, main iss article mein Top 5 Best Online Grammar Checker Software in India  konse hai, unko aap kis tarah istemal karke apne writing skills ko badha sakte hai ye batane wala hu.

Online Grammar Checker Software unn logo ke liye bhi upyogi hain jo sirf free emails likhna chahte hai, kuch reports banana chahte hai, aur yaha tak ​​ki jo sirf social media post likhna chahte hain.

Apne top 5 best grammar checker software ki list dekhne se pehle, kuch important bato ko dekhte hai, jinki madad se aap ek best software chun sakte hai.

Grammar Checker software kya hota hai?

Grammar Checker ek tarah ka software hota hai, jo aapke content me grammar mistakes, spellings, punctuations aur sentence structure ki janch karta hai, aur agar kuch galat ho to usko sudhar deta hai.

Aur jo advance software hote hai, ve aapke content ka style, tone aur syntax ki bhi janch karte hain taki aapka content padhne me aur accha ho sake.

Grammar Checker Software ka upyog kaise karte hain?

Sabhi Grammar Checker Software alag-alag tariko se kaam karte hai.

Grammarly jaise kuch grammar checker ke sath, aap apne content ko copy karke, isme paste kar sakte hain ya uss file ko upload kar sakte hai, taki aap apne content ke mistakes ki janch kar sake.

Kabhi-kabhi inn grammar checkers ke web browser plugins/extensions hote hain, aur fir aap uss browser me jo bhi likhte hai, usko ve plugin automatically janch karte hai, agar kuch galat ho to usko sudharne ke liye sujhav bhi dete hai.

Best Grammar checker me konse features hone chahiye?

Jab aap ek best grammar checker software chunte hai, to uss samay aapko kuch important features ke bare me jaroor sochna chahiye.

Sabse pehle to vo ek top-notch grammar checker software hona chahiye, aapki sabhi spelling mistakes ko dekhkar unko behtar banane ke sujhav dena chahiye.

Aapke sentence aur acche tarah se dikhe isliye re-word ka sujhav dena chahiye, sabhi punctuations ko sahi karna chahiye, aapke pure content ka tone, style, aur readability ki janch karni chahiye.

Iske baad, isme ek plagiarism checker hona chahiye aur ek dictionary bhi ho taki naye words ko khoj sake ya alternative words ka istemal kar sake.

Akhir mein, ek best grammar checker software mein extension aur intergration bhi shamil hain, jo aapko sabhi apps, browsers aur programs me iska upyog karna aasan banaye.

Top 5 Best Online Grammar Checker Software in India

To chaliye ab hum apne top 5 grammar checker software ke bare me jankari lete hai, aap unko aapas me compare kare, unke pros-cons ko dekhe, aur uske baad hee kisi acche grammar checker software ko chune.

1. Grammarly

Grammarly sabse popular grammar checker software mein se ek hai. ye online bhi uplabdh hai aur Firefox, Google Chrome aur MS Word ke liye iske add-ons bhi milte hai.

Aap Mac aur Windows dono ke liye iska desktop app install kar sakte hai. aur iOS ya Android ke liye mobile app bhi install kar sakte hain.

Grammarly aapko kayi prakar ke mistakes ki janch karne mein madad karta hai, jaise Grammar, Punctuations, spellings, plagirism aur writing style. aur isme aapko useful aisa Comma checker bhi milta hai.

Grammarly bahut jyada prabhavshali hai. iska real time spelling aur grammar checker kafi jyada accurate hota hai aur ye aapke writing skills ko aur jyada behtar banane mein madad kar sakte hai.

Isme aap apne audience, style, intent, emotions aur domain ke aadhar par writing goals nirdharit kar sakte hain. aapko inn goals ke aadhar par real time insights milta hai.

Grammarly ka upyog karna bahut aasan hai, aur aapke pure content ki janch karne mein kuch hee minutes lagte hain.

Grammarly ka premium version $29.95/month se shuru hota hai, jo baki software ki tulana mein thoda adhik lag sakta hai.

Pros:

  • Accurate aur Fast.
  • Kayi platforms par kaam karta hai.
  • Kayi Premium add-ons milte hai.

Cons:

  • Offline editing mode nahi hai.
  • Mac me Office ko support nahi karta hai.

2. ProWritingAid

ProWritingAid ye software professional logo ke liye ek badhiya vikalp hai kyunki isme aapke content structure ke liye sirf aapke grammar ki janch hee nahi to aur kayi tarah ki janch bhi karta hai.

Isme words repetition, cliches, redundancies aur baki writing mistakes ki janch hoti hai.

Ye software keval aapke grammar ko sahi karne se bhi adhik kaam karta hai.Ye puri tarah se ek writing coach ki tarah kaam karta hai.

Aapke content ka flow aur padhne mein aasan ho iske liye aapke writing skills ko behtar banane ke bare mein sujhav deta hai.

Features:

  • Grammar checking
  • Word explorer
  • Style suggestions
  • Repeated words
  • Detailed explanations

Ye lagbhag sabhi device ke saath integrate hota hai jo devices aapke paas ho hai.

Isme Mac aur Windows ke liye ek desktop app hai aur Firefox, Safari aur Chrome ke liye browser extensions hain.

Ye software pure Microsoft office suite ke sath bhi integrate hota hai.

ProWritingAid software ka premium version $63/year par uplabdh hai. aur ye baki grammar checker software ki tulana mein bahut saste hai.

Pros:

  • Accurate
  • In-depth reports.
  • Upyog karne mein aasan.
  • Kisi bhi device par upyog kar sakte hain.

Cons:

  • Free version me limited features milte hai.
  • Sirf English me uplabdh hai.
  • Iska koi mobile app nahi hai.

3. Ginger

Ginger grammar checking software industry ke sabse old software mein se ek hai.

Iss software ka cross-platform compatibility kafi jyada achha hai.

Isme aapko ek windows software milta hai, ek Android app, ek iOS app bhi milta hai aur Chrome, Safari inn dono ke liye browser extensions milte hain.

Mac users browser extensions ka upyog kar sakte hain.

Features:

  • Grammar checker
  • Spelling check
  • Sentence rephraser
  • Personal trainer
  • Text Reader
  • Translator

Ginger software Grammarly ki tarah utna jyada accurate nahi hai. ye kam mistakes ko khojta hai aur correction ke sujhav bhi kafi kam deta hai.

Lekin agar aapke paas grammar aur punctuations ki achhi samajh hai, to ye grammar checker kam keemat me ek achha vikalp ho sakta hai.

Ginger ke premium plan $20.97/month se shuru hote hain. Par agar aap 2 saal ke liye ye plan kharid lete hain to ye aapko $6.66/month tak mil sakta hai.

Pros:

  • Install karne me aur upyog karne ke liye aasan hai.

Cons:

  • Grammarly ki tarah utna accurate nahi hai.

4. White Smoke

White Smoke ek aisa grammar checker software hai jisme aap kisi bhi device par kaam kar sakte hai jab tak aapke paas internet connectivity hai.

Ye aapke content ke grammar, spellings aur readability ki janch karta hai.

Basically ye software MS Word mein spelling aur grammar checker ka ek advanced version hai.

Features:

  • Grammar checker
  • Spelling checker
  • Style checker
  • Punctuation checker
  • Translator aur Dictionary

Aapke content ko aur jyada behtar banane ke liye corrections aur sujhavo ke alava, White Smoke video tutorial aur explanations bhi deta hai taki aap unn mistakes ko behtar dhang se samajh sake.

Ye aapke writing skills ko samay ke sath behtar banane mein madad karta hai.

Pros:

  • Bahut sare writing features hai.
  • 55 languages mein uplabdh hai.
  • Lagbhag sabhi devices me kaam karta hai.

Cons:

  • Desktop app me 10,000-characters tak limit hai.
  • Slow Customer service
  • Grammarly ki tarah utna jyada accurate nahi hai.

5. After The Deadline

Kya aap Apne grammar ki janch karne ke liye ek open-source solution ki talash kar rahe hain? To aapko After the Deadline ek baar jaroor dekhna chahiye.

Isko polishmywiting.com ke roop mein bhi jana jata hai, aur ye kayi logo ke liye ek pasandida vikalp hai.

Vishesh roop se jo log ek baar mein pure content ke grammar ki janch free me karna chahte hain.

Iss software me Paid-grammar checker ki tarah utne jyada features nahi milte hai, lekin fir bhi ye test karne ke liye rakha jata hai.

Ye grammar mistakes, spelling mistakes aur style ke mistakes ki accurately pehchan karta hai.

Ye software OpenOffice, WordPress, Firefox, aur Chrome ke liye ek add-ons ke roop mein uplabdh hai.

Pros:

  • Bahut sare programs ke sath integrate karta hai.
  • Ye ek Free software hai.

Cons:

  • Iska upyog karne ke liye aapko online hona chahiye. internet connectivity humesha bani rahe.

Grammar Checker software ka upyog kyun karna chahiye?

Writers grammar checker software ka upyog karke ye sunishchit kar sakte hain ki unke dvara jo bhi content likha gaya hai wo high-quality ka ho.

Editors aur website owners apne audience ke liye content ki readability mein aur SEO mein sudhar lane ke liye grammar checker software ka upyog karte hain.

Apne content ka proper grammar uss content ke Creditability ke barabar hota hai, agar aapka content audience ko padhne layak nahi lagta to ve aapke site par wapas nahi aayenge.

Grammar checker software plagiarism se bachane mein madad karte hain, aapko ye sikhne mein madad karte hain ki, aap kaha mistakes karte hain, aur apne writing skills mein sudhar lane bhi bahut jyada madad karte hai.

Best Grammar Checker software kaise chune?

Grammar checker ka chayan karte samay kuch bato ka dhyan rakhna chahiye.

Price:

Kayi grammar checker software aapko free mein online grammar ki janch karne ki anumati dete hain.

Lekin jyadatar online grammar checkers ek subscritpion model ka palan karte hain.

Yadi aap apne professional kaam ke liye ek grammar checker ka upyog karna chahte hain, to kisi acche software ke liye paise kharch karne hee honge.

Aapko isme adhik features prapt hote hain. Isliye apne budget ke aadhar par ek accha grammar checker software chune.

Accuracy:

Yadi aapke paas pehale se hee grammar ke bare me acchi samajh hai, lekin agar aapko ek aisa software mile jo aapki choti se choti mistakes bhi solve kar sake, to ye aapke content ke liye best hota hai.

Grammar checker software vibhinn levels ke accuracy ke sath aate hain. Humne iss list me jitney bhi software ki jankari dee hai, ve sabhi acche accuracy ke sath aate hai. fir bhi agar aapko ek best accuracy chahiye to aap Grammarly ko hee chune.

Easy to Use:

Ek aise grammar checker software ka upyog kare, jiska upyog karna aasan ho.

Aap aisa software chahate hain jo aapke upyog ke mamale mein customize ho sake.

Udaharan ke liye, aap ek aisa software chahate hain jo ki microsoft word ke sath integrate ho, yadi aap apne writing ke liye MS word ka upyog karte hain.

Premium Features:

Kuch grammar checker software premium features ke sath aate hain.

Udaharan ke liye, yadi aap kuch academic writing karte hai, to aap essay checker Jaise premium features ki madad lena chahenge. Jo kayi grammar checker software ke sath aata hai.

Aapko kis tarah ke features ki jaroorat hai iska ek baar analysis kare. Aur fir jo software aapke unn features ko pradan karta hai usko aap chun sakte hai.

Support:

Kya koi grammar checker software ek acche customer service ke sath aata hai? yadi aap ek free grammar checker software ki janch kar rahe hain to ye aapke liye utna important nahi hoga.

Lekin agar aap iske liye paise kharch kar rahe hain, to aap ye jaroor dekhna chahiye ki yadi aapko kabhi iski avashyakata ho to aapko waha support milega ya nahi.

Top 5 Best Online Grammar Checker Software in India: Conclusion

Yadi aap ek best-in-class grammar checker software ki talash kar rahe hain, to aapko Grammarly ke sath hee jana chahiye. kyunki ye baki software se kafi jyada accha sabit hua hai.

Halanki, Ginger, ProWritingAid, aur WhiteSmoke bhi acche alternatives hain, khaskar yadi aap Grammarly jitney paise leta hai utna kharcha nahi karna chahte hain.

Yadi aap ek free grammar checker software ki talash mein hain, to After the Deadline ek best vikalp hai.

Yadi aapko apna blog shuru karna hai, to aap mere iss article (wordpress me blog kaise banaye) ko jaroor dekhe. Aur Blogging se Paise kamane ka apna ek popular tarika chalu kar sakte hai.

Umeed hai aapko ye article pasand aaya hoga, aur ab aap samajh gaye honge ki, ‘Top 5 Best Online Grammar checker software in India’ konse hai, aur ab aap apna ek best grammar checker software chun sakte hai.

Iss article se aapko kuch bhi naya sikhne ko mila ho, aur aapko ye article pasand aaya ho to iss article ko baki logo tak bhi jarur share kare, jyada se jyada logo tak jankari dene ki hamare lakshy me hamari sahayata kare.

Sharing is Caring!!

Thanks!!

Leave a Comment