Top 5 Best Website Builders in India for 2023

Aaj har ek business ke liye khud ki website banana kafi important ho gaya hai. fir chahe wo online ho ya offline.

Apne online business ka ek strong web presence banana hai to, ek website bahut jyada kaam aati hai.

Par sabhi naye businesses ke paas shuru me utne paise nahi hote, jo ve kisi web designer ko hire kar sake aur apni website bana sake.

Aur isi ki wajah se Website builder banaya gaya hai, jo aapko website banane me kafi jyada madad karta hai, bina kisi technical knowledge ke sath.

To kya aap dekhna chahenge, Top 5 Best Website builders in india for 2023 konse hai?

Yadi aap abhi nayi shuruvat karne ja rahe hain, to aap kisi bhi coding knowledge ke bina ek professional dikhne vali website banane ke liye ek best website builder ka upyog kar sakte hai.

Lekin aaj market me itne sare website builders vikalp hai, to unme se ek sahi vikalp banana kathin lag sakta hai.

Isliye humne aaj market ke top 5 best website builders in india for 2022 ko iss article ke dvara aapke samne rakha hai, unme se aap kisi ek ko chun sakte hai.

 

Top 5 Best Website Builders in India for 2022

1. Wix (Best “Premium” Website Builder)

Wix ek best premium website builders ke list me aata hai. Iske editor ki flexibility iska sabse bada aur important feature hai.

Yaha aapko drag n drop editor milta hai, jiski madad se aap kisi bhi elements ko apne page par jaha lagana chahte hai, waha laga sakte hai bina kisi limitions ke.

Yaha aapko 800 se jyada themes milte hai, jiske sath apni website banana kafi jyada aasan ho jata hai.

Isme aapko aur ek shandar feature milta hai wo hai, iska App Store. Aur isme 250 se adhik alag alag aaps hai, jiski wajah se aapko jo features chahiye wo aaram se mil jate hai.

lekin yaha ki kuch chijen aisi hai jo hame pareshan kar sakte hai.

Isme aapko customization ke itne sare options milte hai ki, waha ka navigation menu kafi jyada bhara hua lagta hai, crowded lagta hai.

Aur aap lambe samay ke liye apne website me kaam karte hai, to aapko baad me kuch bhi khojna ho to thoda mushkil ho sakta hai.

Aur ve badi (30+ pages) websites ke liye upyukt nahi hain.

Inka 24/7 live chat support waise to achha hai, lekin kam se kam unke paas ek tickets aur vidoes ke sath ek help center hota to aur accha ho sakta tha.

Features:

  • Drag n Drop Editor
  • 800+ Themes
  • Blog Editor
  • ECommerce Editor
  • Automatic Backups
  • Email Support

Pros:

  • Drag n Drop editor jisme koi bhi limitations nahi hai, aap kuch bhi ek jagah se dusri jagah par move kar sakte hai.
  • Upyog karne ke liye bahut saral hai.
  • Best SEO vikalp milte hai.
  • Best App Store (250+ Apps)
  • Unique features ki lambi list milti hai.
  • Inke editor ke IOS aur Android Apps mil jate hai.

Cons: 

  • Videos aur Tickets ke sath Help center nahi hai.
  • Badi Websites ke liye accha nahi hai.

Plans & Pricing:

Aap yaha free me chalu kar sakte hai. aur isme aapko payments methods ko bhi nahi dena hai.

Lekin free plan ke kuch limitations hai. isme aap apne domain name se connect nahi kar sakte (iske bajay aapke website ka url kuch iss tarah ka hota hai, ‘example.wix.com’)

Free plan me aapke site par ads bhi display kiye jate hai.

Iske sath ve aapko unke sabhi premium plans 14-din ke money-back guarantee ke sath dete hai.

Website Plan:

  • Combo: $14/month- Isme aapko ek custom domain name milta hai, koi ads nahi hote hai, SSL Certificate, aur 3GB ka storage milta hai.
  • Unlimited: $18/month- Isme aapko Analytics statictics milta hai, $300 ka ad voucher milta hai, aur 10 GB storage milta hai.
  • Pro: $23/month- Isme aapko ek event calendar milta hai, logo maker, aapke brand se jude social media images, 20 GB Storage milta hai.
  • VIP: $39/month- Isme aapko Prioroty support ke sabhi features milte hai, aur 35GB ka storage milta hai.

eCommerce Plans:

  • Business Basic: $23/month.
  • Business Unlimited: $27/month.
  • Business VIP: $49/month.

Visit Wix.

 

2. Constant Contact (Best AI-Powered Website Builder)

Yadi aapko nayi nayi technology ke sath khelna pasand hain, to Constant Contact aapke liye ek best option hain.

Hamari iss list mein keval yahi ek AI-Powered website builder hai. Iski sabse acchi baat ye hai ki, aap iske saath ek free plan se bhi khel sakte hain.

Isme aapko apni website banate samay kuch sawalon ke jawab dene hai, fir unn jawab ke adhar par aapko ek best aur responsive template mil jata hai

Iske alava, aapko isme shuru se kuch design nahi karna hota, yaha aapko pre-made 50 se jyada pages aur pages ke elements mil jate hai, to unko istemal karke aap website bana sakte hai.

Yaha aapko popular website sections milte hai Jaise Bookings, FAQs, reviews. Aap yaha apne pages ko customize kar sakte hai, Jaise fonts, colors change karna. 

Itne sare acche features hone ke bavjud, iss website builder ki bhi kuch limitations hain.

Iske kuch features se bloggers nirash ho sakte hai. yaha aapke paas H1/H2 titles, Bold aur Underline karne jaise aavashyak in-post styling vikalp milte hain.

Aap yaha apne post me images jod sakte hai, lekin unka size badal nahi sakte. videos ko embedded kar sakte hai, lekin keval youtube se.

Iska sabse kamjor point hai On-page SEO. aap isme custom meta title, meta description aur url slug jod sakte hain.

Lekin aapko yaha koi extra tools nahi milte, jinki madad se aap keyword optimization kar sake, aur custom schema markup apne post me jod nahi sakte.

Features:

  • Grid + Template Editor
  • AI Builder themes
  • Blog Editor
  • eCommerce Editor
  • Live chat, email, phone support

Pros:

  • Best free plan
  • Free Ecommerce
  • Saste plans
  • User-friendly interface

Cons:

  • Drag n Drop Editor nahi hai.
  • Simple blogging interface

Plans & Pricing:

Apne best free plan ke alava, Constant contact mein keval ek premium plan hai, jiski keemat $10/month hai.

Isme aapko SSL security milti hai, unlimited storage milta hai, aur unlimited products milte aapke ecom store ke liye.

Yaha aapko email marketing karni ho, to aapko alag se $20/month dene honge.

Visit Constant Contact.

 

3. GoDaddy Website Builder (Best Reputed Brand)

Ye ek aisa website builder hai, jisme small business owners kafi jyada attract hote hai, kyunki yaha aapko 300 se adhik themes milti hai, images editing ke tools milte hai.

Popular online marketplace Jaise (Amazon, eBay) ke sath integration karta hai, isme aapko native shopping cart bhi milta hai.

Ek baar jab aapko ek achhi dikhne vali theme mil jati hai, to aap usse drag-n-drop editor mein customize kar sakte hain.

Yaha par aap promo banners jod sakte hai, Contact form jod sakte hai, call-to-actions ke best designs chun sakte hai, aur bhi bahut customization kar sakte hai.

Iske baad, apne social accounts (facebook, instagram, linkedIn) ke sath integrate kar sakte hai.

Ye ek eCom platform hai, lekin full-time eCom website owners ke bajay ye kuch chote, hobby product bechne walon ke liye acche se suit karta hai.

Isme aap kisi bhi third-party extensions ko add nahi kar sakte, to aap yaha se jaldi move on kar sakte hai.

Features:

  • Drag n Drop Editor
  • 300+ themes
  • Blog Editor
  • eCommerce Editor
  • Automatic Backups
  • Live chat, phone Support

Pros: 

  • Best Free Plan
  • Prayog karne mein aasan
  • Uchit keemat
  • Support & Tutorials milta hai.

Cons: 

  • Badi Companies ke liye bahut simple ho sakta hai.
  • Best eCommerce Platform nahi hai.

Plans & Pricing: 

Godaddy ke paas ek free plan hai jo bahut sari services ke sath aata hai.

Isme email aur social media marketing, paypal payment method, SSL Certificate aur 24/7 support shamil hain.

Kuch Paid plans iss tarah hai:

  • Basic: $9.99/month
  • Standard: $14.99/month
  • Premium: $19.99/month
  • eCommerce: $24.99/month

Visit Godaddy

 

4. SquareSpace (Best Design Template)

SquareSpace quantity se adhik quality par dhyan deta hai. yaha aapko lagbhag 70 themes template mil jate hai.

Lekin har design high-quality, stylish, responsive aur SEO-optimized hote hai.

Apne website ko ek brand ke roop me banane ke liye yaha aapko kayi acche tools mil jate hai, Jaise tweak page layouts, customize grids, website theme ke colors change kar sakte hai, aur bhi bahut kuch.

Apni website ko aur jyada accha banane ke liye aap yaha ke pre-made designs ka upyog kar sakte hai, aur third-party extensions ka bhi istemal kar sakte hai.

Aapko yaha Popular  business tools ke sath integration hai aise 20 tools milte hai aur 30 se jyada services bhi milti hai.

Lekin inn sabhi suvidhao ki ek keemat hai. SquareSpace ke mamale mein, ye kafi costly hai.

14-din ke free trail ke baad, aapko apne website ke liye min. $12/month ka bhugtan karna hoga.

Inn plans mein apko ek hosting plan, domain name, website builder ka access, baki sabhi design tools aur services milti hai.

Features:

  • Grid system editor
  • 70 themes
  • Blog editor
  • eCommerce editor
  • Automatic Backups
  • Tickets/Help Center Support

Pros:

  • Prayog karne mein aasan
  • Podcasting Integration
  • Best Blog platform
  • SSL Security
  • Ecommerce Platform

Cons: 

  • Drag n Drop Editor nahi hai.
  • Expensive

Plans & Pricing:

Hamare iss list me squarespace ke plans bhi kafi costly hai.

  • Personal: $12/month
  • Business: $18/month
  • Commerce: $26/month

Iska personal plan $12/month se shuru hota hai, isme aapko website metrics, best support, templates, SEO features, unlimited storage aur bandwidth milta hai aur sath me SSL Security bhi milti hai.

Visit SquareSpace.

 

5. Shopify (Best eCommerce Builder)

Shopify Best eCommerce website builders mein se ek hai.

Bina kisi code ke, aap kuch hee dino mein ek best online store setup kar sakte hain.

Baki website builders ki tarah, aap ek modern website template chun sakte hain aur fir drag-n-drop builder ke saath sabhi pages ko customized kar sakte hai.

Jab aapko kuch extra features chahiye honge, to uske liye aap ko Shopify ke App store me 5500 se adhik app aur integration mil jate hai.

Jabki buniyadi SEO tool mil jate hain, par aap URL ko puri tarah se customize nahi kar sakte aur robot.txt files ko edit nahi kar sakte.

Features: 

  • Drag n Drop Editor
  • 70+ themes
  • Blog Editor
  • eCommerce Editor
  • Automatic Backups
  • Live chat, phone, email support

Pros: 

  • Clean n easy Editor
  • Blog platform
  • Advanced Ecommerce features
  • 1,200 integrations

Cons: 

  • Expensive
  • Sabhi prakar ke templates nahi milte.

Plans & Pricing:

Shopify nishchit roop se ek expensive website builder hai. lekin ye keval isliye hai kyunki ve 2022 mein best website builders me se ek sabit hua hai.

  • Basic shopify: $29/month
  • Shopify: $79/month
  • Advanced shopify: $ 299/month

Visit Shopify.

 

Top 5 Best Website Builders in India for 2022: Conclusion

Jaisa ki aapne hamare list me dekha hain, pratyek website builder ke apne alag-alag features hai, apne alag pros-cons hai.

Aapko ek stylish website banana ho, jo aapke liye value for money sabit ho, aur ek best converting website banana ho, to aapko inme se mil jayenge.

Kul milakar, hamare research mein sabse achha website builder Wix hee lagta hai.

Iska simple drag-n-drop interface isko upyog karne ke liye bahut aasan banata hai.

Aur iske features jaise ki badi sankhya me templates aur media galleries, jinki madad lekar aap apni website ko Jaise chahe waise customize kar sakte hai.

Yadi aapko konsa website builder lena chahiye ye samajh nahi aa raha hai, to aap Wix ke free plan se shuru kar sakte hai. aur uske sath apni website banake dekh sakte hai ki ye aapke liye sahi hoga ya nahi.

Aajkal sabhi websites builders free plans or trails dete hai, to aapko jyada se jyada builders ka upyog karke dekhna chahiye, jo aapke liye best aur suitable ho uske sath aage badh sakte hai.

Yadi aapne abhi bhi apna koi blog nahi banaya hai, to aap mere iss article (wordpress me blog kaise banaye) ko jaroor dekhe. Aur Online Paise kamane ka apna ek best tarika chalu kar sakte hai.

Umeed hai aapko ye article pasand aaya hoga, aur ab aap samajh gaye honge, apne website banane ke liye Top 5 Best website builders in India for 2022 konse hai.

Iss article se aapko kuch bhi naya sikhne ko mila ho, ya kuch bhi accha laga ho, to iss article ko jyada se jyada logo tak bhi jarur share kare, jyada se jyada logon tak jankari dene ki hamare lakshy me hamari sahayata kare.

Sharing is Caring!!

Thanks!!

 

Leave a Comment