How to Create WordPress Blog in 11+ Steps (2023)

wordpress blog kaise banaye

Agar aapko apna blog chalu karna hai, to aapke samne ye sawal jaroor aaya hoga, wordpress blog kaise banaye?

Wo bhi aasan se 11+ steps me sirf 30 minute se kam samay mein, to aapka mere iss article me swagat hai.

Aap Aaj Yaha hamare sath sikh sakte hai, 2023 me paise kamane wala blog kaise shuru kare?

Yaha pe jo bhi 11 steps bataye gaye hai, unko follow karte huye aaj aap ek best aur successful blog chalu kar sakte hai.

Yadi aap sikhna chahte hain ki apna blog ek business jaise kaise shuru kare na ki sirf ek content writer ki tarah, to aap sahi jagah par aaye hain.

Bahut se log sochte hain ki 2023 mein blogging se paisa banana kafi aam baat ban gayi hai, har koi blogging me aa jata hai.

Iski wajah se blogging mein bada competition ban gaya hai.

Aur wo ek tarah se sach bhi hai. Par aaj bhi 90-95% blog fail ho jate hai, kyunki wo sab kisi aur ke blog ko dekhke aur unke earnings ko dekhne ke baad blogging chalu kar to dete hai, par itne bade competition me apne blog ko grow nahi kar pate aur kam samay mein blog band kar dete hai.

Isliye maine iss blog ko ek case study ke roop mein banaya hai taki aap bhi ek best blog shuru kar sake aur Blogging se paisa kamaye.

Aapko bas sahi methods, planning ki jaroorat hai. aur aapka ek goal hona chahiye ki aap blogging me konse level tak lekar jana chahte hai aur kitna kamana chahte hai.

Jo log naye hai, jinko blogging ke bare me kuch bhi maloom nahi hai, unn jaise new bloggers ke liye mera ye article ek guide ka kaam karne wala hai.

Jisme aap kayi sare important topics sikh payenge jaise ki, Apna ek best Niche/Topic kaise chune, wordpress blog kaise banaye, bahut sare visitors ko apne blog par kis tarah se laye, aur apne blog ko kam samay mein monetize kaise karen?

Aur ek baat ye article baki logon ke blog articles se bhi bahut alag hai, jinhe aap google par ‘blog shuru karne ke methods/blog kaise banaye/blog kaise shuru kare’ iss tarah kayi sawalon ke liye jawab khojate rahte hain.

Ab hum apne main topic “blogging kaise shuru kare / wordpress blog kaise banaye” ye dekhne se pahale, yaha main kuch questions ko shamil karna chahta hoon jinse log blogging shuruvat karte hain.

Aap blog kyun shuru kar rahe hain?

Iss sawal ka jawab dene se aapko apne blog ke liye ek fix goal set karne mein madad milegi.

kya aap apne messeges ya ideas ko lekar logon se communicate karna chahate hain?

kya aap kisi special topic ke upar apni ek community create karna chahte hain?

kya aap apne followers ko apne brand se jude latest news par updated rakhna chahte hain?

kya aap aapka koi bhi product ya service kaise kaam karte hai aur logon ko isse kyun buy karna chahiye ye batana chahte hai?

Ek blog hee aisa place hota hai jo logo ko inform karta hai, educate karta hai, aur yaha tak ki kuch bhi sale karne mein madad bhi kar sakta hai, lekin ye sab keval tabhi ho sakta hai, jab aap khud starting se apne blog ke goals ya intensions maloom ho.

Isliye, aapne blog ke goals ka pata lagane ke liye kuch samay de. Aapke iss blog se logon ki madad honi chahiye na ye aapka sabse bada goal hona chahiye.

Aamtaur par log blog kyun banate hai, iske kuch examples bataye gaye hain:

  • Self-employed hone ke liye ya adhik paisa kamane ke liye, ya khud ka ek chota sa business banana ke liye.
  • Kisi bhi topic par expert banke aur uske sahayta se bade numbers me audience build karne ke liye.
  • Dusre logon ke sath network banane ke liye aur ek company build karne ke liye.
  • Apne writing aur thinking skills ko aur jyada badhane ke liye.

Yaha par ek fact ye hai ki, kya aap jante hain 61% online customers kisi na kisi blogs ke recommendations ke baad hee buy karte hain?

Ab sabse bada sawal jo har ek ke dimag me aata hai blog shuru karne se pehle,

Kya blogging 2023 mein abhi chal sakta hai aur usse paise banaye ja sakte hai?

Simply batau to YES, blogging 2023 aur uske baad bhi chalne wala hai aur usme paise kamaye ja sakte hai.

Har saal technologies mein badlav aate rahte hain. Business aur jyada vikasit hote rahte hain. lekin mera manana hai ki aaj ki tarikh me ek blog shuru karna abhi bhi utana hee yogya hai jitna ki 10 saal pahale tha.

Blog aapke ideas, products, brand, business aur content ko duniya mein pesh karane ka ek shandar tarika hai.

Main ye nahi keh raha ki blogging aasan hai. ek successful blogger hone ke liye aapko hard work to karna padega, aur apne blog par utna dhyan dena chahiye. vishesh roop se starting mein aapko bahut mehnat karni hogi.

Ek baar aapka ek naam ban jaye, acche se paise kamane lago, tab aap kuch logon apne blog pe rakh sakte hai. fir bahut sara kaam automatically hota jayega.

Sabse important baat, aap kisi bhi topic par blog banao par uske bare me aapko logo ke samne best aur sahi sahi jankari deni hogi jo unke problems solve kar sake, logo ko kuch na kuch naya sikhne ko mile.

Aapke blog ke comment section mein logon se baatchit karni hogi, social media sites par apne blog ko promote karna hoga – aur phir ye sab process aapko karte hee rehna hai.

Kya aap inn sab baton ko sahi se karne ke liye, din-raat, har samay khud ko motivate kar payenge?

Blogging ek public work hai, jo aapko spotlight mein rakhega. aap jitne successful honge, utna jyada attention logon se aapko milta rahega.

Table of Contents

WordPress Blog kaise banaye: 11+ steps

1. Blog ka Niche Choose karna.

Blog start karne ka sabse pehla kadam BlueHost jaise best web hosting ke sath shuru karna hai. Iss link ka upyog karke 53% discount lekar $3.95/month(53% discount) apna blog start kare.

Kya Bluehost best web hosting hai? iss par mera ye wala review dekh sakte hai.

Hum sabhi jante hain ki aapke blog ko ek Niche/Topic ki jarurat hai – fir chahe wo Marketing, Finance, Lifestyle, Health, ya fir Food blog ho, chahe kuch bhi blog niche ho.

Jyadatar professional bloggers aapko kisi aise topic par blog shuru karne ke liye kahenge jiske bare mein aap passionate hai ya uss topic mein aapko interest aata hai, kyunki ye topics aapko “likhne me interest lagta rahega aur motivate karta rahega.”

Ussi ke sath wo aapko aapka passion, aapke skills aur aapko experience ho aisi kisi topic par ek Niche chunane ke liye bhi kahenge.

Halanki, wo kuch had tak sahi bhi hai, par ye sab bate aapko ek important factor se dur le jayegi, kya aap aise Niche ya topics me paise kama sakte hai?

Main khud ek baat par believe karta hu ki, agar koi Niche aapko paise kamake de raha hai aur usme aapki ruchi bhi na ho na, tab bhi wo aap wahi karte rahoge aur kuch samay baad to aapko wo bhi pasand aayega hee kyunki apko usme se hee to paise milte hai.

Main kuch samay ke liye apne passion, skills aur experience ke bare mein blog bana sakta hu, lekin agar mujhe waha pe koi readers nahi mil raha ya kuch bhi paisa nahi mil rahe, to main 100% kuch samay baad uss blog ko band kar dunga.

Aur yahi asli wajah hai ki adhikansh blog fail ho jate hain.

Isliye hum yaha pe unn sari purani baton mein badlav karne ja rahe hain aur yaha aaj aap sikhne wale hai ki kaise pehle din se hee apne blog ko ek business ki tarah start kiya jaye.

Aisa karne ke liye, hume ek sahi Niche chunana hoga, hai na?

Pehle to nahi.

Jab aap ek start kar rahe hain, to perfect Niche chunane ke chances bahut kam rahte hain.

Yaha pe aap aapke Blog ka naam aapke khud ke naam pe bhi chun sakte hai aur uske kuch fayde bhi hote hai:

  • Aap naye ideas ko test kar sakte hain aur samay ke sath apne Niche ko chun sakte hain.
  • Aap ek aise platform par aapke real influence ka nirman karte hain jo aapke paas hai.
  • Aapka blog ek Digital Resume ke tarah se kaam karta hai, jo ek professional experience ko tayyar karta hai.

To ab aapke blog ka ek naam chune aur aage badhe.

Jab aap ek naya blog shuru kar rahe hain, to sabse aam sawal ye hai ki, “mere blog ka topic/Niche kya hona chahiye?”

Yaha pe iss sawal ka ek aasan sa jawab hai, ek aisa topic find karna jise aap samjte hain aur uss topic se apne audience ke bahut sare problems solve ho jate hain.

Halanki, aapko na keval problem solve karna hai. Ussi ke sath aapko logon ke kisi aise problem ko target karna hai, jiske liye we log paise kharch karne ke liye bhi taiyar hai.

Ek blogger ke roop mein, aapko apne audience ke problems ko deeply samjhna hai taki aap unhe vahi solution de sake jo unhe chahiye hota hai.

Aur isko shuru karne ke liye sabse best example aap khud hai.

Apne aap se ek sawal kare ki, “main kis type ke audience ka hissa hoon?”

Yadi aap khud unn sawalo ka samna karte hain, to aap ek specific group ke logon ke sawalon ko, problems ko aur acche se samajh sakte hai.

Main bhi pehle ek 9-5 wala job hee karta tha, jo bahut sare log karte hai. Usme mera bahut sara samay ja raha tha, mujhe na family ke liye time milta tha, na hee doston ke liye.

Isliye maine apne blog ko hee paise kamane ke roop mein dekhna chalu kar diya, uski wajah se mere 9-5 ka samay bach jata hai aur ab mere pass sabhi ke liye samay rahta hai, jiske karan sab kuch achha chal raha hai.

Isliye mere target audience to mere jaise hee the:

  • 25-45 saal umar ke.
  • 9-5 kaam kar rahe hain, lekin iss chuhe ki daud se bachna chahte hain.
  • Smart aur technical knowledge ki samajh rakhne wale.
  • Jo log ek blog ke madhyam se achhe paise kamana chahate hain.

Blog start karte samay Apne audience ko samjhna sabse pahla aur important kadam hota hai.

Dusra step(aur utna hee important) ye samjhna hai ki aapke audience apne problems ko hal karane ke liye kitna kharch karne ko taiyaar hain.

Mere liye, aapke blog ke Niche/topic ko chunte samay “Keyword Research” sabse important step hai.

Ye bahut simple hai, kya log unn baton ko khoj rahe hain, jinke bare mein aap likhna chahte hain?

Har ek blog post me ek Target Keyword par dhyan kendrit karne ki jarurat hoti hai. Aur yadi koi isse nahi khoj raha hai, to aapko aapke blog mein kabhi bhi traffic nahi milega.

Yaha ek fact ye hai ki, aapko Keyword research ke bare me thoda bohot jankari honi chahiye aur ussi ke sath ‘Search Engine Optimization(SEO)’ ke bare me buniyadi samajh honi chahiye, taki aapka blog rank kar sake aur accha sa traffic prapt kar sake.

Agar apko sikhna hai ki, apne blog ka SEO kaise kare to mera ye article jaroor dekhe.

Ab yaha pe aap sochoge ki kyun SEO ki jankari honi chahiye?

Ek servey me bataya gaya hai ki, log din ke 06:30Hrs online rahte hain.

Log har ek second me 63,000 bar google search karte hain. 4 millions searches per minute, 228 million searches per 1 Hour, aur 5.6 billion searches per day karte rahte hai.

Iske alava, agar aapke blog pe log search engine (jaise google, yahoo, bing) se aate hai, to wo padhne walo ka traffic social media ke traffic se jyada valueable hota hai.

Logon ko kuch bhi sawal aata hai ya koi problem aata hai to log google me jake hee dekhte hai, aur agar unke sawal ka jawab aapke blog me hai, aur aapka blog google me top rankings mein ho, to log waha se aapke blog pe aate hai. Aur ye kisi bhi blogger ke liye bahut achha hota hai.

Aisa baar baar hone se Google ko aapke blog pe trust ban jata hai, aur fir google automatically aapke blog ko top rankings mein rakhta hai.

Aajkal SEO samjhna utna bhi kathin nahi raha. Abhi to bahut sare SEO Tools aate hai, jaise ki SEMRush  aur Ahrefs. Aur jinki madad se aap har ek keyword ke bare mein sab kuch maloom kar sakte hain, jisme shamil hain:

  • Specific keyword mahine me kitne baar search kiya jata hai / Monthly Search Volume.
  • Keyword Difficulty: 0 se 100 ke paimane par jankari milti hai, agar 0 hai to uss keyword pe rank karna aasan hai aur agar 100 hai to bahut mushkil.
  • CPC: yadi aap Kisi bhi keyword pe koi ads chalate hai to aapko ek anuman milta hai ki kitne paise lagte hai har ek click pe. Jitna CPC jyada hoga uss keyword ki value bhi jyada hoti hai.

Aapko shuru me jyada khojne wale(high volume) par kam difficulty(low competition) wale keywords pe apne blog posts banane chahiye.

Maine yaha pe keywords ke metrics ko rate kiya hai.

Monthly Search Volume:

  • 0-1000: Low
  • 1000-5000: Low/Medium
  • 5000-20000: Medium
  • 20000-100000: High
  • 100000+: Very High

Keyword Difficulty:

  • 0-20: Low
  • 21-50: Medium
  • 51-75: High
  • 76+: Very High

Aapko shuru me low competition wale keywords pe posts banane hai. Usi ke sath 2-3 posts jinko pillar posts bola jata hai, aise ho jinke keywords bahut kathin ho rank karne ke liye, par aise posts aapko thoda bahut traffic dege, waha se aap unhe aapke dusre posts pe bhej sakte hai.

Keywords ke bare me jankari ke liye yaha pe maine kuch tools bataye hai jinke madad se aap har ek keywords ki puri jankari le aur post banaye.

Ab dekhte hai ki aapke blog ka Niche chunane me jo sabse badhiya madad karega wo hai ‘Affiliate Marketing‘.

Kyunki aap blog paise kamane ke liye shuru karte hai to ye bhi dekhna hoga ki, aapke niche me affiliate marketing kar sakte hai ya nahi?

Blog se paise kamane ke liye Affiliate Marketing mera sabse favorite method hai. Affiliate Marketing ek aisi process hai jisme, ek baar jab aap traifik prapt karna shuru karte hain, to aap sote samay bhi paise kama sakte hain.

Ab yaha pe aise bhi log honge jinhe affiliate marketing ke bare me kuch bhi maloom na ho, to unn logon ko ek aasan bhasha me batata hu affiliate marketing hota kya hai.

Yaha dekh sakte hai, Affiliate Marketing kaise kiya jata hai?

To ye affiliate marketing matlab aap kisi aur ke products/softwares/services ko aise logon ke samne rakhte ho, aapke blog posts ke jariye se jinko uski jarurat hoti hai, aap waha uss product ke bare me sabkuch likhte hai, uske fayde-nuksan.

Aur agar logon ko aapki jankari pasand aa gayi, to wo uss product ko kharidte hai, fir company jiska wo product hota hai, wo aapko uske badle mein ek commission deti hai. Bas yahi hota hai affiliate marketing.

Adhikansh badi companies ke paas affiliate marketing system hota hai, jinme aap shamil ho sakte hain.

Uske liye aapko unn company me apply karna hota hai, uske baad ek baar jab aap uss company dwara chune jate hain, to aap apne blog mein add karne ke liye ek affiliate link prapt karte ho, matlab aisi link jispar log click karke uss company ke site pe jate hai aur buy karte hai, uske baad aapko commission milta hai.

Affiliate Marketing mein start karne ke liye yaha kuchh steps diye gaye hain:

  • Aapko kisi bhi company ka affiliate program unke hi website pe mil jata hai, agar waha nahi ho, to fir wo company kisi affiliate network ko ye kaam deti hai, to aap uss network me jake bhi apply kar sakte hai. Uske liye aapke paas aapki website/blog hona chahiye, ussi ke sath aisa email address jisme aapke blog ka naam ho. Jaise ki mera email address hai: contact@digitalniks.com
  • Ek baar uss company ya network ne aapka Affiliate application accept kiya to uske baad, to waha aapko ek affiliate link milti hai jise apne blog mein kisi bhi post mein add karni hoti hai.

Jab uss post ko padhne wala uss link par click karta hai, to unke computer/laptop mein ek cookie add ho jati hai, jiska duration hota hai 30, 60 ya 90 din. Matlab usne utne dinon me kuch bhi kharida uss company se to aapko uska commison milta hai.

Iske liye ek simple format ko samaj le.

  • Aapko blogging se bahut sara paisa kamana hai to, aapko iss affiliate marketing se aane wale paison ki jarurat hai.
  • Aur Affiliate marketing se paise banane ke liye, aapko khud ke blog ko google me upar ke rankings me rakhna hoga, fir to bahut sare log aapke blog pe aane lagte hai, jitne jyada log honge, aap paise bhi utna jyada kama sakte hai.
  • Aur uss bade paimane me logon ko aapke blog par lane ke liye, aapko aise keywords pe rank karna hoga jinme jyada paisa kamaya jata hai.

To aise konse keywords hote hai jinme jyada paisa kamaya ja sakta hai?

Iska ek saral jawab hai, aisa koi bhi keyword jisme “Best” aata ho.

Iske bare me yaha kuch examples diye hain:

  • Agar aap Finance mein blog banana chahte ho to, Isme ye dekha jata hai ki, Best Auto loans konse hai, Best Home loans konse hai, aur aise hee baki terms bhi hote hai.
  • Technology mein dekha jata hai ki, Best camera konsa hai, Best smart watches konse hai, ya aur bhi koi Best Gadgets.
  • Marketing mein (mere blog ki tarah), yaha Best Webinar Software konsa hai, Best email services konse hai, ya fir ye bhi dekha jata hai ki Best SEO Tools konse hai.
  • Travel Blog mein, Best travel insurance, ya best travel destination konse hai.

Aur ye jo “Best” keywords logon dvara dekhe jate hai, to uska matlab we log reviews ki talash mein rahte hain ya usse buy karna chahte hai.

Aajkal hume kuch bhi lena ho, to hum google me jake usme Best kya hai yahi dekhte hai aur baad me kharidte hai. Waise hee log kisi bhi product ka Best review dekhte rahte hai kuch bhi lene se pehle.

Aajkal kuch bhi lena ho to pehle uski jankari leli jati hai, aur wo puri jankari hume kisi blog se hee milti hai.

Iske bare mein socho, aur usko apne me Blog me istemal kare.

Yadi aap ek naya Camera khoj rahe hain, to aap “2023 ka Best Camera konsa hai” type karke dekh sakte hain.

Aap abhi Google me jake ye dekho aur top ke 10 results ko dekhe.

To aap dekhenge ki upar ke jo 10 websites hote hai, we sabhi affiliate karne wale hee hote hai. Jo company asal me Camera bechte hai, unn company ke website waha pe hote hee nahi, jaise ki Nikon, Sony, Canon. Waha pe sirf alag alag cameras ko affiliate karne wale website hee hote hai.

To abhi aap sochenge ki itni badi badi company ko jo khud bechte hai, unko piche karke ye baki sare websites kaise google ke upar ke list me aate hai?

To iska ek hee jawab hai, wo websites uss camera pe achhe se jankari dete hai, camera ke bare choti se choti baat batate hai apne blogs me, jo ki log google me dekh rahe hote hai.

Vastav mein, 49% kharidne wale aise hee websites ko dekhte rahte hai kuch bhi kharidne se pehle. Bloggers ka hee prabhav hota hai unn logon pe.

Aapko ye mahasoos karna shuru ho jayega ki most profitable blogs vastav mein, aise hee kisi products ke reviews karte hain.

Ek baar jab aap ye sikh lete hain ki aap blog kaise shuru karte hain, to aap har jagah aise hee affiliate websites ko dekhna shuru kar denge.

Fir aap bhi samaj sakte hai ki aajkal Finance, Technology, Business, Marketing ye sari Niches me jyada se jyada paisa kamaya ja sakta hai.

Ussi ke sath baki aur bhi Niche hai jisme paise kamaye jate hai.

Yaha tak aap samaj chuke honge ki aapka blog aise Niche me hona chahiye jo aapko affiliate marketing se paise kamake de sake, aapka blog aise Niche me ho jisme log jyada tar apne problems ko khatam karne ke liye paise bhi dene ko tayyar rahte hai.

Abtak upar diya gaya Niche Chunne ka part blog shuru karne ke bare mein baki sare blogs se adhik lamba hai kyunki Aapke blog ka starting plan hee aapke blog ko Successful banata hai ya fail karata hai.

Hum jab humara ghar banate hai, tab foundation par jyada dhyan dete hai, jyada kharcha karta hai, taki humara ghar salo sal waise ka waisa hee bana rahe.

Yaha Blog bhi ek ghar jaisa hee hai, aur aapke blog ki Niche uss ghar ka foundation. Aapka Niche accha rahega tabhi to aapka blog bhi salo sal chalta rahega aur aapko paise deta rahega.

2. Apne blog ke Goals ko likhe. 

Apne Niche ko chunane ke baad, aapko har cheej par nazar rakhane ki jarurat hai – na keval aapko kya kya likhna hai, kaise likhna hai, balki aapke goals, ideas aur motivations ko bhi nahi bhul sakte.

Ye ek aisa step hai jisme aapke liye sab kuch aasan ho jayega, aapko kaise blog me tike rahna hai ye bhi samaj jayenge.

Jab main blog ko shuru kar raha tha, to maine ek simple document mein har chiz par nazar rakhi.

Yaha pe bada sochane ki jarurat hai aur yaha likhne ka samay hai ki aap apne blog ke sath short time aur long time mein kya hasil karna chahte hain. ye smart goals hone chahiye – jaise ki koi bhi ek hee Niche me likhte rehna, kuch mix nahi karna hai.

Aapko aapke topics usme samaj honi chahiye taki aap logon ke problems par jawab de sake apne blogs me. Samay ke anusar usme badal karne honge. Har samay aapki niche ke bare me naya naya dekhte rahe aur usko apne blogs me dikhaye.

Ab main batata hu ki aapke uss document/notes me aapko kya kya likhna hai:

  • Aapke blog ka headline aur sub-headline.
  • Aap konse problem ko solve kar rahe hain?
  • Aapke blog ki ruprekha 1-2 lines mein, jiski madad se aap apne blog ko kisi bhi stranger ko bhi aasani se samjha sakte hai.
  • Aapke asal me readers kon hai, unhe kya sawal hai, kya problems hai?
  • Aapke blog ke main categories kya kya rahne wale hai.
  • Aage ke dino me aapko kya kya likhna hai, usme konse keywords ka istemal karenge, unn keywords ka search volume kitna hai.

Bas itna hee aapko aasan words me likhna hai. Jo aapko humesha madad karega, har din madad karega.

Inn sab ke baad bhi, aapko khud ko maloom hona chahiye ki aap blog kyu shuru karna chahte hai, aap kaisi life chahte hai, aapke kya sapne hai, aur kya ye sab blogging se pura ho jayega.

Maine bhi jab blog chalu kiya tha, tab mere bhi kuch goals the, mujhe bhi ek acchi life chahiye thi.

Sabse bada karan tha, mujhe bahut sara samay chahiye tha mere liye, mere parivaar ke liye. Jo mujhe ek job ki wajah se nahi mil raha tha.

Dusra karan khud ko kuchh sabit karana tha – meri khud ki ummidon par khara utarna ki mera jeevan kya ho sakta hai. Uske wajah se mai har din khud ko samjata tha ki mujhe kya chahiye iss blog se, kaise life banani hai.

Ek bada aur paise kamake de aisa blog banane ke liye, aapka ek approach hona chahiye jo 3 main topics se shuru hota hai: First Niche Selection, Second aapke blog me kya-kya likhna hain ya Content Marketing, aur Third apne blog ko kaise paise kamane ka jariya banana hain ya Blog Monetization.

Ab hum aage bhadte hai, aapka blog banane ke ek aur step ko dekhte hai.

3. Domain Name 

Jab main Blog shuru karne ja raha tha, tab maine iss step par bahut adhik samay liya tha. maine bahut dino tak GoDaddy.com me domain names dekhta raha, main ek chota sa, mere niche ko suit kare aisa, ( .com)wala domain khojane ki koshish ki.

Ye step bhi important hai, par utna bhi important nahi jitna aap soch rahe honge.

Kuch saal pehle tak, aapko aapke niche ko suit kare aise domain mil bhi sakte the, jiske madad se aap google me jyada dekhe jate. Par aaj ye bahut mushkil ho gaya hai. Aap me se bahut logo ne bhi dekha hoga ki aapko jo chahiye hota hai wo naam pehle se hee kisi ne liya hota hai.

Main to yahi salah dunga ki aap ek aisa naam dekhe, jisme aap agar chahe to aur bhi kuch likh sake aapke niche ke alawa, wo bhi thoda bahut. Agar aapke blog ke naam me technology/tech jaise kuch word hota to aapko sirf technology ke bare me hee likhna padega, baki mix karenge to aapko nuksaan bhi hota hai.

Apne blog ke liye naam chunane se pehle aapko kuchh aur baton par bhi dhyan dena hai.

  1. Domain Price 

Aapko apne blog ka naam ek Domain Registrar Company se buy karna hoga. yaha aapko lagbhag $10/year kharch karna chahiye. yadi aap Bluehost web hosting ke sath apna blog start karte hain, to aapko ek free domain milta hai. To yaha aapke $10 bhi bachte hai.

  1. kya aapko domain name mein apne naam ka upyog karna chahiye? 

Dekhiye Blog ek tarah se saas lene wala, living document hota hai. usme samay ke sath changes karne ka freedom hona chahiye.

Aise me aapke khud ke naam ka domain, jo ki personal brand ka bhi kaam karta hai, sabse accha vikalp hota hain aur aapko samay ke anusar changes karne ka freedom bhi milta hain.

Yadi aapka ek niche aapke liye kaam nahi karta hai, to aap apne content ko change kar sakte hain aur apne blog ke liye kya kaam karta hain, ye samjhne ke baad fir se changes karke naya content bana sakte hain.

Iske bare mein ek baar jarur socho.

  1. Domain Extensions 

Domain alag-alag extensions ke sath aate hain jaise ki,  .com, .us, .guru, .sport, .in aur baki bhi bahot sare hote hai.

.us ka matlab hai United states (America), .guru ka upyog coaching blog ke liye kiya jata hai, aur .sport ka upyog sports blog ke liye kiya jata hai.

Halanki, .com wala domain jo sabse bada aur accha samjta jata hai, uske kuch karan bhi hai jaise ki, kyunki aise domains ko search engine me jyada upar rakha jata hai.

Domain name chunte samay kuch baki baton par bhi dhyan dena chahiye jaise:

  1. Aapka Domain name type karne ke liye bahut kathin aur jatil nahi hona chahiye. ye aapke brand ke sath juda hona chahiye. Isaliye .com extension ek achha vikalp hai.
  2. Domain name likhne ke liye bahut mushkil bhi na ho, aur bolne ke liye bhi aasan rakhe.
  3. Apne Domain mein kuch bhi number ya koi symbols ( – , _ ) ka upyog karne se bache kyunki ye logon ko bhramit kar sakta hai.
  4. Yadi sambhav ho to ek aise keyword ko shamil karne ka prayas karen jo aapke blog ko sabse acche se logon ke samne rakhta ho. ye logon ko aapke blog ke sahi position ki pehchan karane mein madad kar sakta hai.

4. Best Web Hosting Chune aur Domain register karna. 

Har ek website ko ek server par apni site ko store karne ke liye ek Web hosting ki jaroorat hoti hee hai, taki log uss site ko online dekh sake, uska istemal kar sake. ek web hosting ke bina, aapka blog internet par dikhayi nahi dega.

Aapke blog ka performance aapke hosting par bahut adhik nirbhar karta hai, Isliye aapko ek Best Web Hosting ka chayan karna chahiye.

Ek Best Web hosting platform aapki site ko bina kisi rukavat ke chalata hai aur protection bhi pradan karta hai, aur wordpress ke sath bina kisi problem ke sath aapka blog banata hai.

Aapko ek aisa hosting chunana chahiye jo reliable ho aur ek thode kam paise mein bhi milta ho.

Yaha par, aapka sabse accha option ek simple aur best hosting hona chahiye. Main sabhi logon ko Bluehost (53% discount) ko sabse simple aur best web hosting ke roop mein recommend karta hoon jab bhi koi blog shuru karna chahta hai tab.

Humare kayi blog sites bhi Bluehost par hai. Aur hume uska bahut fayda bhi hota hai, Iski wajah se main aapko Bluehost ke sath jane keliye kahta hu.

Sath hee, Isme kayi best features hain:

  1. 99% server uptime
  2. High Security
  3. High-speed server
  4. Easy-to-use dashboard
  5. Hosting ke bahut sare plans
  6. 24/7 customer support
  7. Free SSL Certificate
  8. EAsy cPanel dashboard
  9. 1-click wordpress install ho jata hai.
  10. WordPress ka sabse favorite hosting
  11. Low Pricing
  12. Money-back guarantee
  13. $3.95/month(mere link ke madhyam se 53% discount)

Aage ham aapke domain ko register karenge aur aapke blog ko shuru karne ke liye ek web hosting chunenge.

Apne web hosting plan ke sath-sath apne domain name ko register karane ke liye ab mai jo step by step karne ko bol raha hu uska palan karen:

Step 1: Bluehost ke Homepage pe jaye.    

Bluehost.com ki website pe jaye, uske baad ek Green color ka button hoga “Get started Now” karke uspar click Karen.

Bluehost homepage
visit bluehost

Step 2: Aapka Hosting plan chune.  

Yaha pe apko aapka ek plan lena hoga. apka ye pehla hee blog ho to aap Basic plan ke sath ja sakte hai, baad me ek baar aapka blog grow karne lagta hai tab aap aapka plan badal sakte ho, aage ke plans me ja sakte hai uske fayde bhi hote hai.

Aapke budget ke hisab se plan le. Sabhi plans me kya-kya milta hai ye bhi dekh lena hai.

hosting plan
hosting plan

Step 3: Aapke Domain name ko set Kare  

Aapka domain name hi aapke blog ka sahi address hone wala hai, to ek accha sa naam chunle. Jo bhi naam pasand aata hai, use “New Domain” ke box me dalke dekho. To aapko wahi pe pata chal jayega ki aapka wo domain aapko mil sakta hai ya nahi agar kisi aur ne pehle hee liya ho to.

Agar aap ko abhi ek accha naam nahi mil raha, to jyada pareshan na ho, aap yaha pe niche ek line hai “I’ll create my domain later” waha pe bhi click kar sakte hai.

domain ka naam set karen
set up domain name

Agar aapne pehle se hee kahi aur se domain kharida ho, to aap uska bhi yaha pe istemal kar sakte hai. Yaha pe jo “use a domain you own” ka box hai usme aapka domain name type karen aur next Karen.

Step 4: Bluehost me register Karen     

Aapka domain name chunane ke baad aap bluhost ke registration page pe aa jaoge. Yaha pe ab aapko khud ki information add karni hogi, ya fir aap aapke google account se bhi Sign in kar sakte hai wo jyada aasan hota hai.

Yaha pe apki khud ki information add Karen  
account information
account information

Isme aapko apki puri jankaari add karni hogi. 

Apka Hosting ka Package chunen    

Yaha pe aapko apna ek plan lena hoga. Bluehost apko 12, 24 and 36 mpmths ke package deta hai. Inme se aap koi bhi ek le sakte hai.

hosting plan information
package information

Isme aapko 12 mahine ke pack ke liye kam paise jate hai, par agar aap lambe samay ke liye blogging ko dekhte hai to apko 24 ya 36 months ke sath jana chahiye, usme apke paise bhi bachte hai.

Package Extra ko chune     

Yaha pe aap dekhenge ki aapke pack ke sath bahut sare extra diye gaye hai. Agar wo sare chune gaye honge to aapki kimmat jyada dikhayi degi. To aap unn sabko bahar nikal sakte hai, uss chote box ki tick hatakar, agar usko chuna gaya ho to.

package extra
package extras

Baad me aapko jiski bhi jarurat hogi tab aap le sakte hai. Par shuru me aapko inn sab ki jarurat nahi. par yaha pe ek kaam ki baat hai “Domain Privacy + Protection” jiski wajah se apki personal contact information protect kar sakte hai.

Payment Information    

Ab hum last me isko kharidne ke liye hume kuch information add karni hogi jaise apne debit/credit card ke number, jaise aap kuch online kharidte hai uss samay jaise karte ho waise hi yah ape bhi karna hai.

payment information
payment information

Sab kuch sahi se add karne ke baad, aakhri ke chote box ko tick kare aur Submit Karen.

Yaha pe apka ek Hosting ho gaya. Iske baad Bluehost ki taraf se kuch emails aayenge, usme aapka email address ko verify bhi karna hoga aapke domain name ko chalu karne ke liye.

Ab last ek step rehti hai jisme aapko apna account banana hai.

Step 5: Apna account banaye   

Chalo ab Bluehost me apna account banaye.

account in bluehost
create your account

Step 1: Create Your account pe click Karen

Step 2: Apna ek password dale aur apka account ban jayega.

Step 3: Apka account ban gaya hai. “Go to login” pe click Karen , usme apka email Id or domain name aur apka password daal de.

Yaha pe apka hosting aur domain name bhi ban gaye. Ab sirf kuch hi steps me apka ek blog ban jayega. To aage ke steps pe dhyan deke kaam kare.

5. WordPress Blog banaye

Apne blog ke liye web hosting chunane ke baad, aap ka agala kadam hai wordpress ko aapke blogging platform ke roop mein chunana hai.

Aapka blog platform, jise (CMS: Content Management System) ke roop mein bhi jana jata hai, jaha aap apne blog posts ko likhte hai, usme badlav karte hai aur publish karenge.

Yaha aapke liye Paid aur Free Best blogging platform bhi uplabdh  hote hain.

Adhikansh log wordpress par apne blog chalate hain. WordPress aapke blog ki performance ko badhane ke liye bahut sare free plugins, themes bhi pradan karta hai.

Aur aapko wordepress me blog banane ke liye, kisi bhi coding ka knowledge bhi nahi chahiye.

Adhikansh web hostings ke sath, aap bas 1-click me wordpress install kar sakte hain, aur aap apne wordpress dashboard par le jate hain.

Halanki, start karne se pahle, aapko WordPress ke .com aur .org versions ke beech ka antar pata hona chahiye.

Yadi aapka lakshy apne blog ke madhyam se paisa kamaaa hai, to self hosted “wordpress.org” ka chayan karna chahiye.

Ek blog aapke brand ka ek vistar hai aur wo kuchh aisa hona chahiye jise aap bina kisi problems apanaye. aapko apne blog ko host karane ke liye Tumblr jaise blog site par nirbhar nahi hona chahiye.

Wahi dusri aur “wordpress.com” mein kam hi vikalp hote hain aur aap usme jyada settings ko bhi change nahi kar sakte. Aur waha pe aapko fir aapke domain ko bhi istemal karna nahi aayega. Aapne agar aapka blog wordpress.com me banaya to aapka blog address “yoursite.wordpress.com” kuch aisa ho jayega, jo ki aapko jyada faydemand nahi hoga. yadi aap apna alag sa domain naam ka upyog karna chahte hain, to aapko alag se bhugtan karna hoga.

Wahi “wordpress.org” aapko alag alag platform se tools aur themes download karke unka istemal karne ka freedom bhi deta hai aur aap aapke blog ke design ko bhi puri tarah se badal sakte hai.

Bluehost ke sath, aap wordpress ko install kar sakte hain aur kuchh hee minutes mein apna blog chala sakte hain.

To chaliye ab dekhte hai ki ye sab kaise karna hai.

Bluehost me account banane ke baad, sirf 4 steps me aapka blog tayyar ho jata hai. yaha mera sujhav hai ki yadi aap first time blog bana rahe hain to aap maine jo steps bataye uske sath chalte rahe.

Ya fir aap “skip this step” par click karen aur bluehost hosting ke andar apne aap bhi ek blog bana sakate hain.

To chaliye ab wo 4 steps dekhte jiski madad se aap apna blog tayyar karenge:

  • Step 1: Yaha pe aap inn 3 questions ke javab dekar prakriya shuru karenge:

1) Aapki kis tarah ki site hai? To isme me aapko “Blog” ko chunna hai,

2) Aapki site kis prakar ki hai? To isme aapko “Personal” chunna hai.

3) Aur ye site kiske liye hai? To yaha pe aapko jawab dena hai “myself” agar aapke khud ke liye bana rahe ho to.

wordpress acc step1
wordpress account step 1

Aap unheen vikalpon ka chayan kar sakte hain ya jo aapke personal mamale mein jo options sahi baithate hai usse chun sakte hain.

  • Step 2: Iss Step ke sath, aap apne site par aur kya jodna chahenge. bluehost aapko chunane ke liye kuchh vikalp deta hai.
wordpress acc step2
wordpress account step 2
  • Step 3: Iss step mein, aapko kuchh savalon ke javab dene honge hai jaise ki aapke blog ka naam, aapke blog ki tagline aur website banane mein aap kitne sahaj hain. yaha dhyan de ki, aap iss sabko baad mein badal bhi sakte hain.

    wordpress acc step3
    wordpress acc step 3
  •  Step 4: Yaha pe bluehost aapko kuch themes deta hai, unko dekhe ki kya aap unme se kisi ko pasand karte hain (yadi yaha par aapki pasand ki theme nahihain, to iss step ko skip kar de). aap apne blog ke themes hamesha badal sakte hain aur baad mein ek alag upyog kar sakte hain.
wordpress acc step4
wordpress acc step 4

Ek baar jab aap in 4 steps ko complete kar lete hain, to aapko apne bluehost account par le jaya jayega. Issi ke sath wordpress install kiya gaya hai aur aapke blog ka structure ban gaya hai.

Apne Blog ko Launch Karen       

Apne bluehost account ke andar, aapko bluehost ki sugggestion ke aadhar par apne blog ke bhitar kuch badlav karne ke vikalp dikhayi denge.

launch my site
launch my site

Jaise hee aap “Launch My Site” button par click karenge, aapka blog live/chalu ho jayega.

Uske baad yadi aap apne blog ko online dekhte hain to nirash na ho yadi ye bilkul sahi nahi dikhta hoga to. ye aapke blog ka sirf first face hoga.

WordPress dashboard ke andar, aapko kuch changes ko apply karna hoga aur kuch content ko jodna hoga taki vah ek achha aur purn rup me dikh sake. Ye sab main aapko baad mein dikhaunga!

Aage, jaisa ki maine vada kiya hai, main aapko dikhaunga ki kaise aap ke liye ek best theme khoj sakte hain, aur apne blog me kaise badlav karen.

6. Apne blog ka theme chune

Ab jab aapke paas ek wordpress account hai, to aapko apna wordpress theme chunane ki jaroorat hai.

Abhi, aapka blog kuchh is tarah dikhayi de sakta hai:

wordpress theme
default theme

Ye ek wordpress ki default theme hai, aur isme bayi aur aapko jo kuch bhi badlav karne ho uska ek menu diya hai jo aapko apne theme me badlav karne mein madad karta hai.

Yaha ek theme editor hai, jisme aap nichhe diye gaye chizon me badlav kar sakte hai :

  • Site identity – aapke blog/website ka naam, logo aur baki nevigation ke bare me.
  • Colors – Yaha pe aap fonts, buttons, blocks ke liye alag alag colors ka chayan kar sakte hain.
  • Menu – yaha ap apne menu nevigation me badlaav kar sakate hain.

Ek baat Dhyan mein rakhe ki blog design ke kuch principles hote hain.

Jaise ki, aapke letters ka font 13 aur 16 ke beech hona chahiye, aur padhne aasan hona chahiye. aapke paas menu nevigation bhi hona chahiye jo mobile aur computer par accha lagta hai.

Aur ek baat samaj le ki, start mein aapko paise kharch karke koi bhi Paid theme lene ki jaroorat nahi hai, agar koi free theme bhi utni acchi hogi to.

Theme aisi ho jiski design acchi ho, jaldi se kaam kar sake, jaldi se pages/post ko load kar sake, aur aapke readers ko sab jankari acche se mile, bas yahi baat important hai, fir wo theme paid ho ya free, kuch farak nahi padta.

Apne blog ke liye ek naya theme install kare    

Pehle to aap aapke wordpress account me login Karen. Ek baar login karne ke baad wordpress ke dashboard me jaye, jo ki kuch aisa dikhta hai.

wordpress theme step 1
wordpress dashboard

Yaha pe side bar menu me “Appearance” pe click karna hai

Aage aapko “Themes” ko chunna hai jo “Appearance” par click karne ke baad aata hai.

wordpress theme change 2
theme change step 2

Yaha themes pe click karne ke baad hume ek nayi window dikhayi deti jisme hume wordpress konse themes deta hai wo dekhne ko milta hai.

wordpress theme change 3
theme change step 3

Ab yaha pe upar ki aur “Add new” pe click karke aap external theme bhi yaha add kar sakte hai.

wordpress theme change 4
theme change step 4

Isme aap dekh sakte hai ki, hume yaha pe bahut sari free themes milti hai. Aap har ek theme me jakar uska “Preview” bhi dekh sakte hai. Aur jo aapko pasand aaye uss theme ko istemal Karen.

Aap yaha tak aaye hai to apne abtak bahut progress ki hai.

Hum iss “Wordpress Blog kaise banaye” guide mein aadhe raste par hain aur aage ke 2-3 steps me aapko ye pata chal jayega ki aapko apne blog posts kaise likhna hai, aapke blog posts ko kaise dusre logon ke samne rakhna hai, taki aapko blogging me jaldi se saflta mile. To akhir tak bane rahe.

7. Apne blog me wordpress plugins ko install kare 

WordPress ek aisi jagah hai jisme aap apne blog me bahut kuch badlav badi aasani se kar sakte hai. aur ye sab wordpress plugins ke sath bahut easy hota hai.

WordPress hume alag alag types, categories ke hajaro plugins pradan karta hai, jisme email marketing ya calendar integration ho. aur sath hee me SEO Tool tak sab kuch shamil hai. Inn plugins ke sath blog ko kaise shuru kiya jaye ye sikhna kafi aasan ho jata hai, isme aapko coding ka knowledge bhi nahi chahiye.

Halanki, aapke blog par bahut sare plugins ko install bhi nahi karna hai, kyunki ve sare aapki site ko slow kar dete hain. Jo ki aapke blog ranking ke liye ek buri baat hai.

Aapko apne blog mein kaunse plugins ko jodana chahiye?

Maine aapke naye blog ke liye (aur mere dvara upayog kiye jane vale) 10 Best Plugins ki ek list taiyar ki hai:

 Classic Editor 

Yadi aapko naye Gutenberg editor ke sath problem aa rahe hain, to aap classic editor par vapas ja sakte hain.

 Easy Table of Contents 

Ye plugin aapko kisi bhi page ya post mein aasani se ek table of content jodne mein madad karta hai. aap isme ye chun sakte hain ki har h2, h3, ya koi baki ke headers automatically iss table mein jod diya jaye.

  Elementor Pro 

Elimentor pro sabse accha wordpress landing page builder hai, aur maine mera home page aur kuch baki ke pages banane ke liye bhi iska upyog kiya hai. Unke paas Elementor ka ek free version bhi hai, lekin pro version next level tak le jata hai jisme bahut behtar tempalets milte hain.

Yadi aapko ek best n attractive looking blog banana hai to aap $49/year ke liye elementor pro ke sath shuru kar sakte hain.

 GDPR Cookie Consent 

Yah ek plugin hai jo aapke blog ko GDPR ke anuroop bana sakta hai.

 Mammoth .docx Converter 

Main iss plugin ka upyog mere documents ko wordpress post mein automatically convert karne liye karta hoon.

 OptinMonster 

Optinmonster sabse accha Email opt-in plugin hai.

Iski madad se aap email capture wale pop-ups bana sakte hai. Readers aapke blog se bahar jate samay unke samne achanak wo pop-up aa jata hai, agar wo chahe to usme wo unka email-id add karte hai, aur wo email id aapke paas aata hai, fir aap ussi ka istemal karke fir uss reader ko mail kar sakte hai, aur apne naye posts ke bare me ya aur kisi bare me.

 ShortPixel Image Optimizer 

Shortpixel aapke blog ke sabhi images ko small size ke bana deta hai aur uski wajah se fir apke pages bhi jaldi se load hote hai. Mai isko bahut samay se istemal kar raha hu to mujhe to ye best lagta hai. Aur iski madad se hamari website bhi fast ho jati hai.

 Thirsty Affiliates 

Yah mera favorite affiliate markting ke tools mein se ek hai. Ye aapke normal affiliate links(jisme kuch bhi numbers hote hai, kuch bhi alag tarah ke letters hote hai) ko leta hai aur unhe clean karta hai taki aapki affiliate link aur  acchi dikhe.

 WP Rocket 

WP Rocket ek all-in-one site speed ko badhane wala plugin hai. Jiski madad se aap apni site ki speed bahut acche se badha sakte hai. Aur site speed bahut important hoti hai apne post ko rank karane keliye, ye baat aap aage ke steps me dekhoge hee.

Maine bahut sare speed badhane wale tools istemal karke dekhe hai, uske baad meri raay mein wp rocket sabse accha hai.

Aap $49/year ke liye wp rocket se shuruvat kar sakte hain.

  Yoast SEO

Yoast SEO ko kisi bhi parichay ki jaroorat nahi hai. yadi aap iska upyog nahi kar rahe hain, to aap bahut sare shandar features se bekhabar hain. main apne blog ka sitemap, robots.txt, pages ke titles/description karne ke liye yoast ka upyog karta hoon.

Ab hum aise topic pe chalte hai, jiske upar hee apke blog ki puri success depend rahti hai.

Aapka blog acche se chalega ya nahi ye bhi ye topic hee decide karta hai. aur wo Topic hai SEO.

To chaliye ab hum SEO ke bare me jankari dekhte hai.

8. Apne blog ka SEO kare 

Search Engine Optimization(SEO) ek aisi process hai, jiski wajah se kisi bhi website ke posts par bade numbers mein traffic milta hai wo bhi search engines se(jaise google, yahoo, bing).

Ek survey se pata chala hai ki, kisi bhi top website ke pure traffic ka 53% traffic serach engine se kisi keywords ko search karke aate hai.

To isse pata chalta hai ki aapko bhi apne blog posts me aise keywords ka istemal karna hai, jo log search karte hai. Aur Iske liye aapko apne pure blog ko optimize karna hoga.

SEO karne ke bahut alag alag techniques hote hai. Ek blogger ke roop me aapko inn techniques ko samjhna pdega. Mai yaha kisi bhi advanced process ke bare me nahi bol raha hu.

Par kuch chote chote techniques hai jo aap apne blog me istemal kar sakte hai koi bhi post ya page ko publish karne se pehle. Unme se ek hai “Keyword Optimization” aur dusra hai aapke blog ke har ek post aur page me “SEO meta tags” lagana.

Keyword Optimization           

Isme aapko aapke readers ko dhyan me rakhke kaam karna hai. Yaha aise samaj lo ki aap ek post likhna chahte hai ki ‘Ghar baithe online paise kaise kamaye?’ To iske bare me likhne se pehle aapko ye dekhna padega ki log akhir iss topic ke bare me google mein kya kya search karte hai.

To ab aap yaha sochenge ki ye hum kaha se pata kare ki log kya kya search karte hai. To Iske liye maine upar kuch SEO tools bataye the, jaise ki SEMRush aur Ahrefs. Ye paid tools hai, par aapko uska result bhi utna achha milta hai.

Ya fir aap google se bhi pata kar sakte hai, Iske liye aapke topic ka aadha hissa aap google search me dalo tab google automatically ek list de deta hai waha par dekh payenge aapke topic se related log aur kya kya search karte hai.

Aur fir aap upar ke tools ke sahare ye pata kar sakte hai ki wo keywords kitne difficult hai ya nahi rank karne keliye. Fir aap inn sabko ek jagah lakar apna post tayyar kar sakte hai.

Aur apne post ke bich me wo sare keywords dalne honge aur ek accha sa post tayyar karna hoga, fir google me koi uske bare me dekh raha hoga to aapke blog pe aa jayega.

SEO Meta Tags        

Aap jab bhi koi post ya page publish kare to pehle apne post aur pages me SEO Meta tags lagana kabhi na bhule.

Ab ye seo meta tags hota kya hai?

To humne upar dekha ki kaise apne post keliye keywords search karne hai. To bas seo meta tags me unn keywords ka istemal karna hai.

Kisi bhi post ya page me uska title hota hai aur uska ek description hota hai. To bas apne main keyword ko aapko uss title me aur description me add karna hai. Jaise ki iss image me dekhe:

seo meta tags
seo meta tags

Yaha pe dekhenge ki iska main keyword hai “How to start a Blog” to isne usko title me bhi dala hai, permalink me bhi dala hai aur description me bhi dala hai.

To bas aapko bhi aise hee karna hai ki aapka main keyword inn tino jagah me add karna hai uske sath hee, post ke shuru ke 100 words me bhi 1-2 baar dalna hai. Aapka jo featured image rahega uska title bhi keyword ke sath banaye.

Aapko ek aur baat yaad rakhni hai ki, post ka title jyada lamba na ho, sirf 50-60 characters ka hi hona chahiye. Aur description bhi 50-160 character ke beech me hoga to accha rahega.

To ab hum aage ke topic pe jate hai, SEO ke bare me itna yaha pe thik hai, aap uska istemal karenge to bhi kafi hai. Par SEO ke bare me pura gyan lena ho to mera ek article hai apne blog ka SEO kaise kare ye aap padh sakte hai.

9. Apne blog ke liye Piller posts banaye 

Apne blog ki ruprekha puri karne ke baad, apne blog post likhna shuru karne ka samay aa gaya hai.

Jab aap abhi blog shuru karne ka tarika seekh hi rahe hai to aapko ek professional writer ki tarah likhne ki jaroorat hai hee nahi.

Aapko to sirf  normal sentence structure aur Grammar ko samjhna hai. Aap baki sare blogs ko dekhke bhi ye sab samaj sakte hai.

Jaise ki, small paragraph, bullet points aur images ka accha istemal, ye sab aapne acche se kiya to ye aapke readers ko aur jyada samay tak aapke blog mein rokake rakhte hain.

Aapke blog posts ki starting to keyword research se hee shuru hoti hai, jo hamne upar kiye the.

Apne blog post mein keyword kaise add kare           

Aapke har ek blog post mein ek target keyword par dhyan kendrit kiya jana chahiye, aur usse kaha kaha add kiya jaana chahiye ye dekhe:

  • Target keyword ko apne blog ke permanent url mein.
  • Apne post ke title mein.
  • First or second paragraph mein.
  • Post ke headings mein.
  • Post ke meta description mein.

Ek baar jab aapke paas top ke 5-10 keywords ki list aa jaye to aap likhna shuru kar sakte hain.

Ek baat yaad rakhe, apne posts me text ke alava audio, video, photos, infographics ka istemal karna bhi ek best technique hain aur padhne walo ko jode rakhte hain.

Acche se likhne ke liye kuch extra Tips                         

  • Aapke blog post se hamesha apne readers walo ko value pradan karna chahiye. Apne post ki ek clear start kare, middle part aur last part ki ek acchi outline bana ke likhe.
  • Apne blog posts ko attractive format mein se logo ke samne pesh kare aur isse apne readers tak aasani se pahuchaye. Aur wo high quality content ho.
  • Apne headings ko H2 aur H3,H4 tags me sahi dhang se banaye, aur koi bhi jankari jyada lambi na ho isliye bullets point ka istemal Kare. Bich bich me images ko add Kare. koi bhi paragraph 3-4 sentence se adhik lamba nahi hona chahiye.
  • Apne blog post ko readers ke eyes ke liye aasan rakhne ke liye 13-16 font size ka upyog kare aur jyada tar white space ka upyog kare.
  • Aapne jo bhi likha hai aur uska grammar double-check kare.
  • Apne post ke kuch lines important ho to usko bold Karen.

Ek baat yaad rakhe, jab aap blog kaise shuru karna hai ye sikh rahe hote hain, to aapko abhi se sab me perfect nahi hona hai.

Abhi se sabkuch perfect karne ka na soche, jab bhi aapko kuch badlav karne ho aap wapis se uss post ko edit kar sakte hai, use update kar sakte hai.

Aapka first blog post likhne ka samay aa gaya hai      

Ab jab hamne kuch content marketing ko bhi dekh liya hai, to yaha dekhte hai ki wordpress ke andar apna first blog post kaise likha jaye:

Apne wordpress dashboard ke left side ke sidebar mein “post” par click kare.

dashboard post
blog posts

ab, “Add new” button ko chune:

Add new post
add new post

Iske baad, aap blog editor ke andar jayenge, jaha aap apna first blog post likhna shuru kar sakte hain.

blog editor
blog post editor

WordPress editor ek tarah microsoft word ki tarah hee kaam karta hai aur aapka kaam aasan ho jata hai. Ab kuch nicche diye gaye tips ko follow Kare:

  • Apne post ke text ko left, right aur center mein align kare.
  • Text ko bold or Italic kare.
  • kuch aise text ho jinke bhitar aapko link add karni ho to use highlight kare. yaha pe aapko apne link settings pe jake, kisi bhi external link ko ek naye tab mein khulne ki setting karni chahiye – jiski wajah se readers aapke blog pe wapis aaye.
  • Images ko acchi tarah se jode aur unko bhi align karen.
  • Post mein categories aur tags jode.
  • Jab aap save as Draft par click karte hain, to aapka blog post save ho jayega, lekin abhi tak publish nahi hua hai.
  • Jab aap Publish par click karte hain, to aapka blog post officially publish ho jayega aur aapke blog archive par dikhayi dega.

Yoast plugin download kare aur install karna na bhule. Iski madad se aapko uss post ka SEO karne ke liya kya kya karna hai ye samaj aayega.

Yoast plugin mein, jodne ke liye 4 important parts hain:

  • Title
  • Slug/url
  • Meta description
  • Main/Target keyword

Yoast aapko apne blog post ko kisi vishesh keyword ke liye aane wale traffic ke sandarbh mein jankari prapt karne mein madad karta hai.

Adhik se adhik Green Dots ko prapt karne ka prayas kare. ek baar jab aap 80-90% Green color tak pahuchte hain, to iska matlab hai ki aapka blog SEO mein aane par behtar perform karne ki sambhavna hai.

Aap apna blog post publish karne se pehle, wo online kaise dikhega wo bhi dekh sakte hai “Preview” karke.

Yadi aap apne blog post se khush hain, to aage badhe aur apna first blog post publish kare.

Ek baar post live ho jane ke baad, apne blog post ke url par jana hai aur double-check kare ki sabkuch bahut acche se dikh raha hai ya nahi.

Ek baar jab aap apne first blog ko post publish kar dete hain, to aap “Google Search Console” par ja sakte hain, aur waha apne post ka naya url sumbit kar sakte hain, taki aapka post jaldi se indexed kiya ja sake.

Congratulations, aapne abhi apna first blog post publish kiya hai.

Aage, hum unn baki ke important pages ko dekhne wale hain jo aapke blog website mein hone chahiye, jinme shamil hai home page, about page aur Contact page.

Apne Pre-launch Pages banaye              

Pre-launch pages mein, Home page, About us page, Contact Page aate hain.

Iss prakar ke pages mein blog post categories aur tags nahi hote hain.

Blog launch karne se pehle, aapke paas apne blog ke top menu mein kuch pages hone chahiye taki padhne wale jaldi se aapke blog ko samjhen aur important jankari pa sake.

1. Home Page 

Hum sabhi jante hain ki home page kya hai – ye aapke website main url ya landing page hota hai. Jab bhi koi aapka main url search karega to sidhe issi page pe aata hai.

Yadi koyi reader aapke home page pe aata hai aur ye jaldi se samajh nahi pata ki aapki site kya hai, kis topic par hai to vo jaldi se bahar chala jayega aur wapas aane ke chance kam ho jate hai.

Aap abhi blog shuru karna sikh rahe hain, to dhyan rakhe ki ek acche home page me kya kya hona chahiye:

  • Ek headline aur sub-headline ke sath ek hero image honi chahiye.
  • Readers ko ye batane ke liye ek chhota sa hissa ho jo bata sake ki aapka blog kis topic mein hai.
  • Ek call-to-action button hona chahiye jo readers ko important page, posts ya email opt-in form mein le jata hai.
  • Internal linking ka acche se istemal karke apne important pages or post pe readers ko leke jaye.

Home page ke liye alag se koi rules nahi hain, to kisi bhi acche landing page builder jaise ki Elementor ke madad se aapka ek best Home page bana sakte hai.

2. About Us Page 

Ye ek aisa page hota hai, jiske jariye har koi aapke bare me samaj sakta hai, aapke blog ke bare me samaj sakte hai. simple words me bola jaye to ye page aapki aur aapke blog ki ek janm kundli jaise hota hai. Isliye Iss page me aapke blog ke bare mein, aapke bare mein sab kuch batana chahiye – aap kaun hain, aapke blog ke goals, aapka blog kis topic mein hai.

Aapke blog ka ye page, aapko apne readers ke sath deeply judne mein madad karega.

Iss About Us page me kya kya jankari deni chahiye ye samjhte hai:

  1. Aap kaun ho?
  2. Aapne apna blog shuru karne ka decision kyu kiya?
  3. Apne readers ke sath trust banane ke liye aapki experties.
  4. Aap logo ke kis sawal ka jawab ban sakte hai, unke konse problems solve kar sakte hai.
  5. Aapki konsi bhi ek success story.

Jab koi aapke site par jata hai aur vastav mein aapke posts ko, aapki di gayi jankari ko pasand karta hai, to vo aapke bare mein adhik janane ke liye aapke About Us page par jane ki sambhavana rakhte hain.

Aapko aur naye ideas aur motivation prapt karne ke liye apne Niche ke aur bhi baki ke blogs ho unke about us page me jana bahut important hota hai.

Halanki ye aksar ek andekha page hai aur kisi prakar se paise kamake nahi deta hai, par ye page trust banata hai aur aapko apne readers se judne mein madad karta hai.

Iske baad, Contact Page pe chalte hai.

3. Contact Page 

Ye ek aisa page hota hai, jisme aap aapke contact details ke bare me batate hai, agar koi aapse contact karna chahta ho, to wo iss page pe aake aapko contact kar sakta hai.

Aapko iss page par aapka email address dena chahiye, phone number bhi de sakte ho agar aap usme pareshan na ho to, social media links de sakte ho, aur ek contact form de sakte hain.

Aur ek baat, iss page par aap utna hee contact details do, jo aap aam janta ko pradan karne mein sahaj hain.

Ye keval ek Contact form ke sath bhi simple page ban sakta hai – isse jyada kuch alag karne ki jaroorat bhi nahi.

Yaha tak aap padh rahe ho to aapko bata du, Abtak aap bahut jyada jankari prapt kar chuke hai. Ab akhir ke sirf 2 steps bache hai, to akhir tak bane rahe.

Aapne blog ko shuru karne ke methods par bahut sari jankari samajh li hain aur aapke posts aur pages bhi tayyar hai publish karne ke liye.

Ab jab humne blog ke bare har ek choti se choti baat dekhi hai to, ab aane wale samay ke bare me bhi to sochna chahiye na, aap kaise lambe samay tak apne blog par posts karte rahe ye dekhna hoga.

10. Long Term Content Strategy banaye 

Jab aap apna first post publish kar lete hain, to aapka kaam pura nahi hota hai. vastav mein, yaha se to start hoti hai.

Adhikansh blog posts google par rank karne ke liye mahino lagate hain aur lagatar update karne ke baad hee accha perform karte hain.

Yaha main ek aisi strategy batane ja raha hu jo aapke posts ko scale karne ke liye upyog ki jati hai, apne posts ko samay ke sath rank karne ke liye kaam aati hai, aur kam samay mein blogging se paise kamana shuru Karne mein bhi wahi strategy kaam aati hai:

  1. Aapko high volume search kiye jane wale keywords ka research karna hoga jisme aap rank karna chahte hain.
  2. Iske baad, post ki ek outlinr banaye, usme aapko konse bade blogs ko piche karna hai ye dekhna hoga aur uss hisab se apna post likhna hoga.
  3. Ek baar aapka post likhke pura ho jata hai uske baad, aapko inme se jo kuch badlav karne ho wo kare aur uss post ko publish karna hoga. yaha jyada sochna nahi hai- vaise bhi naye post par traffic aane mein samay lagta hai. To aapko kuch galat lagta hai to aap baad bhi update kar sakte hai.
  4. kuchh link building karne ke baad aur aapka post google ke first 3-5 pages par rank karna shuru karta hai, tab aapko isme aur jyada jankari add karni hogi jiske karan wo puri tarah se update ho jaye aur iski quality mein sudhar kare. Yaha pe aap kuch aise keywords add kar sakte hai, jo aapke main keywords se milte ho, jise semantic keywords bhi bola jata hai.
  5. ek baar aapka post top 2-3 pages mein rank karta hai, to aapko uss post ke anusar jo bhi affiliate program ho usme shamil hona hoga aur apne affiliate links ko apne post me jodna hoga.
  6. Iske baad, apne ranking ko banaye rakhne ke liye, aapko niyamit roop se uss post ko update karte rehna hoga aur backlinks banana jari rakhna hoga.
  7. Akhir mein, ek baar jab aap ka post first page par rank karne lagta hai aur aapka affiliate se bhi paise aana chalu ho jata hai, to aap unn company ke affiliate managers se khud baat kar sakte hai, aur bol sakte hai aapka commission thoda aur badhane ke bare me, aapka post first page pe ho to jyada tar aapko commission increase kar dete hai.

Ye aapke lambe samay tak posts banane ki strategy ko banane aur kam samay mein adhik blog post publish karne ka ek shandar tarika hai.

Iss strategy ke sath, aap apne blog posts ko top pages par dekhna shuru kar denge, aur adhik traffic aata rahega aur uski wajah se aapke blog earnings badhte hee jayenge.

Lekin keval badhiya posts likhna hee paryapt nahi hai. Iske sath hee aapko baki bade brands ke sath, baki bade blogs ke sath accha relation banana chahiye uski wajah se aapko high quality backlinks milte rahenge.

Iske baad bhi aapko har samay aapke posts par, aapke keywords pe dhyan rakhna hoga. Iske liye aap kisi bhi SEO tool ka istemal kar sakte hai. Fir chahe wo SEMRush ho ya Ahrefs.

Aap Google Analytics me bhi bahut kuch dekh sakte hai jaise ki, aapke site pe kitne log aa rahe hai, wo kitna samay post pe rehte hai, aapka post kitne logo ne dekha hai, aur bhi bahut sari janakri aap paa sakte hai.

Aap kisi bhi ek post ke bare me bhi ye sabkuch dekh sakte hai. Aap dekh sakte hai ki, pichle mahine me iss post pe kitne log aaye the, aur iss mahine me kitne aaye hai.

Unki matra kam ho gayi hai ya badhi hai, dono condition me aapko posts ko update karte rehna hai. Aur naye naye posts to publish karne hee hai.

11. Apne Blog ko Promote karna

Apne blog ko promote karne ke liye, ya jyada logo tak pahuchne ke liye, sabse acchi baat koi ho to wo hai Links building/dusre website se apne blog ke liye links milna.

Aaj ke samay me Internet par Links ki bahut jyada value hai.

Aapke paas jitne jyada links ho, utna hee google aapke site pe trust karne lagta hai, aur ek badi site ki tarah dekhne lagta hai, aur fir aapke sabhi post rank karne lagte hai, fir chahe aapne kitne bhi high competition keyword pe post likha ho.

Apne blog ko promote karne ke bahut sare tarike hai, unme se Guest blogging aur Link building ke bare me hum jankari lete hai:

Guest Blogging       

Guest blogging ek best tarika hota hai aapke blog ko promote karne ke liye.

Yaha pe kuch log aise bhi honge jinhe pata nahi ki, Guest blogging hota kya hai?

To main simple words me batau to, Guest Blogging me hum kisi aur ke website pe post likhte hai, aur uss post me humare blog site ke kisi bhi ek post ki link add karte hai. Uss link ko hum backlink bhi bolte hai.

Isme hota kya hai, uss website ke jo bhi readers hote hai, agar ve log humare uss post ko dekhte hai, aur humare uss link pe click karte hai to ve log sidhe humare blog site pe aa jate hai.

Aur isliye aap jitne jyada guest blogging karenge, jitne jyada backlinks banayenge, aapko utna hee fayda milta rehta hai, log aate rahte hai.

Aur ye ek aisa tarika hota hai, jisme hum bahut sare baki bloggers se jud jate hai, humara contact badhta rehta hai, uske bhi bahut fayde hote hai, aapko backlinks milti rehti hai.

Par iske liye aapko utna kaam bhi karna hota hai, aapko unn bloggers ko cold emails karne pdte hai, har koi backlinks ke liye tayyar nahi hota hai, 10 me se 2-3 bloggers aapko guest blogging ke liye haa bol sakte hai. Baki ke nahi bol denge.

Par aapko yaha pe dukhi nahi hona hai, aapko bas ye kaam karte rehna hai. Agar aapko iss marketing ke world me rehna hai, to aapko aise chote chote rejection ke taraf jyada dhyan nahi dena hai.

Aapko pehle to samne wale ko value deni hogi, fir aap apna kaam nikal sakte hai. To isliye aapko uss blogger ko aapke guest posts se usko aur uske readers ko kya fayda hoga ye bhi batana hoga.

Link Building            

Ab link building me bhi bahut sare tarike hote hai, isme ek tarika aisa bhi hai, jisme aapko kisi se baat nahi karni hai, na kisi ko email karna hoga.

Aapke kuch na karne ke baad bhi aapko backlinks milte rahenge. Ye to jaise ek sapne jaise hoga na?

Par yaha pe ek baat samaj lo, baki bloggers ussi ko backlink dete hai, jiske posts bahut hee acche aur valuable hote hai, jinse unki audience ko fayda mile.

To kya aap aise posts likh sakte ho, jisme baki bloggers samne se aakar aapko backlink deke jayenge?

To aap jab bhi aapka blog chalu karenge, tab se aapke content pe jyada dhyan de, aapke posts baki sab ke posts se alag ho, sath hee me usme jo bhi  jankari ho wo high quality ki ho.

Tab jake aapke liye ye automatic backlinks aasan ho jate hai.

Aapke blog ko ek alag level pe leke jana hai to, aapko blog me visual elements add karne hoge, matlab logo ko jo dikhayi dega.

Wo fir kuch bhi ho sakta hai, jaise ki infographics, videos, images, alag-alag case study, aur baki aapka ek alag tarah ka content ho jo kahi na ho.

Aap broken link building se bhi links paa sakte hai. Isme kya karna hai, Ahrefs tool me jake aapko apne Niche me jo bhi blogs honge unke broken links ko dekhna hai.

Aise kisi ke blog pe broken link mile to aapko usse email karke batana hai ki, aapki iss post me broken link hai, to uske jagah pe suitable aisa mera khud ka ek accha post hai. Aap chahe to mere post ki link add kar sakte hai.

Aise me jyada tar blogger maan jate hai, kyunki uss broken link ke wajah se unke post me 404 error aa jata hai, agar kisi ne uss link pe click kiya to.

To aapke link se unka wo error bhi khatam ho jata hai, aur apko backlink bhi milti hai.

Advertising        

Shuru me aapke blog par traffic nahi aayega, to aap paid advertising bhi kar sakte, jisase aapke post ko ek boost, attention milega.

Paid traffic kaha se mil sakta hai:

Aapko humesha alag alag tarike dekhte rahne chahiye aapke posts ko promote karne ke liye.

 12. Blogging se paise kaise kamaye 

Blog Monetization ek aisi process hoti hai, jisme aapke blog ko paise kamane ka ek jariya banana hai.

Yaha ek baat hamesha yaad rakhe ki, blog sirf  paise kamane ka jariya nahi hai. Blog ek aisi jagah hoti hai, jaha log apne problems ke sath aate hai, aur khushi se uska haal leke jate hai.

Isliye aapko humesha aapke readers ko dhyan me rakhte huye acche se acche posts likhne hai, taki ve log aapke blog pe aa sake aur unke problems solve ho sake.

To ab dekhte hai kuch aise tarike jiski madad se aap blogging se paise kama sakte hai.

Apne blog pe Ads chalana             

Aapke blog pe ads chalane ke liye bahut sare raste hai. Aapke blog ki Niche kya hai, uske hisab se bhi aap ads ko chun sakte hai.

Aap kya likhte hai, uske aas paas ke he ads chalenge to uss advertiser ko bhi fayda hota hai.

Blog pe ads chalane ke sabse popular choices: Google adsense, Mediavine, Adthrive.

Affiliate Program me join hona      

Blog se paise kamane ka sabse pasandida rasta. Isme aap kisi aur ke products/services ko promote karte ho, apne posts me uss products ke affiliate links add karke, aur jab koi uss link pe click karke uss product ya service ko buy karta hai, to uska kuch commission aapko milta hai.

Aapke blog pe kitne log aate hai, isspar aapke affiliate sale depends hote hai. Jitney jyada log aate hai, sale bhi jyada honge aur aap jyada paise kama sakte hai.

Logon ko aapke upar utna bharosa hona chahiye ki aapki unn links pe ve click kar sake.

Aur aapko logon ko apne affiliate disclaimer me ye bhi batana chahiye ki, aap ki unn links se logon ko kuch bhi extra pay nahi karna padta, bas aapko uska thoda commission milta hai.

Kuch popular affiliate program hai, jinme aap join ho sakte hai: Amazon Associates, ShareASale, and ClickBank.

Aapke products or Service bech sakte hai     

Agar aapke paas koi product hai ya service hai, to aap usse sale karke bhi paise kama sakte hai.

Par Iske liye aapke blog par jyada log aane wale ho. Aap par unko puri tarah se bharosa hona chahiye ki, aap jo bhi product ya service de rahe ho wo best hai.

Iske liye wordpress ka ek plugin hota hai, WooCommerece Plugin. Jisko aap apne blog se jod sakte hai, aur aapke product online bech sakte ho.

Ebook likhe aur Sale kare            

Kuch extra paise banane ka sabse aasan tarika hai ebook bechna. Aap ke khud ke blog ke kuch hisse ko aap ebook me badal sakte hai.

Usse aap apne hee blog se bech sakte hai, ya kahi aur se bhi bech sakte hai.

Ebook bechne ke liye sabse popular hai, Amazon ka Kindle Direct Publishing (KDP) Program.

Sponsored Posts           

Bahut si badi badi company/advertisers aise hote hai, jo aapko paise dete hai, unke product or service ke bare me post likhne ke liye. Aur ye bhi ek accha paise kama ke deta hai.

Ek baar aapka blog popular ho jayega, bade bade blogs me gina jayega, aapke niche me aapka blog successful ho jata hai, to samne se aapko aise sponsored posts ke liye offer aayenge.

To aapne dekha ki blogging me paise kamane ke kitne tarike hote hai, aur bhi baki bahut tarike hote hai.

Aapko unme se kuch hee best tarikon ko chunana hai, jo aapke blog ko, aapke audience ko suit kar sake.

WordPress Blog kaise banaye: QNA

1. Blog kya hai? 

Blog ek niyamit roop se update ki gayi website hoti hai, jo ek akela person ya group dvara chalayi jati hai, jisme mukhy roop se ek informal style mein likha hota hai. Isme kisi bhi topic pe puri tarah se jankari deni hoti hai.

Aap kisi bhi topic par ek blog khud bana sakte hain aur yaha aap naye logon se judte hai, aap khud ka ek naam bana sakte hai kisi bhi ek topic mein, aur Blogging online paisa kamane ka best method hai.

2. blog kyun start karna chahiye?

Blog start karne ke bahut sare karan ho sakte hain.

Online padhne walo ko influence aur inspire karna main reasons mein se ek hota hai.

Yadi aapko kisi bhi field mein in-depth knowledge hai aur aap writing mein bhi acche hai, to aap sahi mayane mein dusro logon ki madad kar sakte hain.

Yadi aap jante hain ki apne blog se paise kaise kamate hai, to aap aaram se bahut sare paise kama sakte hain.

Blogging aapko ek best platform provide kar sakta hai:

– khud ko develop Karen me

– Apne writing skills ko aur accha banane ke liye

– Apne field mein naye relationships bana sakte hai, aur ek bada sa network bhi bana sakte hai.

– Apne knowledge ko apne audience ke sath share kar sakte hai.

– Bahut sara paisa kama sakte hai.

3. Blog shuru karne mein kitna kharch hota hai? 

Jab aap ek blog shuru karte hain, to aapke paas free ya paid blogging platform ke options hote hai. Inn platforms ki apne apne pros aur cons hote hain.

Yadi aap blogging me naye hain aur koi paise kharch na kiye blogging mein apna hath aazmana chahte hain, to Ghost.org ya Blogger.com free blogging platform hain.

Halanki, Free tools ka upyog karte samay bahut sare restrictions hote hain. Example ke liye, aap isme kisi external best theme ka istemal nahi kar sakte, Ads par bhi restrictions aate hai, aur bahut kuch.

Dusri taraf, aap kahi se blogging sikh chuke ho, aur aapko aapke upar bharosa ho gaya hai, to aap paid blogging platform chun sakte hain.

Yaha pe bahut sare acche Website Builder hai, jaise ki Squarespace ya Wix aapko acche plans provide karte hain jo aapki site ko bina kisi bhi restrictions ke jis tarah se aapki site banana ho, waisa banane me aapki madad karte hain.

Yaha kuch Blogging expenses bataye hain:

– Domain name: Ye aapko lagbhag $10/year tak kharch ho sakta hai.

– Web Hosting: Ek shared Hosting pe aamtaur par $3-$10/month kharch hote hai.

– Plugins: Waise to wordpress aapko bahut sare free plugins deta hai. Par agar aapko aur naye features chahiye to aapko kuch paid plugins lene honge, par ye aapke upar hota hai lena hai ya nahi. Jab aap naye ho to unki utni jaroorat bhi nahi, baad me aap le sakte hai.

-Themes: Isme bhi aapko free themes mil jate hai, aur wo acche bhi hote hai, par aapko aapka blog aur jyada best looking karna ho to aapko paid theme lena pad sakta hai. ($30-$60)

Final Calculations:

– Yadi aap blogging ko ek hobby ke roop mein maan rahe hain, to ye free bhi kar sakte hai.

– Par agar aap blogging me kuch karna chahte ho, acche se paise kamana chahte ho, to aapko thoda bahut to kharcha karna hee hoga, to yah aapko $50-$60/year tak kharch ho sakta hai.

Ek baar aapka blog acche se chalne lagega to ye $50-$60 to aap ek mahine me bhi kama sakte ho, baad me ye aapki ek din ki kamayi tak ho sakti hai, aise hee jaise jaise aap grow karte rahenge, aapko baki kharche bhi karne hoge, taki aap aur jyada kama sake.

4. WordPress kya hai? 

WordPress web pages banane ka sabse simple tarika hai, aur aaj jitne bhi websites aur blogs aap dekhte ho unme se 30% se adhik wordpress par hee hai.

WordPress aapko webpages banane, publish karne mein help karta hai. Isme blogs banana kafi assan hota hai, koi bhi kar sakta hai utna user-friendly platform hai.

Bloggers ko unke posts ko banane ke liye, usme edit karne ke liye aur unko publish karne me kafi aasani deta hai. Isme aapko bas aapke domain name aur web hosting ke liye paise dene hote hai.

Isme ek dashboard hota hai, jaha aap posts, media, pages, comments, plugins, themes, aapke website ki settings, aur bahut kuch provide kiya jata hain.

5. Apne blog par readers ko kaise la sakte hai? 

Apne blog par readers ko lane ke liye, aapko apne readers ko value provide karni hogi.

Yaha kuch steps diye gaye hain jo aapko isme madad karenge:

– Apne blog ka acche tarah se SEO Kare. Uske liye Keyword research Karen.

– Catchy Headlines banaye – aapka headline hee first thing hai jise har koi padhata hai. To padhne walo ko uss headline se hee unka fayda dikh sake.

– Aise headlines jo dekhte hee click karne yogy hote hai usme aap inn sabka istemal kar sakte hai: Odd number(1,3,5,7,9)+ superlative keywords + target keywords + year

– Consistently blog posts publish Kare, kyunki isse aapke readers aapko jyada seriously lete hain

– Kuch call-to-action buttons ka istemal Kare, jisme logo ko kuch naya aur unke problems ka jawab ho.

– Aapke readers ko kuch products discount pe de, aur unko aisi jankari de jo aap aise hee free me na dete ho.

– Social media par apni posts share Karen.

Upar ke sabhi steps ko acche se follow karne se aapko apne blog par shuru me kuch traffic prapt karne mein madad mil sakti hai.

6. Main ek successful blog kaise shuru karu? 

Aaj internet pe dekhenge to bahut badi sankhya me blogs hain. lekin unme se 95% fail hote hain. Kuch factors hote hai jo successful bloggers ko non-successful bloggers se alag karte hain.

Ek successful blog ko shuru karne aur chalane mein kuch critical factors hote hain:

– Internet pe kya trending me hamesha rehta hai, aur aisa kya hai jisme log kharcha karne me bhi piche nahi hote.

– Digital marketing mein acche hone ke sath – aapko SEO, Keyword Reserach, Affiliate marketing, Email marketing(top 5 best free email service providers) aisi baton par bhi pakad honi chahiye.

– Aapke subscribers ke sath hamesha bond banaye rakhe, humesha unse baat karte rahe aur unke jo bhi problems ho unko hal karte rahe.

7. Blogging mein paise kaha se kamayen

– Advertisements

– Affiliate Marketing

– Online Courses

– Sponsored posts

– Products Selling

– Consulting

Par yaha hamesha ek yaad rakhe, yadi aapka blog logo ko value provide nahi karta, to fir blogging se paise kamana mushkil hai.

Yadi aap blogging ko full-time job ke roop mein dekh rahe hain, to ye bhi samjhna hoga ki blogging aapko ek raat mein millionaire nahi bana dega.

8. 2022 mein free mein blog shuru kar sakte hain? 

Blog shuru karne ke liye jyada kharch nahi karna padta hai. aap kam se kam investment ke sath aur kabhi-kabhi free mein bhi blog shuru kar sakte hain.

Jab aap ek blog shuru karte hain, to aapko ye tay karna chahiye ki, aap isse self hosting karana chahte hain, ya puri tarah se host kiye gaye platform ka upyog karna chahte hain.

Aamtaur par, puri tarah se host kiye gaye platform ka upyog karne par ek small monthly fee lagti hai. lekin ek free platform prapt karna aasan hai. Adhikansh naye log, self-hosted platform ka chayan karte hain, jaise Tumblr ya blogger.

Yadi aap blogging ke bare mein serious hain, to main aapko ek paid platform ke sath jane ki salah deta hoon.

Jab aap ek free platform ka upyog karte hain, to aapko uss platform ke kayi sare restrictions ka palan karna hoga aur fir waha se paisa bhi kam kamayenge.

To chaliye ab hum iss blog post ke akhir me aa gaye hai. Yaha tak jitne bhi log aaye hai, unhone bahut kuch sikh liya hai blog kaise shuru Kare iske bare me.

Aur ab ve log apna khud ka blog chalu kar sakte hai, aur acche se chala bhi sakte hai utni jankari to yaha aaj aapko mili hee hai.

Yaha tak aaye har ek ko main shukriya karta hu. Maine aapke liye jo ye post banaya hai, mera itna samay diya iss post ke liye wo sakar ho jata hai.

Aur iss ko padhne ke baad jitne bhi naye blogs chalu ho jayenge unn sabhi ko main successful blog banane ke liye All the Best kehta hu.

WordPress Blog kaise banaye: Conclusion  

Jaise ki aap dekh sakte hain, blog kaise shuru kiya jata hai ye sikhna bahut aasan hai, lekin aapko apne choices par dhyan se vichar karne ki jaroorat hai.

Apne blog ko ek successful money-making business mein badlane ke liye ek smart approach, SEO ka accha knowledge, consitency, aur hard work ki jaroorat hoti hai.

Maine iss article mein blog shuru karne ke liye aapko jo kuch bhi sikhna chahiye, usse bahut bade level tak cover kiya hee hai. Aur mai samay-samay par nayi blogging techniques ke sath iss post ko update karna jari rakhunga.

Ab aapki bari hai. Kyun na aaj hee apna blog shuru Kare?

Bluehost ke sath abhi ek blog shuru kare aur apni web hosting ke sath hee ek free domain bhi prapt Kare wo bhi $3.95/month (53% discount) me.

Thanks.

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *