Apne blog se paise kamane ke to bahut se tarike hai, Jaise Affiliate marketing, sponsored posts, guest posting, aur bhi kayi tarike hote hai. lekin unn sabhi me Google Adsense se paise kamana kafi jyada popular hai.
To ye Google Adsense kya hai? apne wordpress blog me google adsense kaise lagaye? Ye sab hum iss article me dekhne wale hai.
Google Adsense ke madad se aap apne site ki kuch space ko advertisers ko automatically bech sakte hai aur uske badle paise kama sakte hai.
Apne blog se online paise kamane ka sabse aasan tarika hai Google Adsense.
Iss article me aap dekhenge ki, google ads ko apne site par kaha kaha lagana hai, aur kuch jaroori tips dekhenge, taki aap aur jyada paise kama sake.
Google Adsense kya hai?
Google Adsense Google dvara chalaya jane vala ek advertising network hai, jo 2003 me chalu kiya gaya hai.
Google Adsense bloggers aur websites owners ko apne websites par text, images, videos ke roop me ads dikhakar paise kamane ka ek avasar pradan karta hai.
Aur ye ads apke site ke content aur apke audience par focus karke chalaye jate hai, taki aapko bhi uska jyada fayda mile aur advertisers ko bhi.
Aur Google adsense ki khas baat ye hai ki, aapko isme kuch bhi pareshani nahi aati, na kuch kaam karna pdta hai. na aapko advertisers se jake milna hai, na aapko unse paise lene jana hai. Google Adsense ye sab kaam apne aap karta hai.
Advertisers se jo bhi kuch connection banana hota hai, wo google adsense karta hai, unse paise collect karta hai, apni jo kuch fee hai wo nikal leta hai, aur baki ke paise aapko de deta hai.
Adsense aap ko Cost-per-click ads (CPC) ke hisab se paise deta hai, jiska arth ye hai ki, aapke site par aane wale visitors jab-jab unn ads par click karte hai, tab-tab aapko paise milte hai.
Aur aapko har ek click ke liye milne wale paise bhi alag alag ho sakte hai, uske bahut se apne factors hote hai.
WordPress Blog me Google Adsense kaise lagaye?
Sabse pehle aapko Google Adsense account ke liye sign up karna hoga. yadi aapke paas ek gmail account hai, to aap sign up karne ke liye apne maujuda account ka upyog kar sakte hai.
Google Adsense Account Kaise banaye? Ye aap mere pichle article me dekh sakte hai.
Jab Aap adsense account ke application ko sumbit kar dete hai, tab aapko kuch samay tak intzaar karna hoga, kyunki ab Google Adsene team apke application ko review karte hai.
Isme kuch ghante bhi lag sakte hai, ya kuch hafte bhi lag sakte hai, kabhi kabhi 2 mahine tab bhi lag jate hai. par utna intzaar apko karna hee pdta hai.
Ek baar jab aapka application approved kar diya jata hai, to aapko apne adsense account mein log in karna hai aur tab aapko waha par ek ad code milta hai.
Ye wahi code hota hai, jisko aap ke site par lagane se aapke site par ads dikhna chalu ho jata hai.
Abhi ke dino me, Google Adsense ne Auto ads ki ghoshna ki hai, jiska arth ye hai ki, aapko sirf ek code ko apne site par daal dena hai aur uske baad google automatically ye tay karta hai ki, kis page par kab, kaha aur kitne ads dikhaye jaye.
Halanki, abhi bhi adhikansh publishers apni website par ads lagane ke liye manual method ka hee upyog kar rahe hai.
Hum aap ko iss article me wo dono tarike dikhayenge. Par hum aapko pehle manual ads placement ke sath shuruvat karne ki salah dete hai.
Ek baar jab aap ads se kamana shuru kar dete hai, to aap unn dono tariko ki toolna karna chahte ho, to aap auto ads ko chalake dekh sakte hai.
Aap inn dono tariko me test karke dekh sakte hai. par shuru me ye na kare, kuch paise chalu ho jaye tab ye sahi rahega.
1. Google Ads ka Code Manually Apne WordPress Blog me add karna
Aap yaha left side ke column mein Ads Menu par click karke shuru karenge aur fir ‘By ad Unit’ tab par click karke switch karenge. aur last me aapko ‘Create New Ad’ par click karna hai.
( Google Adsense -> Ads -> Overview ->By ad Unit -> Create New Ad )
Yaha aapko kisi ek ad type ko chunana hoga, yaha par aap 3 ad types dekh sakte hai, ‘Display ads’, ‘In-feed ads’, aur ‘In-article ads’.
Yadi yaha par aapko mushkil ho raha ho, to ‘Display ads’ se shuru kar sakte hai.

Iske baad, aapko iss ad unit ke liye ek naam pradan karna hoga aur Ad Size & Type ka chayan karna hoga.

Yaha ad ka naam keval internal purpose ke liye upyog kiya jata hai, ye bahar kisiko nahi dikhayi deta. isaliye aap isse kuch bhi naam de sakte hai.
Ab aapko apne ad ka Size chunana hai. yaha google apko kayi prakar ke ad sizes pradan karta hai.
Lekin kuch aise nishchit sizes hote hai, jinhe jyadatar advertisers pasand karte hai, aur aapko bhi aise hee sizes lene chahiye.
Yaha par aap ye bhi chun sakte hai ki, aapka Responsive Ad hona chahiye, ya Fixed Ad hona chahiye.
Par yaha ham aapko Responsive Ads chunane ki salah dete hain, kyunki ve ads sabhi devices aur screen sizes par acha kaam karte hai.
Aage, jaari rakhane ke liye ‘Create’ Button par click kare.
Adsense ab aapke liye ek Ad Code banata hai. jisme ek unique Ad ID aur aapka publisher ID hota hai.

Yadi aapki Website mein Google AMP Version hai, to aap apne AMP pages ke liye bhi code yaha se le sakte hai.
Bas ab uss code ko waha se copy kar lena hai, aur kisi plain text editor(Notepad, MS-Word) me paste karke save karna hai. ab hum jo next step dekhne wale hai waha aapko uss code ki jaroorat hogi.
Ab aap ko ye nirdharit karana hoga ki, aap apne website par ads ko kaha kaha dikhana chahte hai.
Aam taur par Ads ko sidebar mein pradarshit kiya jata hain. aap wordpress widgets ka upyog karke apne sidebar mein google adsense jod sakte hai.
Iske liye aapko wordpress ke Dashboard me jake Appearance me Widgets page par jana hai. (Dashboard-> Appearance-> Widgets)
Ab yaha par aapko jis bhi widget area me ads dikhane hai, waha ‘Custom HTML’ widget ko drag karke le jaye aur uss area me drop kar de. Aur bas aapko ab Adsense code ko uss ‘Custom HTML’ me paste kar dena hai.

Behtar Placement Control aur Tracking ke liye, hum recommend karte hai ki aap ek baar wordpress ke AdRotate Plugin ko jaroor dekhe.
2. WordPress mein Auto-ads ka Adsense Code jodana
Apne website par alag alag jagah par ads ke code ko Manually lagane mein bahut samay lagta hai.
Adhikansh shuruvati log apne sites par ads display karane ke liye best locations ko khojane ke liye sangharsh karte hain, aur isme unka jyada samay bhi jata hai.
Isss samsya ko hal karne ke liye, Google ne Auto-ads ko pesh kiya hain. Isme aap apne site par keval ek code snippet jodte hain aur fir google adsense khud high paying locations, ad-size aur ad-type ka pata laga leta hain.
Par iss Auto-ads ka ek nukasan ye hai ki, aapke website ke ads placement par aapka niyantran bahut kam jata hai.
Yadi aap Auto-ads suvidha ka upyog karna chahate hain, to nichhe diye steps me aap dekh sakte ki aap apne wordpress blog me google adsense kaise lagayenge.
Sabse pehle apne google adsense account mein login kare aur left side ke coloum me ‘Ads’ tab par click kare, aur ‘Overview’ me jaye.
Yaha par humne jab manual dekha tha, uss waqt humne ‘By ad Unit’ chuna tha, par yaha uske jagah par aapko ‘By Site’ par click karna hoga, uske baad nichhe ‘Get Code’ ka button aayega uspar click karna hai.
( Google Adsense-> Ads -> Overview -> By Site -> Get Code )

Adsense ab aapke Publisher ID ke saath ek code snippet generate karega aur usse screen par dikhayega. ab aapko iss Code ko copy kar lena hai aur kisi text editor me paste karke save kar lena hai.

Auto-ads Code aapke website par har jagah ads ko lagane ke liye ek code snippet ka upyog karta hai.
Iska matlab hai ki aapko unn sabhi pages par uss code ko jodna hoga jaha aap ads display karana chahte hai.
Aisa karne ka ek tarika ye hai ki, aap apne wordpress theme ke ‘header.php’ file mein uss code ko jod le.
Halanki, iss padhati ka ek nukasan ye hai ki, yadi aap apna theme update karte hain ya uss theme ko badlte hain to aapka Ad Code gayab ho jayega. Matlab aapko fir se code ko jodna hoga.
Apne website par kisi bhi jagah code ko add karne ka sabse best tarika hai, “Insert Headers and Footers” iss plugin ka istemal karna. aapko iss plugin ko install kar lena hai aur usse activate karana hoga.
Fir WordPress Dashboard ke Setting me se Insert headers and Footers page par jana hai. (Dashboard-> Setting-> Insert Headers and Footers)
Fir iss page ke Header section me aapko Google Adsene Code ko add/paste kar dena hai.

Code add karne ke baad “Save” button par click karna na bhule, taki sabkuch acche se save ho jaye.
Ab wo plugin aapke website ke sabhi pages par aapka Ad Code jod dega. Uske baad google adsense ko thoda samay lag sakta hai, aapke site par ads show karne ke liye.
Kuch samay ke baad aapke site par ads show hona chalu ho jayega, uske baad aapke content par focus kare aur jyada se jyada traffic ko lane ke sabhi tarike dekhe. Jitna jyada traffic hoga, utna hee accha aap kama sakte hai.
Images Source: WpBeginner.com
WordPress Blog me Google Adsense Kaise Lagaye: FAQ
Best Adsense Ad Size kya hai?
Dekha jaye to ads ke placement jyada mayne rakhte hai. lekin humne paya hai ki, Best Ad Size 336×280 aur 300×250 hai. ye ad sizes sabhi screen sizes me acche se fir ho jate hai aur unka Pay Rate bhi accha hai.
Best Ads Placement konsa hai?
Ye puri tarah se aapke layout par nirbhar karta hai. yaha hamara lakshy adhik clicks prapt karna hai, isaliye aap apne ads ko adhik pramukh sthan par rakhna chahte hai.
Humne paya hai ki, Jab aap aapke content ke upar/top ke hisse me ads ko lagate hai, tab aap jyada clicks prapt kar sakte hai.
Yaha par ek baat khas kar batana chahte hai ki, aap ads ko lagan eke liye Floating widgets ka istemaal kabhi bhi na kare, kyunki usse Google ke Terms of service manyta nahi dete.
Agar aap Google ke terms ya policies ka ulanghan karte hai to aapka adsense account ban ho sakta hai.
Google Adsense mein Page RPM kya hai?
RPM (Revenue Per Mile) iska matlab hai, 1000 impressions par milne wala revenue/paise.
Ye aapke page par aane wale sabhi Clicks aur har ek click ko milne wale paise(CPC) ko guna karke aur total pageviews ki sankhya se vibhajit karke nirdharit kiya jaata hai.
RPM= Total Clicks * CPC / Total Pageviews.
Google Adsense mein CTR kya hai?
CTR (Click-Through-Rate) bahut alag alag hota hai, har ek website ke aadhar par. Aapke Ad clicks aapke website ke topics, aapke audience ka type, aapke site ka ad placements, aur aise kayi factors par nirbhar karte hai.
Google Adsense ke liye ek Ideal CTR ko paribhashit karna vaastav mein kathin hai kyunki jis tarah se aap khud ke click rates ko dekh sakte hai, waise dusre websites ke nahi dekh sakte, isliye Ideal CTR ka anuman lagana kathin hai.
Kya main WordPress.com Blog par Google Adsense laga sakta hu?
WordPress.com aapko tab tak google adsense ke liye allow nahi karega jab tak aap unke Business plan me upgrade nahi hote. Matlab agar aapko ads lagane hai, to aapko unka business plan lena hoga.
Google Adsense aur Google Adwords mein kya antar hai?
Google Adwords aapko Google Adsense program mein bhag lene wale websites sahit baki websites par aapke products/services ke ads chalane ki anumati deta hai.
Google Adsense aapko apne website par ads ko dikhakar apne website se paise kamane ki anumati deta hai.
Yadi aapne abhi tak apka koi blog chalu nahi kiya hai, to aap mere iss article(wordpress me blog kaise banaye) ko jaroor dekhe. Aur online paise kamane ke ek aur tarike ko chalu kare.
Hume umeed hai aapko ye article pasand aaya hoga, aur aap ab samajh gaye honge ki, apne WordPress Blog me Google Adsense kaise lagaye? aur ab aap apna khud ka adsense account bana sakenge, aur acche se ads chala sakenge.
Iss article ko baki logon tak jaroor share kare, jyada se jyada logon tak jankari dene ke hamare lakshy me hamari sahayata kare.
Sharing is Caring!!
Thanks!!